pehala itihas 11:1-47

  • daavid ka abhishek (1-3)

  • siyyon par daavid ka kabza (4-9)

  • daavid ke veer yoddha (10-47)

11  kuch samay baad sabhi israeli hebron mein daavid ke paas ikattha huye+ aur kehne lage, “dekh, tere saath hamara khoon ka rishta hai.*+  beete samay mein jab shaaool raja tha, tab tu hi ladaiyon mein israel ki aguvai karta tha.+ tere parmeshvar yahova ne tujhse kaha tha, ‘tu ek charvahe ki tarah meri praja israel ki dekhbhal karega aur israel ka aguva banega.’”+  is tarah israel ke sabhi mukhiya hebron mein raja ke paas aaye aur daavid ne hebron mein yahova ke saamne unke saath ek karar kiya. fir unhonne daavid ka abhishek karke use israel ka raja thehraya,+ theek jaise yahova ne shamooel se kehalvaya tha.+  baad mein daavid aur sabhi israeli yarooshalem yaani yaboos+ ke liye nikaal pade jahaan yaboosi+ rehte the.  yaboos ke nivasiyon ne daavid ka mazak banate huye kaha, “tu hamare ilake mein kabhi kadam nahin rakh paayega!”+ magar daavid ne siyyon+ ke gadhvale shehar par kabza kar liya jo aaj daavidpur+ kehlata hai.  daavid ne kaha, “jo koi sabse pehale yaboosiyon par hamla karega vahi pradhan aur haakim banega.” sarooyah ka beta yoab+ sabse pehale gaya aur woh pradhan ban gaya.  siyyon ka kila jeetne ke baad daavid vahaan jaakaar bas gaya. iseeliye unhonne use daavidpur naam diya.  woh shehar ko banane laga. woh teele* par aur uske chaaron taraf doosri jagahon mein deevarein aur imartein banvane laga aur shehar ki baaki jagahon ko yoab ne dobara banaya.  is tarah daavid dinon-din mahan hota gaya+ aur senaon ka parmeshvar yahova uske saath tha. 10  daavid ke veer yoddhaon ke mukhiya ye the, jinhonne sab israeliyon ke sang milkar use poora saath diya aur jaise yahova ne israel se vaada kiya tha unhonne use raja banaya.+ 11  daavid ke veer yoddhaon ki soochi yah hai: yaashobam+ jo ek hakmoni ka beta tha aur teen soormaon mein mukhiya tha.+ ek baar usne apne bhaale se 300 se zyada dushmanon ko maar giraya tha.+ 12  agla soorma tha eliazar,+ jo ahohi+ dodo ka beta tha. woh teen soormaon mein se ek tha. 13  woh daavid ke saath pas-dammeem+ mein tha jahaan palishti yuddh ke liye ikattha huye the. vahaan jau ka ek khet tha. log palishtiyon ko dekhkar bhaag gaye, 14  magar eliazar khet ke beechon-beech khada uski raksha karta raha aur palishtiyon ko maar girata raha. isliye yahova ne israeliyon ko badi jeet dilayi.*+ 15  daavid ki sena ke 30 mukhiyaon mein se teen aadmi chattan yaani adullam ki gufa mein gaye jahaan daavid tha.+ us samay palishti sena rapai ghaati mein chhaavni daale hui thi.+ 16  daavid ek mehfooz jagah par tha aur palishtiyon ki ek tukdi betlehem mein thi. 17  tab daavid ne kaha, “kaash! mujhe betlehem+ ke faatakvale kund se thoda paani peene ko mil jaata!” 18  tab uske teen soorma palishti sena ko cheerkar unki chhaavni mein ghus gaye aur unhonne betlehem ke faatakvale kund se paani nikaala aur daavid ke paas le aaye. magar daavid ne paani peene se inkar kar diya aur yahova ke saamne undel diya. 19  usne kaha, “main yah paani peene ki soch bhi nahin sakta, aisa karna mere parmeshvar ki nazar mein bilkul galat hoga! main in aadmiyon ka khoon kaise pi sakta hoon jinhonne apni jaan jokhim mein daal di thi?