pehala itihas 19:1-19

  • ammoniyon ne dooton ka apman kiya (1-5)

  • ammon aur seeriya par jeet (6-19)

19  baad mein ammoniyon ke raja naahash ki maut ho gayi aur uski jagah uska beta raja bana.+  tab daavid ne kaha, “haanoon ka pita naahash mere saath kripa* se pesh aaya tha,+ isliye main bhi haanoon ke saath kripa* se pesh aaunga.” daavid ne haanoon ko dilasa dene ke liye uske paas apne doot bheje. magar jab daavid ke sevak haanoon ko dilasa dene ke liye ammoniyon+ ke desh gaye  to ammoniyon ke haakimon ne haanoon se kaha, “tujhe kya lagta hai, kya daavid ne vaakai tere pita ka samman karne aur tujhe dilasa dene ke liye apne sevak bheje hain? nahin. uske sevak to is desh ki achhi tarah chhaanbeen aur jaasoosi karne aaye hain taaki baad mein aakaar tera takhta ulat dein.”  tab haanoon ne daavid ke sevkon ko pakadkar unki daadhi mundva di+ aur kamar se neeche ke unke kapde katva diye aur fir unhein bhej diya.  jab daavid ko bataya gaya ki unke saath kaisa salook kiya gaya hai to usne fauran kuch sevkon ko unse milne bheja kyonki unka ghor apman hua tha. raja ne unke paas yah sandesh bheja: “jab tak tumhari daadhi fir nahin badh jaati tab tak tum yareeho+ mein hi rehna. uske baad tum yahaan laut aana.”  kuch samay baad ammoni log samajh gaye ki unhonne daavid se dushmani mol li hai. isliye haanoon aur ammoniyon ne mesopotamiya,* araam-maaka aur soba ke paas 1,000 tode* chaandi bheji taaki vahaan se kiraye par rath aur ghudsavar manga sakein.+  is tarah unhonne 32,000 rathon ko aur maaka ke raja aur uske logon ko kiraye par liya. fir woh sab aaye aur unhonne medaba+ ke saamne chhaavni daali. ammoni log yuddh ke liye apne-apne shehar se aakaar jama ho gaye.  jab daavid ne is baare mein suna to usne yoab+ ke saath apni poori sena ko aur bade-bade soormaon ko bheja.+  ammoni log dal baandhkar shehar ke faatak par tainat ho gaye, jabki yuddh ke liye aaye doosre raja unse alag khule maidan mein the. 10  jab yoab ne dekha ki dushman ki senayen us par aage-peechhe donon taraf se hamla karne ke liye khadi hain, to usne israel ke sabse badhiya sainik chune aur unhein dal baandhkar seeriyai logon ka mukabla karne ke liye tainat kiya.+ 11  usne baaki sainikon ko apne bhaai abeeshai ki kaman* ke neeche tainat kiya+ aur unhein dal baandhkar ammoniyon ka mukabla karne bheja. 12  usne abeeshai se kaha, “agar seeriyai sena+ mujh par bhaari pade to tu mujhe bachane aana aur agar ammoni log tujh par bhaari pade to main tujhe bachaunga. 13  hamein apne logon ki khaatir aur apne parmeshvar ke shehron ki khaatir mazboot bane rehna hoga aur himmat se ladna hoga+ aur yahova vahi karega jo use sahi lagta hai.” 14  fir yoab aur uske aadmi seeriyai logon ka mukabla karne aage badhe aur seeriyai log uske saamne se bhaag gaye.+ 15  jab ammoniyon ne dekha ki seeriyai log bhaag gaye hain to woh bhi yoab ke bhaai abeeshai ke saamne se bhaag gaye aur apne shehar ke andar chale gaye. iske baad yoab yarooshalem laut aaya. 16  jab seeriyai logon ne dekha ki woh israel se haar gaye hain to unhonne mahanadi*+ ke ilake ke seeriyai logon ke paas dooton ke haath yah sandesh bheja ki woh hadad-ejer ki sena ke senapati shopak ki aguvai mein aayen.+ 17  jab daavid ko iski khabar di gayi to usne fauran poori israeli sena ko ikattha kiya aur yardan paar karke unke paas gaya. usne unse mukabla karne ke liye dal baandha aur unhonne usse yuddh kiya.+ 18  magar seeriyai log israel se haarkar bhaag gaye aur daavid ne unke 7,000 saarthiyon aur 40,000 paidal sainikon ko maar daala. usne unke senapati shopak ko bhi maar daala. 19  jab hadad-ejer ke sevkon ne dekha ki woh israel se haar gaye hain+ to unhonne bina der kiye daavid ke saath sulah kar li aur woh uski praja ban gaye.+ iske baad fir kabhi seeriyai logon ne ammoniyon ki madad karni nahin chahi.

kai footnote

ya “atal pyar.”
ya “atal pyar.”
shaa., “aram-nahraim.”
ek toda 34.2 kilo ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
shaa., “ke haath.”
yaani farat nadi.