pehala itihas 12:1-40

  • daavid ke raaj ka saath denevale (1-40)

12  jab daavid siklag mein tha+ aur keesh ke bete shaaool ki vajah se khuleaam ghoom nahin paa raha tha,+ tab ye aadmi uske paas aaye. woh un veer yoddhaon mein se the jinhonne yuddh mein uska saath diya tha.+  woh teer-kaman se lais rehte the aur daayen-baayen donon haathon+ se gofan ka patthar aur teer chala sakte the.+ woh binyameen+ gotra se the yaani shaaool ke bhaai the.  unka mukhiya eliezer tha aur uske saath the: yoash, giba+ ke rehnevale sham-aa ke donon bete, azmavet+ ke bete yajiel aur pelet, baraka, anatot ka rehnevala yehoo,  giboni+ yishmayah jo tees+ mein se ek veer yoddha tha aur unka adhikari tha, yirmayah, yahjiel, yohanan, gadera ka rehnevala yojabad,  eloojai, yareemot, baalyah, shamaryah, haareepi shaptyah,  korah ke vanshajon mein se elkana, yishshayah, ajrel, yoejer aur yaashobam,+  aur gador ke rehnevale yaroham ke bete yoela aur jabadyah.  kuch gaadi log daavid ki taraf ho gaye aur woh uske paas veerane mein mehfooz jagah aaye.+ woh veer yoddha the jinhonne yuddh ki taaleem paayi thi. woh haath mein badi dhaal aur barchha liye hamesha taiyar rehte the. unka munh sher ke munh jaisa tha aur woh pahadi chikare ki tarah furti se daudte the.  unka mukhiya ejer tha, doosre pad par obadyah tha, teesra eleeab, 10  chautha mishmanna, paanchvaan yirmayah, 11  chhatha attai, saatvaan eliel, 12  aathvaan yohanan, nauvaan eljabad, 13  dasvaan yirmayah aur gyarhvaan makbannai. 14  ye sabhi gaadi+ the aur sena ke mukhiya the. unmein jo sabse chhota tha woh 100 sainikon ke barbar tha aur sabse bada 1,000 ke barbar.+ 15  yahi woh aadmi the jinhonne pehale maheene mein yardan paar ki thi jab paani tat ke oopar bah raha tha. unhonne nichle ilakon mein rehnevale sab logon ko poorab aur pashchim ki taraf bhaga diya. 16  binyameen aur yahooda ke bhi kuch aadmi daavid ke paas mehfooz jagah aaye the.+ 17  tab daavid baahar unke paas aaya aur unse kaha, “agar tum shaanti ke irade se meri madad karne aaye ho to mera dil tumhare saath ek hoga. lekin agar tum mujhe dhokha dekar dushmanon ke havale karne aaye ho jabki mainne koi galti nahin ki hai, to hamare purkhon ka parmeshvar dekhe aur nyay kare.”+ 18  tab parmeshvar ki pavitra shakti amasai par aayi,+ jo tees ka mukhiya tha aur usne kaha, “hey daavid, hum tere log hain, hey yishai ke bete, hum tere saath hain.+ tujhe shaanti mile shaanti aur teri madad karnevalon ko bhi shaanti mile,kyonki tera parmeshvar teri madad kar raha hai.”+ isliye daavid ne unhein sweekar kiya aur apni tukdiyon ka mukhiya thehraya. 19  manashshe ke kuch log bhi shaaool ki sena chhodkar daavid ke paas aa gaye. aisa tab hua jab daavid palishtiyon ke saath milkar shaaool se yuddh karne gaya tha. magar daavid ne palishtiyon ki madad nahin ki kyonki palishti sardaron+ ne salah-mashvira karne ke baad use bhej diya tha. unhonne kaha, “yah hamein chhodkar apne maalik shaaool ke paas chala jaayega aur hamein apni jaan ki keemat chukani padegi.”