yirmayah 29:1-32

  • bandiyon ko yirmayah ka khat (1-23)

    • israel ki vaapsi 70 saal baad (10)

  • shamayah ke liye sandesh (24-32)

29  ye bhavishyavakta yirmayah ke khat mein likhe shabd hain jo usne yarooshalem se un baaki mukhiyaon ko, jo bandi banaye gaye logon ke beech the, yaajkon, bhavishyavaktaon aur sab logon ko bheja jinhein nabookadnessar yarooshalem se bandi banakar baibilon le gaya tha.  jab raja yakonyah,+ raajmata,+ darbari, yahooda aur yarooshalem ke haakim, kaareegar aur dhaatu-kaareegar* yarooshalem se chale gaye the,+ to iske baad yirmayah ne yah khat bheja tha.  usne yah khat shaapan+ ke bete elasa aur hilkiyah ke bete gamaryah ke haathon bheja, jinhein yahooda ke raja sidkiyah+ ne baibilon ke raja nabookadnessar ke paas bheja tha. khat mein yah likha tha:  “senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova un sab logon se kehta hai, jinhein usne yarooshalem se baibilon ki bandhuai mein bhej diya hai,  ‘tum vahin ghar banakar raho. baag lagakar unke fal khaao.  shaadi karo aur bete-betiyaan paida karo aur apne bachchon ki bhi shaadi karao taaki unke bhi bete-betiyaan hon. vahaan tumhari ginti kam na ho, badhti jaaye.  aur us shehar ki shaanti ki kaamna karo jahaan mainne tumhein bandhuai mein bhej diya hai. uski khaatir yahova se prarthna karo kyonki agar vahaan shaanti hogi to tum bhi shaanti se rahoge.+  senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, “tumhare beech jo bhavishyavakta aur jyotishi hain, unke dhokhe mein mat aao.+ woh jo sapne dekhkar batate hain unhein mat suno.  kyonki yahova ailan karta hai, ‘woh mere naam se tumhein jhoothi bhavishyavaniyaan sunate hain. unhein mainne nahin bheja hai.’”’”+ 10  “yahova kehta hai, ‘jab baibilon mein tumhein rehte 70 saal poore ho jaayenge to main tum par dhyan doonga+ aur tumhein is jagah vaapas laane ka apna vaada poora karoonga.’+ 11  yahova ailan karta hai, ‘mainne soch liya hai ki main tumhare saath kya karoonga. main tum par vipatti nahin laaunga balki tumhein shaanti doonga.+ main tumhein ek achha bhavishya aur ek aasha doonga.+ 12  tum mujhe pukaroge, mere paas aakaar mujhse prarthna karoge aur main tumhari sunoonga.’+ 13  ‘tum meri khoj karoge aur mujhe paaoge,+ kyonki tum poore dil se mujhe dhoondhoge.+ 14  main tumhein miloonga.’+ yahova ka yah ailan hai. ‘mainne tumhein jin-jin jagahon aur raashtron mein titar-bitar kar diya hai aur jahaan tum bandi ho, vahaan se main tum sabko ikattha karoonga aur us jagah lauta le aaunga jahaan se mainne tumhein bandhuai mein bhej diya tha.’+ yahova ka yah ailan hai.+ 15  magar tum kehte ho, ‘yahova ne hamare liye baibilon mein hi bhavishyavaktaon ko thehraya hai.’ 16  yahova, daavid ki raajgaddi par baithe raja se+ aur is shehar mein bache logon se yaani tumhare bhaaiyon se, jo tumhare saath bandhuai mein nahin gaye, kehta hai, 17  ‘senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, “dekho, main unke beech talvar, akaal aur mahamari*+ bhej raha hoon. main unhein sade* anjeeron jaisa bana doonga jo itne kharab hote hain ki khaaye nahin jaa sakte.”’