is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

ayyoob ki kitab

adhyay

saaraansh

  • 1

    • nirdosh ayyoob; uski daulat (1-5)

    • shaitan ne uski neeyat par saval uthaya (6-12)

    • ayyoob sampatti aur bachche kho baitha (13-19)

    • parmeshvar ko dosh nahin diya (20-22)

  • 2

    • shaitan ne dobara saval uthaya (1-5)

    • shaitan ko use peedit karne diya gaya (6-8)

    • ayyoob ki patni: “parmeshvar ki ninda kar aur mar jaa!” (9, 10)

    • ayyoob ke teen saathi aaye (11-13)

  • 3

    • ayyoob ne apne janm ke din ko kosa (1-26)

      • poochha, kyon woh dukh jhel raha hai (20, 21)

  • 4

    • eleepaj ka pehala bhaashaan (1-21)

      • ayyoob ke nirdosh hone ka mazak udaya (7, 8)

      • ek saaye ka sandesh sunaya (12-17)

      • “parmeshvar ko apne sevkon par bharosa nahin” (18)

  • 5

    • eleepaj ka bhaashaan jaari (1-27)

      • ‘parmeshvar buddhimanon ko unki chaalaaki mein fansata hai’ (13)

      • ‘parmeshvar jo seekh de, ayyoob use na thukraye’ (17)

  • 6

    • ayyoob ka javab (1-30)

      • kaha, aavaz uthana galat nahin (2-6)

      • use dilasa denevale dagabaz (15-18)

      • “khari baat kabhi nahin akharti!” (25)

  • 7

    • ayyoob ki baat jaari (1-21)

      • zindagi gulami se kam nahin (1, 2)

      • “toone kyon mujhe apna nishana banaya hai?” (20)

  • 8

    • bildad ka pehala bhaashaan (1-22)

      • ishara kiya ki ayyoob ke beton ne paap kiya tha (4)

      • ‘agar tera man saaf hai, to parmeshvar teri raksha karega’ (6)

      • ishara kiya ki ayyoob bhaktiheen hai (13)

  • 9

    • ayyoob ka javab (1-35)

      • adna insan parmeshvar se nahin lad sakta (2-4)

      • ‘parmeshvar ke kaam samajh se pare’ (10)

      • usse koi behas nahin kar sakta (32)

  • 10

    • ayyoob ki baat jaari (1-22)

      • ‘parmeshvar kyon mujhse lad raha hai?’ (2)

      • parmeshvar aur ayyoob mein fark (4-12)

      • ‘kaash! mujhe thodi raahat mile’ (20)

  • 11

    • sopar ka pehala bhaashaan (1-20)

      • dosh lagaya ki ayyoob bekar ki baatein karta hai (2, 3)

      • ayyoob se bure kaam chhodne ko kaha (14)

  • 12

    • ayyoob ka javab (1-25)

      • “main kisi bhi tarah tumse kam nahin” (3)

      • ‘main mazak bankar reh gaya hoon’ (4)

      • ‘parmeshvar ke paas buddhi hai’ (13)

      • woh nyayiyon aur raajaon se badhkar hai (17, 18)

  • 13

    • ayyoob ki baat jaari (1-28)

      • ‘main apni baat parmeshvar se kahoonga’ (3)

      • ‘tum sab nikamme vaid ho’ (4)

      • “main jaanta hoon main begunah hoon” (18)

      • ‘parmeshvar ne kyon mujhe dushman samjha?’ (24)

  • 14

    • ayyoob ki baat jaari (1-22)

      • chaar din ki zindagi dukhon se bhari (1)

      • ‘ek ped ke liye bhi ummeed hai’ (7)

      • “kaash! tu mujhe kabraa mein chhipa le” (13)

      • “agar ek insan mar jaaye, to kya woh fir zinda ho sakta hai?” (14)

      • parmeshvar apne haath ki rachna dekhne ko tarasta hai (15)

