pehala itihas 15:1-29
15 daavid apne liye daavidpur mein kai imartein banvata raha aur usne sachche parmeshvar ke sandook ke liye ek jagah taiyar ki aur ek tamboo khada kiya.+
2 tab jaakaar daavid ne kaha, “leviyon ko chhod aur koi sachche parmeshvar ka sandook nahin uthayega, kyonki yahova ne unhin ko chuna hai ki woh yahova ka sandook uthayen aur hamesha uski seva karein.”+
3 fir daavid ne poore israel ko yarooshalem mein ikattha kiya taaki woh yahova ka sandook us jagah le jaayen jo usne taiyar ki thi.+
4 daavid ne haaroon ke vanshajon+ ko aur leviyon+ ko ikattha kiya:
5 kahatiyon mein se pradhan uriel aur uske 120 bhaai,
6 marariyon mein se pradhan asayah+ aur uske 220 bhaai,
7 gershomiyon mein se pradhan yoel+ aur uske 130 bhaai,
8 eleesapan+ ke vanshajon mein se pradhan shamayah aur uske 200 bhaai,
9 hebron ke vanshajon mein se pradhan eliel aur uske 80 bhaai,
10 ujjiel+ ke vanshajon mein se pradhan ammeenadab aur uske 112 bhaai.
11 iske alava, daavid ne saadok aur abiyatar yaajkon+ ko aur in leviyon ko bulaya, uriel, asayah, yoel, shamayah, eliel aur ammeenadab
12 aur usne un sabse kaha, “tum sab leviyon ke pitaon ke gharanon ke mukhiya ho. tum aur tumhare bhaai khud ko pavitra karein aur israel ke parmeshvar yahova ka sandook us jagah pahunchayen jo mainne uske liye taiyar ki hai.
13 pehali baar tum logon ne sandook nahin dhoya tha+ kyonki hamne ise dhone ka sahi tareeka jaanne ki koshish nahin ki thi.+ is vajah se hamare parmeshvar yahova ka krodh hum par bhadak utha.”+
14 isliye yaajkon aur leviyon ne khud ko pavitra kiya taaki israel ke parmeshvar yahova ka sandook laa sakein.
15 fir leviyon ne sachche parmeshvar ka sandook dandon ke sahare apne kandhon par uthaya,+ theek jaise yahova ke vachan ke mutabik moosa ne aagya di thi.
16 iske baad daavid ne leviyon ke pradhanon ko bataya ki woh apne bhaaiyon ko, jo gaayak the, gaane ke liye thehrayen taaki woh taaronvale baaje, surmandal+ aur jhaanjh bajakar unchi aavaz mein gaate huye jayjaykar karein.+
17 isliye leviyon ne yoel ke bete heman+ ko, uske bhaaiyon mein se berekyah ke bete aasap+ ko aur unke marari bhaaiyon mein se kooshayah ke bete etan+ ko thehraya.
18 unke saath doosre dal ke ye bhaai the:+ jakaryah, ben, yaajiel, shameeramot, yahiel, unni, eleeab, banayah, maanseyah, matityah, eleepalehoo, mikneyah aur pehredar obed-edom aur yiel.
19 gaayak heman,+ aasap+ aur etan ko tambe ke jhaanjh bajane the,+
20 jakaryah, ajiel, shameeramot, yahiel, unni, eleeab, maanseyah aur banayah ne alamot ki shaili*+ ke mutabik taaronvale baaje bajaye,
21 matityah,+ eleepalehoo, mikneyah, obed-edom, yiel aur ajajyah ne sheminith* ki dhun+ par surmandal bajaye taaki woh sangeet ka nirdeshan karein.
22 leviyon ke pradhan kanaanyah+ ne sandook dhone ke kaam ki nigrani ki kyonki woh is kaam mein kushal tha.
23 berekyah aur elkana sandook ke pehredar the.
24 in yaajkon ne sachche parmeshvar ke sandook ke saamne zor-zor se turhiyaan foonki:+ shabanyah, yoshapat, natnel, amasai, jakaryah, banayah aur eliezer. obed-edom aur yahiyah bhi sandook ke pehredar the.
25 daavid aur israel ke mukhiya aur hazaron ki tukdiyon ke pradhan saath milkar obed-edom ke ghar ki taraf gaye taaki vahaan se yahova ke karar ke sandook ko khushiyaan manate huye laa sakein.+
26 sachche parmeshvar ne un leviyon ki madad ki jo yahova ke karar ka sandook dhokar le jaa rahe the isliye unhonne saat bailon aur saat medhon ki bali chadhayi.+
27 daavid behtareen kapde se bana bin aasteen ka baaga pehne huye tha, theek jaise sandook dhonevale sabhi levi, gaayak aur sandook dhonevale gaaykon ki nigrani karnevala kanaanyah pehne huye tha. daavid malmal ka epod bhi pehne huye tha.+
28 sabhi israeli narsinge aur turhi foonkte huye,+ jhaanjh aur taaronvale baaje aur surmandal zor-zor se bajate huye aur jayjaykar karte huye yahova ke karar ka sandook laa rahe the.+
29 magar jab yahova ke karar ka sandook daavidpur pahuncha+ aur shaaool ki beti meekal+ ne khidki se neeche jhaankkar dekha ki raja daavid uchhalte-koodte jashna mana raha hai to woh man-hi-man use tuchh samajhne lagi.+