yahova ke sakshi—hum kaun hain?
hum alag-alag desh, sanskriti aur bhasha se hain, fir bhi ek-jaise lakshya hone ki vajah se hamare beech ekta hai. magar hamari ekta ki sabse badi vajah hai ki hum yahova ko aadar dena chahte hain, parmeshvar ka naam yahova hai aur bible mein yah naam saaf-saaf likha hai. usi ne saari cheezen banayi hain. hum yeeshu maseeh ke nakshe-kadam par chalne ki poori-poori koshish karte hain aur garv se khud ko maseehi kehte hain. hammein se harek niyamit taur par samay nikalkar logon ko bible aur parmeshvar ke raaj ke baare mein batata hai. hum yahova parmeshvar aur uske raaj ke baare mein doosron ko sakshi dete hain ya batate hain, isliye hamein yahova ke sakshi kaha jaata hai.
hamari website par aur jaankari dekhiye. is par bible padhiye. hamare baare mein aur hamare vishvas ke baare mein aur jaaniye.