pehala itihas 16:1-43

  • sandook ek tamboo mein rakha gaya (1-6)

  • daavid ka dhanyavad ka geet (7-36)

    • “yahova raja bana hai!” (31)

  • sandook ke saamne seva (37-43)

16  fir woh sachche parmeshvar ka sandook le aaye aur use us tamboo ke andar rakh diya jo daavid ne uske liye khada kiya tha.+ unhonne sachche parmeshvar ke saamne hom-baliyaan aur shaanti-baliyaan chadhayin.+  jab daavid ye baliyaan chadha chuka,+ to usne yahova ke naam se logon ko aasheervad diya.  aur usne sabhi israeliyon mein se har aadmi aur har aurat ko ek gol roti, ek khajoor ki tikiya aur ek kishmish ki tikiya di.  fir usne kuch leviyon ko yahova ke sandook ke saamne seva karne, israel ke parmeshvar yahova ka aadar karne,* uska shukriya ada karne aur uski badai karne ke liye thehraya.+  aasap+ mukhiya tha aur doosre pad par jakaryah tha. yiel, shameeramot, yahiel, matityah, eleeab, banayah, obed-edom aur yiel+ taaronvale baaje aur surmandal bajate the,+ aasap jhaanjh bajata tha+  aur yaajak banayah aur yaajak yahjiel sachche parmeshvar ke karar ke sandook ke saamne lagatar turhiyaan foonkte the.  usi din daavid ne pehali baar yahova ke liye dhanyavad ka ek geet racha aur aasap aur uske bhaaiyon ko woh geet gaane ki hidayat di.+ woh geet yah tha:   “yahova ka shukriya ada karo,+ uska naam pukaro,uske kaamon ke baare mein desh-desh ke logon ko batao!+   uske liye geet gaao, uski taareef mein geet gaao,*+uske sabhi aashcharya ke kaamon par gehrai se socho.*+ 10  garv se uske pavitra naam ka bakhan karo.+ yahova ki khoj karnevalon ka dil magan ho.+ 11  yahova aur usse milnevali taakat ki khoj karo.+ uski manzoori paane ki koshish karo.+ 12  usne jo aashcharya ke kaam aur chamatkar kiye,jo faisle sunaye unhein yaad karo,+ 13  tum jo uske sevak israel ka vansh ho,+yakub ke bete aur uske chune huye log ho,+ unhein yaad karo. 14  woh hamara parmeshvar yahova hai.+ uske kiye faisle saari dharti par laagoo hain.+ 15  uska karar sada tak yaad rakho,woh vaada jo usne hazaron peedhiyon ke liye kiya hai,*+ 16  woh karar jo usne abraham se kiya tha,+woh shapath jo usne ishaak se khaayi thi+ 17  aur jise yakub ke liye ek aadesh+aur israel ke liye sada ka karar bana diya tha 18  aur kaha tha, ‘main tumhein kanaan desh doonga+taaki yah tumhari tay virasat ho.’+ 19  yah usne tab kaha tha jab tum ginti mein kam the,haan, tum bahot kam the aur us desh mein pardesi the.+ 20  woh ek desh se doosre desh mein,ek raajya se doosre raajya mein jaate the.+ 21  usne kisi insan ko unhein satane nahin diya,+iske bajay, unki khaatir raajaon ko fatkaara,+ 22  unse kaha, ‘mere abhishikt janon ko haath mat lagana,mere bhavishyavaktaon ke saath kuch bura na karna.’+ 23  saari dharti ke logo, yahova ke liye geet gaao! woh jo uddhaar dilata hai, roz-b-roz uska ailan karo!+ 24  raashtron mein uski mahima ka ailan karo,desh-desh ke logon mein uske ajoobon ka ailan karo. 25  kyonki yahova mahan hai, sabse zyada taareef ke kaabil hai. sabhi devtaon se badhkar vismaykari hai.+ 26  desh-desh ke logon ke sabhi devta nikamme hain,+magar yahova ne hi aakash banaya.+ 27  uske saamne pratap* aur vaibhav hai,+uske nivas-sthan mein shakti aur aanand hai.+ 28  desh-desh ke sabhi gharano, yahova ka aadar karo,yahova ka aadar karo kyonki woh mahima aur taakat se bharpoor hai.+ 29  yahova ka naam jitni mahima ka hakdar hai utni mahima use do,+bheint lekar uske saamne aao.+ pavitra poshak pehne* yahova ko dandvat karo.*+ 30  saari dharti ke logo, uske saamne thar-thar kaanpo! prithvi* mazbooti se kaayam ki gayi hai, yah hilayi nahin jaa sakti.+ 31  aasman magan ho, dharti aanand manaye,+raashtron mein ailan karo, ‘yahova raja bana hai!’+ 32  samundar aur usmein jo bhi hai, khushi se garjein.maidan aur unmein jo bhi hai, khushiyaan manayen. 33  jangal ke ped bhi yahova ke saamne khushi se jayjaykar karein,kyonki woh dharti ka nyay karne aa raha hai.* 34  yahova ka shukriya ada karo kyonki woh bhala hai,+uska atal pyar sada bana rehta hai.+ 35  aur kaho, ‘hey hamare uddharkarta parmeshvar, hamein bacha le,+hamein doosre raashtron se ikattha karke chhuda letaaki hum tere pavitra naam ki taareef karein+aur teri taareef karne+ mein bahot khushi paayen. 36  israel ke parmeshvar yahova ki yug-yug tak* taareef hoti rahe.’” tab sab logon ne kaha, “aameen!”* aur unhonne yahova ki badai ki. 37  fir daavid ne aasap aur uske bhaaiyon ko yahova ke karar ke sandook ke saamne thehraya+ taaki woh har din ke niyam ke mutabik sandook ke saamne lagatar seva karte rahein.+ 38  obed-edom aur uske bhaaiyon ki ginti 68 thi. usne yadootoon ke bete obed-edom aur hose ko pehredar thehraya. 39  yaajak saadok+ aur uske saathi yaajkon ko gibon mein unchi jagah+ par thehraya taaki woh yahova ke pavitra dere ke saamne 40  hom-bali ki vedi par subah-shaam niyamit taur par yahova ke liye hom-baliyaan chadhayen aur woh saare kaam karein jo yahova ke kaanoon mein likhe gaye the aur jinki aagya usne israel ko di thi.+ 41  unke saath heman, yadootoon+ aur chuninda aadmiyon mein se baaki log bhi the jinhein naam se chuna gaya tha taaki woh yahova ka shukriya ada karein+ kyonki “uska atal pyar sada bana rehta hai.”+ 42  aur unke saath usne heman+ aur yadootoon ko turhiyaan foonkne, jhaanjh bajane aur sachche parmeshvar ki taareef mein doosre saaz* bajane ka kaam saunpa aur yadootoon ke beton+ ko faatak par thehraya. 43  iske baad sab log apne-apne ghar laut gaye aur daavid apne gharane ko aasheervad dene ke liye gaya.

kai footnote

shaa., “ko yaad karne.”
ya “sangeet bajao.”
ya shaayad, “ke baare mein batao.”
shaa., “us vachan ko, jo usne hazaron peedhiyon ke liye thehraya hai.”
ya “garima.”
ya “ki upasna karo.”
ya shaayad, “uski pavitrata ke vaibhav ki vajah se.”
ya “upjaoo zameen.”
ya “aa gaya hai.”
ya “hamesha se hamesha tak.”
ya “aisa hi ho!”
ya “parmeshvar ke geeton ke saaz.”