pehala itihas 23:1-32

  • daavid ne leviyon ko sangathit kiya (1-32)

    • haaroon aur bete alag kiye gaye (13)

23  jab daavid bahot boodha ho gaya aur uski maut kareeb thi,* tab usne apne bete sulaiman ko israel ka raja banaya.+  fir usne israel ke sabhi haakimon, yaajkon+ aur leviyon+ ko ikattha kiya.  un leviyon ki ginti li gayi jinki umra 30 ya usse zyada thi.+ un sab aadmiyon ki ginti 38,000 thi.  inmein 24,000 levi yahova ke bhavan ke kaam ki dekhrekh karnevale the, 6,000 adhikari aur nyayi the,+  4,000 pehredar the+ aur 4,000 aadmi woh saaz bajakar yahova ki taareef karte the,+ jinke baare mein daavid ne kaha, “mainne ye saaz isliye banaye hain ki inse parmeshvar ki taareef ki jaaye.”  fir daavid ne unhein leviyon ke beton yaani gershon, kahat aur marari+ ke mutabik alag-alag dalon mein baanta.*+  gershoniyon mein se laadan aur shimi the.  laadan ke teen bete the, pradhan yahiel, jetam aur yoel.+  shimi ke teen bete the shalomot, hajiel aur haaran. ye un pitaon ke gharanon ke mukhiya the jo laadan ke gharane mein gine jaate the. 10  shimi ke bete the yahat, zina, yoosh aur bareea. ye chaaron shimi ke bete the. 11  yahat pradhan tha aur uske baad zeezah tha. magar yoosh aur bareea ke zyada bete nahin the isliye un donon ke gharanon ko ek hi gharana gina gaya aur unhein ek hi kaam saunpa gaya. 12  kahat ke chaar bete the amram, yishar,+ hebron aur ujjiel.+ 13  amram ke bete the haaroon+ aur moosa.+ magar haaroon aur uske beton ko sada ke liye alag kiya gaya tha+ taaki woh param-pavitra bhaag ko pavitra banaye rakhein, yahova ke saamne balidan chadhayen, uski seva karein aur uske naam se logon ko hamesha aasheervad diya karein.+ 14  sachche parmeshvar ke sevak moosa ke beton ka naam leviyon ke gotra mein gina gaya. 15  moosa ke bete the gershom+ aur eliezer.+ 16  gershom ke beton mein se shabooel+ pradhan tha. 17  eliezer ke vanshajon* mein se uska beta rehbayah+ pradhan tha. rehbayah ke alava uska koi aur beta nahin tha. magar rehbayah ke bahot-se bete the. 18  yishar ke beton+ mein se shalomeet+ pradhan tha. 19  hebron ke bete the pradhan yareeyah, doosra amaryah, teesra yahjiel aur chautha yakmam.+ 20  ujjiel ke bete the+ pradhan mika aur doosra yishshayah. 21  marari ke bete the mahli aur mooshi.+ mahli ke bete the eliazar aur keesh. 22  jab eliazar ki maut hui to uska koi beta nahin tha, sirf betiyaan thi. isliye unke rishtedaron* yaani keesh ke beton ne unse shaadi ki. 23  mooshi ke teen bete the mahli, eder aur yaremot. 24  ye sabhi levi ke bete the, jinke naam unke kulon aur pitaon ke gharanon ke mukhiyaon ke mutabik likhe gaye the. unhonne yahova ke bhavan mein seva ki alag-alag zimmedariyaan nibhayin. un sabhi ki umra 20 saal ya usse zyada thi. 25  daavid ne kaha, “israel ke parmeshvar yahova ne apne logon ko raahat dilayi hai+ aur woh yarooshalem mein sada nivas karega.+ 26  leviyon ko pavitra dera ya uski seva mein istemal honevala koi bhi saaman dhona nahin padega.”+ 27  daavid ki aakhiri hidayton ke mutabik un leviyon ki ginti li gayi thi jinki umra 20 saal ya usse zyada thi. 28  unka kaam tha yahova ke bhavan ki seva mein haaroon ke beton ki madad karna,+ aanganon+ aur bhojan ke kamron ki aur har pavitra cheez ko shuddh banaye rakhne ke kaam ki dekhrekh karna aur sachche parmeshvar ke bhavan ki seva mein jo bhi kaam zaroori hai use karna. 29  woh in cheezon ke maamle mein madad karte the, rotiyon ke dher,*+ anaj ke chadhave ke liye maida, bin-khameer ki paapdiyaan,+ tave par pakayi jaanevali tikiyaan aur tel se gundha hua aata.+ saath hi woh naap-taul ke har kaam mein madad dete the. 30  unhein har subah aur har shaam khade hokar+ yahova ka dhanyavad karna tha aur uski taareef karni thi.+ 31  sabt ke maukon par,+ naye chaand ke maukon par+ aur saal ke alag-alag tyoharon mein+ jab bhi yahova ko hom-baliyaan chadhayi jaatin to woh madad karte the. unke baare mein diye gaye niyam ke mutabik jitne logon ki maang ki gayi thi, utne log yahova ke saamne niyamit taur par seva karte the. 32  woh bheint ke tamboo yaani pavitra jagah se judi sevayen karte aur apne bhaaiyon yaani haaroon ke beton ki madad karte the. yahova ke bhavan mein unki yahi zimmedariyaan thi.

kai footnote

shaa., “boodha aur poori umra ka ho gaya tha.”
ya “sangathit kiya.”
shaa., “beton.”
shaa., “bhaaiyon.”
yaani nazrane ki roti.