+ 18  ‘main talvar, akaal aur mahamari lekar unka peechha karoonga+ aur unka aisa hashra karoonga ki dharti ke sab raajya dekhkar dehal jaayenge,+ shaap dete vakt unki misal deinge, unhein dekhkar chaunk jaayenge, unka mazak udate huye seeti bajaayenge+ aur jin deshon ke beech main unhein titar-bitar kar doonga vahaan unki badnami hogi,+ 19  kyonki unhonne mera sandesh nahin suna jo mainne apne sevkon, apne bhavishyavaktaon ke haathon unke paas baar-baar bheja* tha.’+ yahova ka yah ailan hai. yahova ailan karta hai, ‘magar tumne meri baat nahin maani.’+ 20  isliye tum sab yahova ka sandesh suno, jinhein mainne yarooshalem se baibilon ki bandhuai mein bhej diya hai. 21  senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kolayah ke bete ahab aur maanseyah ke bete sidkiyah ke baare mein, jo mere naam se tumhein jhoothi bhavishyavani sunate hain,+ yah kehta hai, ‘main unhein baibilon ke raja nabookadnessar* ke haath mein karnevala hoon. woh unhein tumhari aankhon ke saamne maar daalega. 22  unke saath jo hoga, uski misal dekar baibilon mein rehnevale yahooda ke sabhi bandhuye shaap dete vakt kaheinge, “yahova tumhein sidkiyah aur ahab jaisa kar de jinhein baibilon ke raja ne aag mein bhoon diya tha!” 23  kyonki unhonne israel mein sharmnak kaam kiye the,+ apne padosiyon ki patniyon ke saath vyabhichar kiya aur mere naam se jhoothe sandesh diye, jabki mainne unhein aagya nahin di thi.+ yahova ailan karta hai, “main yah sab jaanta hoon aur is baat ka gavah hoon.”’”+ 24  “aur nehelami shamayah se tu kehna,+ 25  ‘senaon ka parmeshvar aur israel ka parmeshvar yahova kehta hai, “toone apne naam se yarooshalem ke sab logon ko, maanseyah ke bete yaajak sapanyah+ ko aur sab yaajkon ko khat bheje aur unse kaha, 26  ‘yahova ne yaajak yahoyada ke badle tujh sapanyah ko yaajak thehraya hai taaki tu yahova ke bhavan ka nigrani karnevala bane aur aise har paagal ko pakad le jo bhavishyavakta hone ka dhong karta hai aur use kaath* mein kas de.+ 27  to fir toone kyon anatot ke yirmayah+ ko nahin fatkaara jo tumhara bhavishyavakta hone ka dhong karta hai?+ 28  usne baibilon mein rehnevale hum logon ko bhi khat bhejkar kaha, “bandhuai lambe samay tak chalegi! isliye vahin ghar banakar raho. baag lagakar unka fal khaao,+—”’”’” 29  jab yaajak sapanyah+ ne bhavishyavakta yirmayah ke saamne yah khat padhkar sunaya, 30  to yahova ka yah sandesh yirmayah ke paas pahuncha: 31  “bandhuai mein rehnevale sab logon ko yah sandesh bhej: ‘nehelami shamayah ke baare mein yahova kehta hai, “mainne shamayah ko nahin bheja, fir bhi usne tumhein bhavishyavani sunayi aur tumhein jhoothi baaton par yakeen dilane ki koshish ki,+ 32  isliye yahova kehta hai, ‘ab main nehelami shamayah aur uske vanshajon ko saza denevala hoon. uske vanshajon mein se ek bhi aadmi in logon ke beech zinda nahin bachega. main apne logon ke saath jo bhalai karoonga, use woh nahin dekh paayega, kyonki usne yahova ke khilaf bagavat bhadkayi hai.’ yahova ka yah ailan hai.”’”

kai footnote

ya shaayad, “suraksha-deevar bananevale.”
ya shaayad, “fate huye.”
ya “beemari.”
shaa., “tadke uthkar bhejta raha.”
shaa., “nabookadressar.” yah ek alag vartani hai.
mool paath mein do shabd istemal kiye gaye hain. ek shabd ka matlab shaayad ‘pairon ke liye kaath’ hai aur doosre ka shaayad ‘haathon aur sir ke liye kaath’ hai.