is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

kha1

bible ka sandesh

sirf yahova parmeshvar ko hi raaj karne ka hak hai. aur uska raaj karne ka tareeka hi sabse badhiya hai. dharti aur insanon ke liye uska maksad zaroor poora hoga.

ee.poo. 4026 ke baad

“saanp” yaani shaitan ne saval uthaya ki kya yahova ko raaj karne ka hak hai aur kya raaj karne ka uska tareeka sahi hai. yahova ne vaada kiya ki ek “vansh” aayega jo aakhirkar saanp ko kuchal dega. (utpatti 3:1-5, 15) lekin tab tak yahova ne insanon ko samay diya ki woh shaitan ke adheen rehkar khud raaj karein.

ee.poo. 1943

yahova ne abraham ko bataya ki vaada kiya gaya “vansh” usi se aayega.—utpatti 22:18.

ee.poo. 1070 ke baad

yahova ne raja daavid aur baad mein uske bete sulaiman ko bharosa dilaya ki vaada kiya gaya “vansh” unke khaandan mein paida hoga.—2 shamooel 7:12, 16; 1 raja 9:3-5; yashayah 9:6, 7.

ee. 29

yahova ne khulasa kiya ki yeeshu hi vaada kiya gaya “vansh” hai aur daavid ki raajgaddi ka vaaris hai.—galatiyon 3:16; luka 1:31-33; 3:21, 22.

ee. 33

saanp yaani shaitan ne yeeshu ko marva daala aur is tarah kuch samay ke liye vaada kiye gaye “vansh” ko ghaayal kiya. yahova ne yeeshu ko zinda karke swarg mein jeevan diya aur uske paripoorna jeevan ki keemat kabool ki. is tarah usne aadam ki santanon ke liye paapon ki maafi aur hamesha ki zindagi paane ka raasta khola.—utpatti 3:15; preshiton 2:32-36; 1 kurinthiyon 15:21, 22.

1914 ya uske turant baad

yeeshu ne saanp yaani shaitan ko swarg se dharti par feink diya aur us par bandish lagayi ki woh thode samay ke liye yahin rahe.—prakashitvakya 12:7-9, 12.

bhavishya mein

yeeshu, shaitan ko 1,000 saal ke liye kaid kar dega. iske baad woh shaitan ka sir kuchal dega yaani hamesha ke liye uska naash kar dega. dharti aur insanon ke liye yahova ne shuroo mein jo maksad thehraya tha, woh poora hoga. yahova ke naam par laga kalank mita diya jaayega aur saabit ho jaayega ki parmeshvar ka raaj karne ka tareeka hi sahi hai.—prakashitvakya 20:1-3, 10; 21:3, 4.