23 maarch, 2022
ukraine
report #4 | ukraine par aaye sankat ke dauran bhaai-behenon ka pyar saaf nazar aaya
hum un bhaai-behenon ke liye lagatar prarthna kar rahe hain jo mariupol mein hain. us ilake mein ab bhi bambari ho rahi hai aur log sadkon par ladai-jhagde kar rahe hain. hamein yah batate huye bahot dukh ho raha hai ki bambari ki vajah se hamare chhe bhaai-behenon ki jaan chali gayi hai. poore ukraine mein ab tak das bhaai-behenon ki jaan jaa chuki hai. jaisa ki kai khabron mein bataya jaa raha hai, ek theater par pichhle hafte bam giraye gaye. is theater mein 1,000 se bhi zyada log panah le rahe the. is hamle mein kisi bhi bhaai ya behen ki jaan nahin gayi magar kuch ko chotein aayi hain.
kareeb 750 bhaai-behen mariupol shehar chhodkar bhaag gaye hain par ab bhi vahaan kareeb 1,600 bhaai-behen hain. inmein se zyadatar bhaai-behen, shehar ke poorvi ilake mein rehte hain jo ab roos ke kabze mein hai.
jaisa pehale bataya gaya tha, kareeb 200 bhaai-behen ek raaj-ghar ke basement mein panah le rahe hain, jahaan ek sammelan bhavan bhi hai. jab unse kuch der ke liye baat ho paayi to unhonne bataya:
“jab bambari ho rahi thi to kai bhaai-behen bahot dar gaye the, kuch to rone bhi lage. hamein baahar dhamakon ki aavaz sunayi de rahi thi. hum sochne lage ki hum ya to kisi dhamake mein maare jaayenge ya fir aag lagne se. ek pracheen ne sujhav diya ki hum raaj-geet gaayen. hamne saath milkar ek-ke-baad-ek 10-15 geet gaaye. jaise-jaise baahar dhamakon ka shor badh raha tha aur building zor se hilne lagi, hamare gaane ki aavaz bhi tez hoti gayi. fir hamne bhajan 27 padha aur us par charcha ki. uske baad bhaai-behen apni pasandeeda aaytein batane lage aur yah bhi ki kaise unhein inse himmat milti hai. . . . hamne mehsoos kiya ki yahova vaakai ‘komal daya ka pita aur har tarah ka dilasa denevala parmeshvar hai’ jo mushkil-se-mushkil haalaat mein bhi hamein mann ki shaanti de sakta hai.”—2 kurinthiyon 1:3, 4.
kai pracheen aur vipatti raahat-samiti ke bhaai gazab ka jazba dikha rahe hain. woh apni jaan khatre mein daalkar bhaai-behenon ko dhoondh rahe hain aur zaroorat padne par unhein khaane-peene ki cheezen aur davaiyaan de rahe hain. jab woh bhaai-behenon ko dhoondhne shehar mein nikaalte hain, to kai baar goli-baari se bachne ke liye unhein zameen par haath-pairon ke bal chalkar jaana padta hai. hamein in bhaaiyon par naaz hai, jo ‘apni jaan jokhim mein daalkar’ bhaai-behenon ki madad kar rahe hain.—romiyon 16:4.
shehar mein kai jagahon par bijli nahin aa rahi hai aur gas bhi nahin mil rahi. isliye kuch behenein baahar aag par khaana pakati hain aur buzurg aur apang bhaai-behenon ke liye bhejti hain. ye behenein vaakai bahot himmat dikha rahi hain! kai bhaai-behenon ke ghar, gaadiyaan aur doosri cheezen tabah ho gayi hain. aise mein doosre bhaai-behen unke liye jo pyar aur parvah dikha rahe hain uske liye woh bahot shukraguzar hain.
jo bhaai-behen sharan le rahe hain woh ab bhi yahova ki upasna mein lage huye hain. woh saath milkar bible padhte hain aur mauka milne par doosron ko gavahi bhi dete hain.
22 maarch, 2022 tak ukraine se aage batayi khabar mili hai. sthaneeya bhaaiyon ke mutabik yah khabar pakki hai. lekin ankade isse bhi zyada ho sakte hain, kyonki desh ke har ilake ke bhaai-behenon se sampark banaye rakhna mushkil hai:
hamare bhaai-behenon par kya asar hua hai?
10 pracharakon ki maut ho gayi hai
27 pracharak ghaayal huye hain
33,180 pracharakon ko apna ghar chhodkar bhaagna pada aur unhein ukraine mein hi kisi doosri jagah panah leni padi
78 ghar tahas-nahas ho gaye
102 gharon ko bahot nuksan hua
484 gharon ko thoda-bahot nuksan hua
1 raaj-ghar tahas-nahas ho gaya
4 raaj-gharon ko bahot nuksan hua
18 raaj-gharon ko thoda-bahot nuksan hua
raahat kaam
ukraine mein 27 vipatti raahat-samitiyaan bhaai-behenon ki madad kar rahi hain
in samitiyon ne 25,069 pracharakon ko surakshit jagahon mein thehrane ka intazam kiya
14,308 pracharakon ko doosre deshon mein bhaagna pada aur vahaan ke bhaai-behen unki madad kar rahe hain