is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

daan kiye gaye paison ka istemal kaise kiya jaata hai?

2020 ke shetreeya adhiveshan “hamesha khush raho!” kaaryakram ka anuvad

2020 ke shetreeya adhiveshan “hamesha khush raho!” kaaryakram ka anuvad

10 julai, 2020

 2020 ke julai aur agast maheene mein shetreeya adhiveshan ka pehle se record kiya gaya kaaryakram dikhaya jaa raha hai. aisa pehli baar ho raha hai jab record kiya gaya kaaryakram poori duniya ke bhaai-behen ek hi samay par dekh rahe hain. iske liye kaaryakram ka anuvad 500 se bhi zyada bhaashaon mein karna tha. vaise to adhiveshan ke kaaryakram ka anuvad karne aur use record karne mein kareeb ek saal lag jaata hai. lekin corona mahamari ki vajah se 2020 ke shetreeya adhiveshan “hamesha khush raho!” ka anuvad karne ke liye bhaai-behenon ke paas chaar maheene se bhi kam samay tha.

 yah ek bahot bada kaam tha. isliye yahova ke sakshiyon ke vishva mukhyalay ke anuvad seva vibhag aur khareedari karnevale vibhag ne saath milkar kaam kiya. fir anuvad seva vibhag ko pata chala ki anuvad karnevale zyadatar bhaai-behenon ke paas sahi upkaran nahin hain. unke paas record karne ke liye achhe mike bhi nahin the. isliye khareedari karnevale vibhag ne 1,000 mike khareede aur unhein 200 alag-alag jagah bheja.

 unhonne ek-saath bahot saare mike khareede jisse kaafi paisa bacha. iske baad sabhi mike ek hi jagah bheje gaye. fir vahaan se unhein poori duniya mein anuvad karnevale bhaai-behenon ko bheja gaya. itne saare mike ek-saath khareedne aur bhejne se, har mike kareeb 12, 700 rupaye ka pada. vahin agar yah mike alag-alag khareede jaate, to aur bhi mehange padte.

 khareedari karnevale vibhag ko sabhi upkaran aprail aur mai ke maheene mein khareedne the aur unhein bhejna bhi tha. lekin tab corona mahamari ki vajah se zyadatar kaarobar thap pade the. fir bhi mai ke aakhir tak zyadatar r. t. o yaani anuvad daftaron mein, shaakha daftaron mein aur doosri jagahon par jahaan bhaai-behen anuvad kar rahe hain, zaroori upkaran pahunch gaye.

 khareedari karnevale vibhag ke nigran, bhaai jay swinney ne kaha, “is dauran bethel ke vibhagon ko doosre kaarobariyon ne achha sahyog diya. yahova ki pavitra shakti ki madad se hi hum itni jaldi yah saara kaam kar paaye. aur bhaai-behenon se mile daan ka bhi sahi istemal kar paaye.”

 anuvad seva vibhag mein kaam karnevale bhaai nicholas ahladis kehte hain, “lockdown ki vajah se anuvadak apni team ke doosre bhaai-behenon se nahin mil paa rahe the. lekin jab unhein zaroori upkaran mile, to unhein bahot khushi hui aur hausla mila. kyonki ab woh milkar adhiveshan ke bhaashnon ka, geeton ka aur drama ka 500 se bhi zyada bhaashaon mein anuvad kar sakte the.”

 2020 ke shetreeya adhiveshan “hamesha khush raho!” ko poora karne ke liye bahot-se kaam karne the. in upkarnon ko bhaai-behenon tak pahunchana, unmein se sirf ek tha. aap pyare bhaai-behenon ne donate.pr418.com ke zariye jo daan diya, uski vajah se hi yah sab mumkin ho paaya hai.