is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

jaise samay par karz chukane se hum bank ka bharosa jeette hain, vaise hi aap jitna zyada mammi-paapa ki baat maaneinge, utna hi unka bharosa jeeteinge

naujvanon ke liye

10: bharosemand

10: bharosemand

iska kya matlab hai?

jo log bharosemand hote hain, unke mammi-paapa, dost aur kaam ki jagah par unke maalik un par yakeen karte hain. woh kaayde-kaanoon maante hain, apne vaade nibhate hain aur hamesha sach bolte hain.

yah kyon maayne rakhta hai?

aap jitna zyada doosron ka bharosa jeeteinge, woh aapko utni hi zyada aazadi deinge.

“apne mammi-paapa ka bharosa jeetne ka sabse achha tareeka hai, khud ko ek zimmedar aur samajhdar insan saabit karna. jab mammi-paapa aas-paas hon, sirf tabhi nahin, balki jab woh saath nahin hote, tab bhi aapko bharosemand hona chaahiye.”​—sarahi.

pavitra shastra ki salah: “tum kya ho, iska saboot dete raho.”​—2 kurinthiyon 13:5.

aap kya kar sakte hain?

agar aap chahte hain ki koi aap par aur bhi bharosa kare ya agar kisi ka aap par se bharosa uth gaya hai aur aap dobara unka bharosa jeetna chahte hain, to neeche diye kadam uthaiye.

sachchai se pesh aaiye. jhooth bolne se ek pal mein logon ka hum par se bharosa uth sakta hai. lekin agar hum sach bolein, dhong na karein aur galti karne par use maan lein, to hum doosron ka bharosa jeeteinge.

“vaise to sach bolna itna mushkil nahin hota. lekin jab hamne koi galti ki ho, tab use maanna aur sabkuch sach-sach batana mushkil lag sakta hai, kyonki hamein dar laga rehta hai ki log hamare baare mein kya socheinge. lekin jab hum aise mein bhi sach bolte hain, to hum par doosron ka bharosa badh jaata hai.”​—caiman.

pavitra shastra ki salah: “hum sab baaton mein imandari se kaam karna chahte hain.”​—ibraniyon 13:18.

bharosemand baniye. amreeka mein, ek survey mein poochha gaya ki kisi ko naukri dene se pehle usmein kya dekha jaata hai. athhattar pratishat logon ne kaha ki woh khaas taur se yah dekhte hain ki woh vyakti bharose ke laayak hai ya nahin. agar aap abhi se bharosemand hona seekhein, to bade hone par bhi yah aapke kaam aayega.

“jab mammi-paapa dekhte hain ki woh mujhe jo kaam dete hain, use main poora karti hoon aur unhein mujhse baar-baar kehna nahin padta, to woh mujh par aur bhi bharosa karte hain.”​—sarah.

pavitra shastra ki salah: ‘mujhe poora yakeen hai ki tu meri baat zaroor maanega. main jaanta hoon ki mainne jo kaha hai tu usse kahin badhkar karega.’​—filemon 21.

sabra rakhiye. bachchon ka kad kitna badh gaya hai, yah to aasani se nazar aata hai, lekin woh kitne zimmedar aur samajhdar ban gaye hain, yah pehchanne mein vakt lagta hai.

“aap bas ek achha kaam karke mammi-paapa aur doosron ka bharosa nahin jeet sakte. aapko lagatar aise kaam karne honge. doosron ka bharosa jeetne mein vakt lagta hai.”​—brandon.

pavitra shastra ki salah: “sabra ka pehnava pehen lo.”​—kulussiyon 3:12.