is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

bhavishyavani 1. bhookamp

bhavishyavani 1. bhookamp

bhavishyavani 1. bhookamp

“bade-bade bhookamp aayenge.”​—luka 21:11.

● winnie jab kareeb dedh saal ki thi, tab haiti mein bahot bada bhookamp aaya. dekhte-hi-dekhte bahot-si imartein dhah gayin aur yah nanhi-si bachchi malbe ke neeche fans gayi. lekin vahin se kuch tv reporter guzar rahe the aur unhein uske rone ki aavaz sunayi di. unhonne winnie ko nikaal liya aur uski jaan bacha li. lekin dukh ki baat hai ki is haadse mein uske maata-pita ki maut ho gayi.

aankde kya dikhate hain? janvari 2010 mein haiti mein 7.0 ki teevrata ka ek bhookamp aaya. isne kareeb 3 laakh logon ki jaan le li aur ek hi pal mein kareeb 13 laakh logon ko beghar kar diya. aisa nahin hai ki haal hi mein sirf yahi ek bada bhookamp hua hai. aprail 2009 se aprail 2010 ke beech duniya mein kareeb 18 bade-bade bhookamp aaye hain.

log kya kehte hain? ‘aisa nahin hai ki aajkal zyada bhookamp ho rahe hain, bhookamp to pehle bhi hote the. bas aajkal technology ki vajah se hamein inki khabar mil jaati hai.’

kya yah baat sach hai? bible mein yah nahin likha hai ki aakhiri dinon mein kitne bhookamp aayenge, balki yah likha hai ki ‘ek-ke-baad-ek kai jaghon’ par “bade-bade bhookamp” aayenge. isse yah saaf ho jaata hai ki hum aakhiri dinon mein ji rahe hain.​—markus 13:8; luka 21:11.

aapko kya lagta hai? jaise bible mein bataya gaya tha, kya aaj bade-bade bhookamp ho rahe hain?

aakhiri dinon ki sirf yah nishani nahin hai ki bhookamp honge, balki aur bhi kai nishaniyaan hain. aaiye ab doosri bhavishyavani par gaur karein.

[page par bade aksharon mein lekh ki khaas baat]

bhookampon ki vajah se bahot tabahi machi hai.

[chitra ka shrey]

© William Daniels/​Panos Pictures