  • 15

    • eleepaj ka doosra bhaashaan (1-35)

      • kaha, ayyoob mein parmeshvar ka dar nahin (4)

      • use gustakh bataya (7-9)

      • “parmeshvar ko apne swargdooton par vishvas nahin” (15)

      • ‘dusht dukhon se ghira rehta hai’ (20-24)

  • 16

    • ayyoob ka javab (1-22)

      • ‘dilasa dena to door, tum meri takaleef badha rahe ho’ (2)

      • kaha, parmeshvar ne mujhe nishana banaya (12)

  • 17

    • ayyoob ki baat jaari (1-16)

      • ‘thattha karnevale mujhe ghere hain’ (2)

      • ‘parmeshvar ne mera mazak bana diya hai’ (6)

      • “kabraa mera ghar ban jaayegi” (13)

  • 18

    • bildad ka doosra bhaashaan (1-21)

      • dushton ka anjam bataya (5-20)

      • ishara kiya ki ayyoob parmeshvar ko nahin jaanta (21)

  • 19

    • ayyoob ka javab (1-29)

      • “doston” ki fatkaar thukrayi (1-6)

      • kaha, sabne use chhod diya (13-19)

      • “mera ek chhudanevala hai” (25)

  • 20

    • sopar ka doosra bhaashaan (1-29)

      • apmanit mehsoos kiya (2, 3)

      • ishara kiya ki ayyoob dusht hai (5)

      • kaha, ayyoob ko paap karne mein maza aata hai (12, 13)

  • 21

    • ayyoob ka javab (1-34)

      • ‘dusht kyon falta-foolta hai?’ (7-13)

      • apne ‘dilasa denevalon’ ko latada (27-34)

  • 22

    • eleepaj ka teesra bhaashaan (1-30)

      • ‘insan parmeshvar ke kis kaam ka?’ (2, 3)

      • dosh lagaya ki ayyoob laalchi aur anyayi hai (6-9)

      • ‘parmeshvar ke paas laut aa aur aabad ho’ (23)

  • 23

    • ayyoob ka javab (1-17)

      • parmeshvar ke saamne apna maamla rakhoonga (1-7)

      • kaha, use parmeshvar nahin mil raha (8, 9)

      • ‘main uski raah se nahin bhatka’ (11)

  • 24

    • ayyoob ki baat jaari (1-25)

      • ‘parmeshvar ne ek samay kyon nahin thehraya?’ (1)

      • kaha, parmeshvar burai hone deta hai (12)

      • paapiyon ko andhkar pasand (13-17)

  • 25

    • bildad ka teesra bhaashaan (1-6)

      • ‘insan parmeshvar ke saamne nirdosh kaise ho sakta hai?’ (4)

      • kaha, insan ke nirdosh hone ka faayda nahin (5, 6)

  • 26

    • ayyoob ka javab (1-14)

      • “kya khoob madad ki hai toone kamzoron ki!” (1-4)

      • ‘parmeshvar prithvi ko bina sahare ke latkaye hai’ (7)

      • “uske kaamon ke chhor ko chhoone jaisa hai” (14)

  • 27

    • ayyoob ne nirdosh bane rehne ki thaani (1-23)

      • ‘main nirdosh bana rahoonga’ (5)

      • bhaktiheen ke liye aasha nahin (8)

      • “tumhari baatein khokhli kyon hain?” (12)

      • dusht ke paas kuch nahin bachta (13-23)

  • 28

    • ayyoob dharti ke khazane aur buddhi mein fark batata hai (1-28)

      • insan ka khadan khodna (1-11)

      • buddhi motiyon se kahin badhkar (18)

      • yahova ka dar maanna sachchi buddhi (28)

  • 29

    • ayyoob achhe dinon ko yaad karta hai (1-25)

      • shehar ke faatak par izzat thi (7-10)

      • nyay ke hak mein kaam kiya (11-17)

      • sab uski salah maante (21-23)