+ woh apni jaan jokhim mein daalkar yah paani laaye.” iseeliye daavid ne woh paani peene se inkar kar diya. uske teen soormaon ne ye bade-bade kaam kiye the. 20  abeeshai,+ jo yoab ka bhaai tha,+ teen aur yoddhaon ka adhikari bana. usne apne bhaale se 300 se bhi zyada dushmanon ko maar giraya tha. woh bhi un teen yoddhaon jitna mashhoor tha.+ 21  haalanki woh un teen yoddhaon mein se do se zyada kushal tha aur unka mukhiya tha, fir bhi woh pehale teen soormaon ke barbar nahin pahuncha. 22  yahoyada ka beta banayah+ bhi ek diler sainik tha.* usne kabsel+ mein kai bahaduri ke kaam kiye the. usne moab ke rehnevale ariel ke do beton ko maar giraya aur ek din jab bahot barf pad rahi thi to usne ek sookhe haud ke andar jaakaar ek sher ko maar daala.+ 23  usne ek misri aadmi ko bhi maar daala tha jo bahot unchi kad-kaathi ka tha. woh paanch haath* lamba tha.+ us misri ke haath mein julahe ke latthe jitna bhaari bhaala tha+ jabki banayah ke haath mein sirf ek danda tha. banayah ne uska bhaala chheen liya aur usi ke bhaale se use maar daala.+ 24  yahoyada ke bete banayah ne ye bade-bade kaam kiye the. woh un teen soormaon jitna mashhoor tha. 25  haalanki woh tees yoddhaon se zyada kushal tha, fir bhi woh un teen soormaon ke barbar nahin pahuncha.+ lekin daavid ne banayah ko hi apne angrakshakon ka adhikari thehraya. 26  sena ke veer yoddha the, yoab ka bhaai asahel,+ betlehem ke rehnevale dodo ka beta elhanan,+ 27  haror ka rehnevala shammot, paloni heles, 28  takoa ke rehnevale ikkesh ka beta ira,+ anatot ka rehnevala abiejer,+ 29  hooshai sibbakai,+ ahohi ke gharane ka ilai, 30  natopa ka rehnevala mahrai,+ natopa ke rehnevale baanah ka beta heled,+ 31  binyameen gotra ke giba+ ke rehnevale reebai ka beta ittai, piraton ka rehnevala banayah, 32  gaash+ ki ghaatiyon* ka rehnevala hoorai, bet-arba ka rehnevala abiel, 33  bahooreem ka rehnevala azmavet, shaalboni eleeyaba, 34  gijoni haashem ke bete, harari shaage ka beta yonatan, 35  harari sakar ka beta aheeam, oor ka beta eleepal, 36  makerai heper, paloni ahiyah, 37  karmel ka rehnevala hesro, ejbai ka beta naarai, 38  naatan ka bhaai yoel, hagri ka beta mibhar, 39  ammoni selek, berot ka rehnevala nahrai jo sarooyah ke bete yoab ka hathiyar dhonevala sainik tha, 40  yitri ira, yitri gaareb, 41  hitti uriyah,+ ahlai ka beta jaabad, 42  roobeni sheeja ka beta adeena jo roobeniyon aur uske saathvale 30 aadmiyon ka ek mukhiya tha, 43  maaka ka beta haanan, mitni yoshapat, 44  ashtarot ka rehnevala ujjiya, aroer ke rehnevale hotam ke bete shaama aur yiel, 45  shimri ka beta yadiel aur uska bhaai yoha jo teesi tha, 46  mahvi eliel, elnam ke bete yareebai aur yoshavyah, moabee yitma, 47  eliel, obed aur masobai yaasiel.

kai footnote

shaa., “hum tera haad-maans hain.”
ya “millo.” is ibrani shabd ka matlab “bharna” hai.
ya “ka bada uddhaar kiya.”
shaa., “ek veer ka beta tha.”
woh 2.23 mi. (7.3 fut) lamba tha. ati. kha14 dekhein.
shabdavli dekhein.