parmeshvar ke vachan ko jaaniye
bible mein hamare liye parmeshvar ka sandesh diya gaya hai. yah batati hai ki hum zindagi mein kaamyab kaise ho sakte hain aur parmeshvar ki manzoori kaise paa sakte hain. bible in savalon ke javab bhi deti hai:
bible mein aaytein kaise dhoondhein
bible kul 66 chhoti-chhoti kitabon se milkar bani hai. ise do bhaagon mein baanta gaya hai: ibrani- araami shastra (“purana niyam”) aur yoonani shastra (“naya niyam”). bible ki har kitab ko adhyayon aur aayton mein baanta gaya hai. jab bible ki aayton ka zikra kiya jaata hai to pehale kitab ka naam, fir adhyay ki sankhya aur fir aayton ki sankhya di hoti hai. misal ke liye, utpatti 1:1 ka matlab hai, utpatti ki kitab ka pehala adhyay aur uski pehali aayat.