  • 30

    • ayyoob badle haalaat ke baare mein batata hai (1-31)

      • nikamme log uski khilli udate hain (1-15)

      • lagta hai ki parmeshvar madad nahin kar raha (20, 21)

      • ‘meri chamdi kaali pad gayi hai’ (30)

  • 31

    • ayyoob ne nirdosh hone ki pairvi ki (1-40)

      • “apni aankhon ke saath karar kiya” (1)

      • parmeshvar mujhe tarazoo mein taul (6)

      • main badchalan nahin (9-12)

      • mujhe paison se pyar nahin (24, 25)

      • main moortipooja karnevala nahin (26-28)

  • 32

    • javan eleehoo charcha mein shaamil hua (1-22)

      • ayyoob aur uske saathiyon se gussa (2, 3)

      • aadar dikhaya aur doosron ko pehale bolne diya (6, 7)

      • umra hi kisi ko buddhiman nahin banati (9)

      • eleehoo bolne ke liye betab (18-20)

  • 33

    • ayyoob ne khud ko sahi thehraya; eleehoo ne use sudhaara (1-33)

      • firauti mil gayi (24)

      • javani ka damkham lautega (25)

  • 34

    • eleehoo parmeshvar ke nyay aur uske kaamon ko sahi thehrata hai (1-37)

      • ayyoob kehta hai, parmeshvar ne mujhe insaf nahin diya (5)

      • parmeshvar kabhi dusht kaam nahin karta (10)

      • ayyoob mein gyaan nahin (35)

  • 35

    • eleehoo batata hai, ayyoob ki soch galat hai (1-16)

      • ayyoob ne kaha, woh parmeshvar se zyada nek hai (2)

      • paap se parmeshvar ka kuch nahin bigdega (5, 6)

      • ayyoob faisle ka intazar kare (14)

  • 36

    • eleehoo ne parmeshvar ki mahanta ki taareef ki (1-33)

      • aagyakari falte-foolte hain; bhaktiheen thukraye jaate hain (11-13)

      • “sikhane mein uske jaisa koi nahin” (22)

      • ayyoob uski badai kare (24)

      • “parmeshvar ki mahanta hamari samajh se pare” (26)

      • baarish aur bijli uske kaaboo mein (27-33)

  • 37

    • prakritik shaktiyaan parmeshvar ki mahanta ka saboot (1-24)

      • woh insan ke kaam rok sakta hai (7)

      • parmeshvar ke laajavab kaam dekh (14)

      • parmeshvar ko samajhna insan ke bas ke baahar (23)

      • insan khud ko buddhiman na samjhe (24)

  • 38

    • parmeshvar seekh deta hai ki insan kitna chhota hai (1-41)

      • ‘jab mainne dharti banayi tab tu kahaan tha?’ (4-6)

      • parmeshvar ke beton ne jayjaykar ki (7)

      • kudrat ke baare mein saval (8-32)

      • ‘aakashmandal mein thehraye niyam’ (33)

  • 39

    • jaanvaron ki srishti dikhati hai ki insan kitna kam jaanta hai (1-30)

      • pahadi bakri aur hirni (1-4)

      • jangli gadha (5-8)

      • jangli saand (9-12)

      • shuturmurg (13-18)

      • ghoda (19-25)

      • baaz aur ukab (26-30)

  • 40

    • yahova ne aur bhi saval kiye (1-24)

      • ayyoob ne maana ki uske paas kehne ko kuch nahin (3-5)

      • “tu mere faisle par ungli uthayega?” (8)

      • parmeshvar ne bahemot ki shakti ke baare mein bataya (15-24)

  • 41

    • parmeshvar ne adbhut livyatan ke baare mein bataya (1-34)

  • 42

    • ayyoob ne yahova ko javab diya (1-6)

    • uske teen saathi doshi thahre (7-9)

    • yahova ne ayyoob ki khushhali lauta di (10-17)

      • ayyoob ke bete-betiyaan (13-15)