saval 1
parmeshvar kaun hai?
“log jaanein ki sirf tu jiska naam yahova hai, saari dharti ke oopar param-pradhan hai.”
“jaan lo ki yahova hi parmeshvar hai. usi ne hamein banaya hai aur hum uske hain.”
“main yahova hoon, yahi mera naam hai. main apni mahima kisi aur ko na doonga, na apni taareef khudi hui moorton ko doonga.”
“jo koi yahova ka naam pukarta hai woh uddhaar paayega.”
“beshak, har ghar ka koi-na-koi bananevala hota hai magar jisne sabkuch banaya woh parmeshvar hai.”
“zara apni aankhein uthakar aasman ko dekho, kisne in taaron ko banaya? usi ne jo gin-ginkar unki sena ko bulata hai, ek-ek ka naam lekar use pukarta hai. uski zabardast taakat aur vismaykari shakti ki vajah se, unmein se ek bhi uske saamne gair-haazir nahin rehta.”