thisslunikiyon ke naam doosri chitthi 3:1-18

  • prarthna karte raho (1-5)

  • bekayda chalnevalon se khabardar (6-15)

  • aakhir mein namaskar (16-18)

3  bhaaiyo, main aakhir mein yah kehta hoon ki hamare liye prarthna karte raho+ taaki yahova* ka vachan tezee se failta jaaye+ aur mahima paata jaaye, theek jaise tumhare beech ho raha hai.  yah bhi prarthna karo ki hum aise logon se bachaye jaayen jo khatarnak aur dusht hain,+ kyonki vishvas har kisi mein nahin hota.+  magar prabhu vishvasyogya hai aur woh tumhein mazboot karega aur shaitan* se bachaye rakhega.  aur hamein prabhu mein tumhare baare mein bharosa hai ki hamne tumhein jo hidaytein di hain unhein tum maan rahe ho aur aage bhi maante rahoge.  hamari dua hai ki prabhu tumhare dilon ko sahi raah dikhata rahe taaki tum parmeshvar se pyar karo+ aur maseeh ki khaatir dheeraj dharo.+  bhaaiyo, hum prabhu yeeshu maseeh ke naam se tumhein hidayat dete hain ki aise har bhaai se door ho jaao jo kaayde se nahin chalta+ aur un hidayton* ke mutabik nahin chalta jo hamne tumhein* batayi thi.+  tum khud jaante ho ki tumhein kaise hamari misal par chalna chahiye,+ kyonki hum tumhare beech rehte vakt bekayda nahin chale,  na hi hamne muft ki* roti todi.+ iske bajay, hum raat-din kadi mehnat aur sangharsh karte the taaki tummein se kisi par bhi kharcheela bojh na banein.+  aisa nahin ki hamein adhikar nahin hai,+ balki hum chahte the ki hum tumhare liye aisi misal rakhein jis par tum chalo.+ 10  sach to yah hai ki jab hum tumhare saath the, to hum tumhein yah aadesh diya karte the: “agar koi kaam nahin karna chahta, to use khaane ka bhi hak nahin hai.”+ 11  hamne suna hai ki tumhare beech kuch log kaayde se nahin chal rahe hain.+ woh koi kaam-dhandha nahin karte balki un baaton mein dakhal dete firte hain jinse unka koi lena-dena nahin.+ 12  aise logon ko hum prabhu yeeshu maseeh mein aadesh dete aur samjhate hain ki woh shaanti se apna kaam-dhandha karein aur apni kamai ki roti khaayen.+ 13  bhaaiyo, jahaan tak tumhari baat hai, bhale kaam karne mein haar mat maano. 14  lekin agar koi un baaton ko nahin maanta jo hamne is chitthi mein batayi hain, to aise aadmi par nazar rakho* aur uske saath milna-julna chhod do+ taaki woh sharminda ho. 15  fir bhi use dushman mat samjho, magar use ek bhaai jaankar samjhate-bujhate raho.+ 16  hamari dua hai ki shaanti ka prabhu tumhein har tarah se shaanti deta rahe.+ prabhu tum sabke saath ho. 17  main paulus khud apne haath se tumhein namaskar likh raha hoon,+ jo meri har chitthi ki pehchan hai. mere likhne ka tareeka yahi hai. 18  hamare prabhu yeeshu maseeh ki maha-kripa tum par hoti rahe.

kai footnote

ati. ka5 dekhein.
shaa., “us dusht.”
ya “dastooron.”
ya shaayad, “unhein.”
ya “bina paise diye.”
shaa., “par nishan lagao.”