pehala itihas 24:1-31

  • yaajkon ke 24 dal (1-19)

  • baaki leviyon ke kaam (20-31)

24  haaroon ke vanshajon ko jin dalon mein baanta gaya tha woh ye the: haaroon ke bete the naadab, abeehoo,+ eliazar aur itamar.+  magar naadab aur abeehoo apne pita se pehale hi mar gaye+ aur un donon ka koi beta nahin tha. magar eliazar+ aur itamar yaajkon ke naate seva karte rahe.  daavid ne eliazar ke beton mein se saadok+ aur itamar ke beton mein se aheemelek ke saath milkar haaroon ke vanshajon ko seva ke alag-alag dal mein baanta.  eliazar ke beton mein itamar ke beton se zyada mukhiya the isliye unhonne is tarah unhein dalon mein baanta: eliazar ke beton mein unke pitaon ke gharane ke 16 mukhiya the aur itamar ke beton mein unke pitaon ke gharane ke 8 mukhiya the.  iske alava, unhonne chitthiyaan daalkar+ donon samoohon ko alag-alag dal mein baanta kyonki pavitra jagah ke pradhan aur sachche parmeshvar ki seva karnevale pradhan donon samoohon mein the yaani eliazar aur itamar ke beton mein.  fir natnel ke bete shamayah ne, jo leviyon ka sachiv tha, raja, haakimon, saadok+ yaajak, abiyatar+ ke bete aheemelek+ aur yaajkon aur leviyon ke pitaon ke gharanon ke pradhanon ke saamne unke naam likhe. chitthi daalkar eliazar ke samooh se ek pita ka gharana chuna jaata aur ek pita ka gharana itamar ke samooh se chuna jaata.  pehali chitthi yahoyareeb ke naam padi, doosri yadayah ke naam,  teesri haareem ke naam, chauthi soreem ke naam,  paanchvin malkiyah ke naam, chhathi miyameen ke naam, 10  saatvin hakkos ke naam, aathvin abiyah ke naam,+ 11  nauvin yeshoo ke naam, dasvin shakanyah ke naam, 12  11vin elyasheeb ke naam, 12vin yaakeem ke naam, 13  13vin huppa ke naam, 14vin yesebab ke naam, 14  15vin bilga ke naam, 16vin immer ke naam, 15  17vin hejeer ke naam, 18vin happises ke naam, 16  19vin patahyah ke naam, 20vin yahejkiel ke naam, 17  21vin yaakeen ke naam, 22vin gaamool ke naam, 18  23vin dalayah ke naam aur 24vin maajyah ke naam. 19  in leviyon ke liye yahi kaayda thehraya gaya tha aur woh isi kram se yahova ke bhavan mein aate aur us intazam ke mutabik seva karte the+ jo unke purkhe haaroon ne thehraya tha, theek jaise israel ke parmeshvar yahova ne use aagya di thi. 20  baaki levi ye the: amram+ ke beton mein se shoobael,+ shoobael ke beton mein se yehdayah, 21  rehbayah+ ke beton mein se pradhan yishshayah, 22  yishariyon mein se shalomot,+ shalomot ke beton mein se yahat, 23  hebron ke beton mein se pradhan yareeyah,+ doosra amaryah, teesra yahjiel aur chautha yakmam, 24  ujjiel ke beton mein se mika, mika ke beton mein se shaameer. 25  mika ka bhaai yishshayah tha aur yishshayah ke beton mein se jakaryah. 26  marari+ ke bete the mahli aur mooshi, yaajiyah ke beton mein se bino, 27  marari ke bete ye the: yaajiyah ke vanshajon mein se bino, shoham, jakkoor aur ibri. 28  mahli ke vanshajon mein se eliazar jiska koi beta nahin tha,+ 29  keesh ke vanshajon mein se yarhamel 30  aur mooshi ke bete the mahli, eder aur yareemot. ye apne pitaon ke gharanon ke mutabik leviyon ke bete the. 31  inhonne bhi apne bhaaiyon yaani haaroon ke beton ki tarah raja daavid, saadok, aheemelek aur yaajkon aur leviyon ke pitaon ke gharanon ke pradhanon ke saamne chitthiyaan daalin.+ unke pitaon ke sabhi gharane barbar maane gaye, fir chahe woh bade the ya chhote.

kai footnote