+ 20  jab daavid siklag gaya tha,+ to manashshe gotra se jo log usse jaa mile woh ye the: adnah, yojabad, yadiel, meekael, yojabad, eleehoo aur sillatai. woh manashshe ki sena mein hazaron+ ke mukhiya the. 21  unhonne lutere-dal se ladne mein daavid ki madad ki thi kyonki woh sab bade taakatvar aur diler the+ aur woh uski sena ke pradhan ban gaye. 22  har din log daavid ki madad karne uske paas aate rahe+ aur daavid ki sena badhte-badhte parmeshvar ki sena jitni vishal ho gayi.+ 23  ye hathiyarband sainikon ke mukhiyaon ki ginti hai jo hebron mein daavid ke paas isliye aaye+ ki yahova ke aadesh ke mutabik shaaool ka raaj use saunp dein.+ 24  yahooda ke aadmi jo haath mein badi dhaal aur barchhe liye yuddh ke liye taiyar the, woh 6,800 the. 25  shimoniyon mein se taakatvar aur diler aadmiyon ki ginti 7,100 thi. 26  leviyon mein se 4,600 the. 27  haaroon ke beton+ ka aguva yahoyada+ tha aur uske saath 3,700 aadmi the. 28  unmein saadok+ bhi tha jo ek taakatvar aur diler javan tha aur uske saath uske pita ke gharane ke 22 pradhan the. 29  binyameeniyon yaani shaaool ke bhaaiyon+ mein se 3,000 aadmi the jinmein se zyadatar pehale shaaool ke gharane ke kaamon ki nigrani karte the. 30  epraimiyon mein se 20,800 taakatvar aur diler aadmi the jinka apne-apne pita ke gharane mein bada naam tha. 31  manashshe ke aadhe gotra mein se 18,000 aadmi the jinhein naam lekar chuna gaya tha ki woh aakaar daavid ko raja banayen. 32  issakar gotra mein se 200 mukhiya the jinhonne us vakt ke haalaat ko samjha tha aur woh jaante the ki israel ko kya karna chahiye. unke sabhi bhaai unki kaman ke neeche the. 33  jabooloon gotra mein se 50,000 aadmi the jo dal banakar yuddh ke liye taiyar the aur saare hathiyaron se lais the. woh sab daavid se jaa mile aur unhonne thaan liya tha ki woh sirf uske vafadar raheinge.* 34  naptali gotra se 1,000 pradhan the aur unke saath 37,000 sainik the jo badi dhaal aur bhaala pakadte the. 35  daan gotra se 28,600 aadmi dal banakar yuddh ke liye taiyar the. 36  aasher gotra se 40,000 the jo dal banakar yuddh ke liye taiyar the. 37  yardan ke us paar+ roobeniyon, gaadiyon aur manashshe ke aadhe gotra se 1,20,000 sainik the jo har tarah ke hathiyar se lais the. 38  ye sabhi bade-bade yoddha the jo yuddh ke liye dal baandhkar khade rehte the. woh poore dil se hebron aaye taaki daavid ko saare israel ka raja banayen. aur baaki israeli bhi daavid ko raja banane ke liye unke saath ek ho gaye.*+ 39  woh daavid ke saath vahaan teen din rahe aur unhonne khaaya-peeya kyonki unke bhaaiyon ne unke liye iska intazam kiya tha. 40  unke paas ke ilakon mein rehnevale, yahaan tak ki door issakar, jabooloon aur naptali ke log bhi unke liye badi taadad mein khaane ki cheezen laate rahe. woh gadhon, unton, khachcharon aur gaay-bailon par maida, anjeer aur kishmish ki tikiyaan, daakh-madira aur tel laadkar laaye aur gaay-bail aur bhed le aaye kyonki israel mein khushiyaan manayi gayin.

kai footnote

ya “jo daavid se jaa mile unmein se koi dohre man ka nahin tha.”
shaa., “ek dil ke the.”