is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

parmeshvar ke vachan ko jaaniye

bible mein aaytein kaise dhoondhein

bible kul 66 chhoti-chhoti kitabon se milkar bani hai. ise do bhaagon mein baanta gaya hai: ibrani- araami shastra (“purana niyam”) aur yoonani shastra (“naya niyam”). bible ki har kitab ko adhyayon aur aayton mein baanta gaya hai. jab bible ki aayton ka zikra kiya jaata hai to pehale kitab ka naam, fir adhyay ki sankhya aur fir aayton ki sankhya di hoti hai. misal ke liye, utpatti 1:1 ka matlab hai, utpatti ki kitab ka pehala adhyay aur uski pehali aayat.