saval 18
aap parmeshvar ke dost kaise ban sakte hain?
“hey prarthna ke sunnaevale, sab kism ke log tere paas aayenge.”
“tu apni samajh ka sahara na lena, balki poore dil se yahova par bharosa rakhna, usi ko dhyan mein rakhkar sab kaam karna, tab woh tujhe sahi raah dikhayega.”
“hamesha ki zindagi paane ke liye zaroori hai ki woh tujh ekmatra sachche parmeshvar ko aur yeeshu maseeh ko jise toone bheja hai, jaanein.”
‘sach to yah hai ki parmeshvar hammein se kisi se bhi door nahin hai.’
“main yahi prarthna karta rehta hoon ki sahi gyaan aur paini samajh ke saath tumhara pyar aur bhi badhta jaaye.”
“agar tummein se kisi ko buddhi ki kami ho to woh parmeshvar se maangta rahe aur woh use di jaayegi, kyonki parmeshvar sabko udarta se aur bina daante-fatkaare deta hai.”
“parmeshvar ke kareeb aao aur woh tumhare kareeb aayega. are paapiyo, apne haath dhoo, are shak karnevalo, apne dilon ko shuddh karo.”
“parmeshvar se pyar karne ka matlab yahi hai ki hum uski aagyaon par chalein aur uski aagyayen hum par bojh nahin hain.”