is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

saval 14

aap apne saadhnon ka sahi istemal kaise kar sakte hain?

“jise mauj-masti se pyar hai, woh kangal ho jaayega, jise tel aur daakh-madira se pyar hai, woh ameer nahin hoga.”

neetivachan 21:17

“udhaar lenevala, udhaar denevale ka gulam hota hai.”

neetivachan 22:7

“tummein aisa kaun hai jo ek meenar banana chahta ho aur baithkar pehale ismein lagnevale kharch ka hisab na lagaye taaki dekhe ki use poora karne ke liye uske paas kaafi paisa hai ya nahin? nahin to aisa hoga ki woh uski ninv to daalega, magar meenar banane ka kaam poora nahin kar paayega. aur sab dekhnevale uska mazak udayenge aur kaheinge, ‘yah aadmi banane to chala, magar poora nahin kar paaya.’”

luka 14:28-30

“jab unhonne bharpet khaa liya, to usne chelon se kaha, ‘bache huye tukde ikattha kar lo taaki kuch bhi bekar na ho.’”

yuhanna 6:12