saval 7
bible mein hamare dinon ke baare mein kya bataya gaya hai?
“ek raashtra doosre raashtra par aur ek raajya doosre raajya par hamla karega. . . . ye saari baatein prasav-peeda ki tarah museebaton ki sirf shurooat hongi.”
“kai jhoothe bhavishyavakta uth khade honge aur bahoton ko gumrah kareinge. aur dushtata ke badhne se kai logon ka pyar thanda ho jaayega.”
“jab tum yuddhon ka shorgul aur yuddhon ki khabrein suno, to ghabra na jaana. in sabka hona zaroori hai magar tabhi ant na hoga.”
“bade-bade bhookamp aayenge aur ek-ke-baad-ek kai jagah akaal padeinge aur mahamariyaan faileingi. khaufnak nazare dikhayi deinge aur aakash mein badi-badi nishaniyaan dikhayi deingi.”
“aakhiri dinon mein sankaton se bhara aisa vakt aayega jiska saamna karna mushkil hoga. isliye ki log sirf khud se pyar karnevale, paise se pyar karnevale, dingein maarnevale, magroor, ninda karnevale, maata-pita ki na maannevale, ehsan na maannevale, vishvasghati, lagav na rakhnevale, kisi bhi baat par raazee na honevale, badnam karnevale, sanyam na rakhnevale, khoonkhar, bhalai se pyar na karnevale, dhokhebaz, dheeth, ghamand se foole huye, parmeshvar ke bajay mauj-masti se pyar karnevale honge, woh bhakti ka dikhava to kareinge magar uske mutabik jeeyenge nahin.”