saval 3
bible kaise likhvayi gayi?
“moosa ne woh saari baatein likh daalin jo yahova ne usse kahi thi.”
“daaniyel ne bistar par lete ek sapna aur kuch darshan dekhe. fir usne likha ki usne kya sapna dekha tha. usne jo-jo dekha, uska poora byaura likha.”
“jab tumne parmeshvar ka vachan hamse suna to ise insanon ka nahin balki parmeshvar ka vachan samajhkar sweekar kiya, jaisa ki yah sachmuch hai.”
‘poora shastra parmeshvar ki prerna se likha gaya hai aur sikhane ke liye faaydemand hai.’
“koi bhi bhavishyavani insan ki marzee se kabhi nahin hui, balki insan pavitra shakti se udhaare jaakaar parmeshvar ki taraf se bolte the.”