pehala itihas 22:1-19

  • mandir ki taiyariyaan (1-5)

  • sulaiman ko hidaytein (6-16)

  • haakimon ko aagya (17-19)

22  fir daavid ne kaha, “yah sachche parmeshvar yahova ka bhavan hai aur yah israel ke liye hom-bali ki vedi hai.”+  fir daavid ne hukm diya ki israel mein jo pardesi rehte hain,+ un sabko ikattha kiya jaaye. usne unhein sachche parmeshvar ka bhavan banane ke liye patthar kaatne aur gadhne ka kaam saunpa.+  daavid ne darvazon ke keelon aur jodon ke liye dher saara loha ikattha kiya aur usne itna taamba ikattha kiya ki use taula nahin jaa sakta tha.+  usne devdar ki behisab lakdiyaan+ jama kin, kyonki seedon aur sor ke logon+ ne bhaari taadad mein devdar ki lakdi laakaar daavid ko di thi.  daavid ne kaha, “mera beta sulaiman abhi ladka hi hai aur use koi tajurba nahin hai*+ aur yahova ke liye aisa bhavan banaya jaana hai jo itna aaleeshan aur sundar ho ki poori duniya mein uski shaan ke charche hon.+ isliye sulaiman ki khaatir main bhavan banane ki taiyariyaan karoonga.” daavid ne apni maut se pehale dher saara saaman ikattha kiya.  saath hi usne apne bete sulaiman ko bulaya aur use hidayat di ki woh israel ke parmeshvar yahova ke liye ek bhavan banaye.  daavid ne apne bete sulaiman se kaha, “yah meri dili tamanna thi ki main apne parmeshvar yahova ke naam ki mahima ke liye ek bhavan banaun.+  magar yahova ka yah sandesh mujhe diya gaya: ‘toone bahot saara khoon bahaya hai aur bade-bade yuddh kiye hain. tu mere naam ki mahima ke liye bhavan nahin banayega,+ kyonki toone dharti par bahot saara khoon bahaya hai.  magar dekh, tera ek beta hoga,+ jo shaanti laanevala hoga aur main use aas-paas ke sabhi dushmanon se raahat dilaunga,+ kyonki uska naam sulaiman*+ hoga aur main uske dinon mein shaanti aur chain ki aasheesh doonga.+ 10  vahi mere naam ki mahima ke liye ek bhavan banayega.+ woh mera beta hoga aur main uska pita hounga.+ main israel par uski raajgaddi sada ke liye mazbooti se kaayam karoonga.’+ 11  isliye bete, main dua karta hoon ki yahova tere saath rahe aur tu apne parmeshvar yahova ke liye ek bhavan banane mein kaamyab ho, theek jaise usne tere baare mein kaha hai.+ 12  jab yahova tujhe israel par adhikar dega tab woh tujhe soojh-boojh se kaam lene ki kaabilyat aur samajh de,+ taaki tu apne parmeshvar yahova ke kaanoon ka paalan karta rahe.+ 13  agar tu un niyamon aur nyay-siddhaanton ko sakhti se maanega,+ jinhein israel ko dene ke liye yahova ne moosa ko aagya di thi,+ to tu kaamyab hoga. tu himmat se kaam lena aur hausla rakhna. tu darna mat aur na hi khauf khaana.+ 14  mainne bade jatan se yahova ke bhavan ke liye 1,00,000 tode* sona aur 10,00,000 tode chaandi ikatthi ki hai. aur itna saara taamba aur loha ikattha kiya hai+ ki taula nahin jaa sakta. mainne lakdiyaan aur patthar bhi ikatthe kiye hain,+ magar tu unhein aur badhayega. 15  tere paas bhaari taadad mein kaareegar bhi hain, patthar kaatnevale, raajmistri,+ badhai aur har tarah ke kushal kaareegar.+ 16  is kaam ke liye itna sona, chaandi, taamba aur loha hai ki uska hisab nahin.+ ab tu yah kaam shuroo kar de aur meri dua hai ki yahova tere saath rahe.”+ 17  iske baad daavid ne israel ke sab haakimon ko aagya di ki woh uske bete sulaiman ki madad karein. usne kaha, 18  “tumhara parmeshvar yahova tumhare saath hai aur usne tumhein har taraf se shaanti di hai. usne is desh ke nivasiyon ko mere haath mein kar diya hai aur yah desh, yahova aur uske logon ke saamne mere adheen kar diya gaya hai. 19  isliye ab tum thaan lo ki tum poore dil se aur poori jaan se apne parmeshvar yahova ki khoj karoge.+ aur tum sachche parmeshvar yahova ka pavitra-sthan banane ka kaam shuroo kar do+ taaki yahova ke karar ka sandook aur sachche parmeshvar ki pavitra cheezen us bhavan mein laayi jaayen+ jo yahova ke naam ki mahima ke liye banaya jaayega.”+

kai footnote

ya “naazuk hai.”
yah naam ek ibrani shabd se nikala hai jiska matlab “shaanti” hai.
ek toda 34.2 kilo ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.