is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

saath nibhane ka irada ek langar ki tarah hai, jo museebaton ke toofan mein bhi aapke rishte ko salamat rakhega

pati-patniyon ke liye

1: saath nibhane ka irada

1: saath nibhane ka irada

iska kya matlab hai?

ek-doosre ka saath nibhane ka irada rakhnevale pati-patni shaadi ko zindagi-bhar ka bandhan maante hain. unhein bharosa rehta hai ki woh hamesha ek-doosre ke raheinge. donon ko poora yakeen hota hai ki mushkilein aane par bhi unka saathi unka saath nahin chhodega.

kuch pati-patni majboori mein saath rehte hain. woh samaj aur rishtedaron ke dar se kisi tarah yah rishta nibha lete hain. lekin kitna achha hoga ki pati-patni majboori mein nahin, balki ek-doosre ke liye pyar aur aadar ki vajah se apna rishta nibhayen.

pavitra shastra ki salah: “ek pati ko chahiye ki apni patni ko na chhode.”​—1 kurinthiyon 7:11.

“saath nibhane ka irada ho, to aap apne saathi ki kisi baat ka bura nahin maaneinge. aap use turant maaf kar deinge aur khud galti karne par turant maafi maang leinge. samasya aane par aap saathi ko chhod nahin deinge, balki samasya ko suljhayenge.”​—micah.

yah kyon maayne rakhta hai?

jis pati-patni mein saath nibhane ka pakka irada nahin hota, woh samasyayen aane par shaayad turant sochein ki ‘mainne sahi saathi nahin chuna’ aur alag hone ke bahane dhoondhne lagein.

“kuch log pehle se yah sochkar shaadi karte hain ki agar unki aapas mein nahin bani, to woh talak le leinge. lekin agar shaadi karte samay hi shaadi todne ka khayal ho, to bhala woh bandhan kaise mazboot hoga?”​—jean.

aap kya kar sakte hain?

khud se poochhiye

jab aap donon mein jhagda hota hai, to . . .

  • kya aap sochte hain ki mainne isse shaadi kyon ki?

  • kya aap kisi paraye ke saath samay bitane ke sapne dekhte hain?

  • kya aap apne saathi se kehte hain, “ab main tumhare saath nahin reh sakta” ya “main kisi aur ko le aaunga jise meri kadar ho”?

agar aap inmein se kisi ek saval ka bhi javab ‘haan’ mein dete hain, to iska matlab hai ki aapki shaadi ka bandhan kamzor hai aur aapko fauran ise mazboot karna hai.

apne saathi se is baare mein baat keejiye

  • kya saath nibhane ka hamara irada kamzor pad gaya hai? agar haan, to kyon?

  • hum apna irada mazboot karne ke liye kya-kya kar sakte hain?

ise aazmaiye

  • kabhi-kabhi apne saathi ko pyar ke do shabd likhkar deejiye

  • kaam ki jagah par apne saathi ke photo rakhiye

  • jab aap kaam ki jagah par hon ya apne saathi se door hon, to use har din phone ya message keejiye

pavitra shastra ki salah: “jise parmeshvar ne ek bandhan mein baandha hai, use koi insan alag na kare.”​—matti 19:6.