is jaankari ko chhod dein

ukraine mein tiachiv shehar mein sammelan bhavan ko is tarah taiyar kiya gaya taaki sharnarthi vahaan sharan le sakein

8 march, 2022
ukraine

report #1 | ukraine par aaye sankat ke dauran bhai-behenon ka pyar saaf nazar aaya

report #1 | ukraine par aaye sankat ke dauran bhai-behenon ka pyar saaf nazar aaya

ukraine mein lagatar bambari ho rahi hai jis vajah se mariupol, kharkiv, hostomel aur doosre shehron mein hamare bhai-behenon ke liye mushkilein badhti jaa rahi hain. bambari se bachne ke liye bhai-behenon ne tehkhanon aur kuch jagahon mein sharan liya hai. inmein se kuch bhai-behen hafte-bhar se vahaan band hain. khaane-peene ki cheezen kam hoti jaa rahi hain, bijli, internet aur telephone line bhi theek se nahin chal rahi jis vajah se bhai-behenon se sampark karna mushkil ho raha hai.

myrnohrad shehar mein 28 saal ke ek pracheen, bhai dmytro rozdorskyi ne anjane mein baaroodi surang par pair rakh diya aur woh bahot zakhmi ho gaya. dukh ki baat hai ki is vajah se uski maut ho gayi. hum un sabhi ke liye prarthna kar rahe hain jinhonne apnon ko khoya hai. hum un ilakon mein rehnevale bhai-behenon ke liye bhi prarthna kar rahe hain jahaan bhaari bambari ho rahi hai.​—2 thisslunikiyon 3:1.

bambari ki vajah se ukraine ke ovruch kasbe mein ek raaj-ghar ko bahot nuksan hua

7 march, 2022 tak ukraine se yah khabar mili hai:

hamare bhai-behenon par kya asar hua hai?

  • 2 pracharakon ki maut ho gayi hai

  • 8 pracharak ghaayal huye hain

  • 20,617 pracharakon ko apna ghar chhodkar bhaagna pada aur unhein ukraine mein hi kisi doosri jagah panah leni padi

  • 25 ghar tehas-nehas ho gaye

  • 29 gharon ko bahot nuksan hua

  • 173 gharon ko thoda-bahot nuksan hua

  • 5 raaj-gharon ko nuksan hua

raahat kaam

  • ukraine mein 27 vipatti raahat-samitiyaan bhai-behenon ki madad kar rahi hain

  • in samitiyon ne 6,548 pracharakon ko surakshit jagahon mein thehrane ka intazam kiya

  • 7,008 pracharakon ko doosre deshon mein bhaagna pada aur vahaan ke bhai-behen unki madad kar rahe hain

  • pashchimi ukraine ke kuch ilakon mein jaise chernevtsi, ivano-frankivsk, lviv aur transcarpathian mein 1 sammelan bhavan aur kareeb 30 raaj-gharon ko is tarah taiyar kiya gaya taaki sharnarthi vahaan sharan le sakein