is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

saval 2

aap parmeshvar ke baare mein kaise seekh sakte hain?

“kaanoon ki is kitab ko apne munh se door na karna, din-raat ise dheemi aavaz mein padhna taaki tu iski ek-ek baat ka paalan kar sake. tab tu kaamyab hoga aur buddhimani se chal paayega.”

yahoshoo 1:8

“levi sachche parmeshvar ke kaanoon ki kitab padhkar sunate rahe. woh usmein likhi baatein khulkar samjhane aur unka matlab batane lage. is tarah, padhi jaanevali baaton ko samajhne mein unhonne logon ki madad ki.”

nahemayah 8:8

“sukhi hai woh insan jo dushton ki salah par nahin chalta. . . magar woh yahova ke kaanoon se khushi paata hai, din-raat uska kaanoon dheemi aavaz mein padhta hai. . . . woh aadmi apne har kaam mein kaamyab hoga.”

bhajan 1:1-3

“filippus us rath ke saath-saath daudne laga aur usne khoje ko bhavishyavakta yashayah ki kitab padhte suna aur usse poochha, ‘tu jo padh raha hai, kya use samajhta bhi hai?’ usne kaha, ‘jab tak koi mujhe na samjhaye, main bhala kaise samajh sakta hoon?’”

preshiton 8:30, 31

“uske andekhe gun duniya ki rachna ke vakt se saaf dikhayi dete hain yaani yah ki uske paas anant shakti hai aur sachmuch vahi parmeshvar hai. ye gun uski banayi cheezon ko dekhkar achhi tarah samjhe jaa sakte hain, isliye unke paas parmeshvar par vishvas na karne ka koi bahana nahin bachta.”

romiyon 1:20

“in baaton ke baare mein gehrai se sochta reh aur inhin mein laga reh taaki teri tarakki sab logon ko saaf dikhayi de.”

1 timuthiyus 4:15

“aao hum ek-doosre mein gehri dilchaspi lein taaki ek-doosre ko pyar aur bhale kaam karne ka badhava de sakein aur ek-doosre ke saath ikattha hona na chhodein.”

ibraniyon 10:24, 25

“agar tummein se kisi ko buddhi ki kami ho to woh parmeshvar se maangta rahe aur woh use di jaayegi, kyonki parmeshvar sabko udarta se aur bina daante-fatkaare deta hai.”

yakub 1:5