pehala itihas 26:1-32

  • pehredaron ke dal (1-19)

  • khazanchi aur doosre adhikari (20-32)

26  pehredaron ke dal+ ye the: korahvanshiyon mein se meshelemyah+ jo kore ka beta tha aur kore aasap ke beton mein se tha.  meshelemyah ke bete ye the: pehalautha jakaryah, doosra yadiel, teesra jabadyah, chautha yatniel,  paanchvaan elam, chhatha yahohanan aur saatvaan elyaho-enai.  obed-edom ke bete ye the: pehalautha shamayah, doosra yahojabad, teesra yoah, chautha sakar, paanchvaan natnel,  chhatha ammiel, saatvaan issakar aur aathvaan pullatai. parmeshvar ki aasheesh se uske ye bete huye the.  obed-edom ke bete shamayah ke bete apne-apne pita ke gharane ke pradhan the kyonki woh taakatvar aur kaabil aadmi the.  shamayah ke bete ye the: otni, rapael, obed aur eljabad. shamayah ke bhaai eleehoo aur samakyah bhi kaabil aadmi the.  ye sabhi obed-edom ke bete the. woh aur unke bete aur bhaai, sabhi seva ke liye poori tarah kaabil aur bilkul sahi the. obed-edom ke gharane se aaye in sabhi ki ginti 62 thi.  meshelemyah+ ke bete aur bhaai kul milakar 18 kaabil aadmi the. 10  marari ke beton mein se hosa ke bete the: shimri pradhan tha. haalanki woh pehalautha nahin tha, fir bhi uske pita ne use parivar ka pradhan thehraya tha. 11  doosra hilkiyah, teesra tabalyah aur chautha jakaryah. hosa ke sabhi beton aur bhaaiyon ki ginti 13 thi. 12  pehredaron ke in dalon mein mukhiyaon ko yahova ke bhavan mein seva karne ke liye vahi kaam saunpa gaya tha jo unke bhaaiyon ko diya gaya tha. 13  isliye un sabne, fir chahe unka gharana chhota tha ya bada, alag-alag faatkon ki zimmedariyaan tay karne ke liye chitthiyaan daalin.+ 14  poorab ke faatak ke liye chitthi shelemyah ke naam nikli. unhonne uske bete jakaryah ke liye chitthiyaan daalin aur uski chitthi uttar ke faatak ke liye nikli. jakaryah ek soojh-boojhvala salahkar tha. 15  dakshin ke faatak ke liye chitthi obed-edom ke naam nikli aur uske beton+ ko bhandar-gharon ka kaam saunpa gaya. 16  pashchim ke faatak ke liye chitthi shuppeem aur hosa+ ke naam nikli. yah faatak shalleket naam faatak ke paas oopar jaanevale raajmarg ke paas tha. pehredaron ke dal paas-paas tainat kiye gaye the. 17  poorab ke faatak ke paas chhe: levi thehraye gaye aur uttar ki taraf har din chaar aur dakshin ki taraf har din chaar thehraye gaye the. bhandar-gharon ke liye do pehredaron ke paas do pehredar tainat kiye gaye.+ 18  pashchim mein khambhonvale baramde ke liye, raajmarg ke paas chaar+ aur khambhonvale baramde ke paas do pehredar tainat kiye gaye. 19  korah aur marari ke vanshajon mein se pehredaron ke dal ye the. 20  sachche parmeshvar ke bhavan ke khazanon par aur pavitra thehrayi gayi* cheezon ke khazanon par leviyon mein se ahiyah ko adhikar saunpa gaya.+ 21  laadan ke bete ye the: laadan se nikle gershoniyon yaani laadan se nikle pitaon ke gharanon ke mukhiyaon mein se yahoeli+ 22  aur uske bete jetam aur yoel. unhein yahova ke bhavan ke khazanon+ par adhikar saunpa gaya tha. 23  amramiyon, yishariyon, hebroniyon aur ujjieliyon+ mein se 24  shabooel, jo moosa ke bete gershom ka beta tha. shabooel ek aguva tha aur use bhandar-gharon par adhikar saunpa gaya tha. 25  shabooel ke bhaai, yaani eliezer+ ke vanshaj ye the: eliezer ka beta rehbayah+ aur rehbayah ke vanshaj yashaya, yoram, jikri aur shalomot. 26  isi shalomot ko aur uske bhaaiyon ko pavitra thehrayi gayi cheezon ke sabhi khazanon+ par adhikar saunpa gaya tha. in cheezon ko raja daavid,+ pitaon ke gharanon ke mukhiyaon,+ hazaron aur saikdon ke pradhanon aur senapatiyon ne pavitra thehraya tha. 27  yuddhon aur loot se mili cheezon+ ko unhonne pavitra thehraya tha taaki yahova ke bhavan ka rakh-rakhav ho sake. 28  woh un cheezon ke bhi adhikari the jinhein shamooel darshi,+ keesh ke bete shaaool, ner ke bete abner+ aur sarooyah ke bete yoab+ ne pavitra thehraya tha. pavitra thehrayi gayi har cheez shalomeet aur uske bhaaiyon ke adhikar mein saunpi gayi thi. 29  yishariyon+ mein se kanaanyah aur uske beton ko parmeshvar ke bhavan ke baahar, prashasan ka kaam diya gaya tha. woh israel mein adhikari aur nyayi the.+ 30  hebroniyon+ mein se hashbyah aur uske bhaai, jo kul milakar 1,700 kaabil aadmi the, israel mein yardan ke pashchim ke ilake ke prashasan ke adhikari the. yahova ke kaam aur raja ke kaam mein unki yahi zimmedariyaan thi. 31  hebroniyon mein se yariyah+ apne pita ke gharane se nikle hebroniyon ka mukhiya tha. daavid ke raaj ke 40vein saal mein+ hebroniyon mein taakatvar kaabil aadmi dhoondhe gaye aur woh gilad ke yaajer+ mein paaye gaye. 32  yariyah ke bhaaiyon ki ginti 2,700 thi. woh sabhi kaabil aadmi the jo apne pitaon ke gharanon ke mukhiya the. isliye raja daavid ne unhein roobeniyon, gaadiyon aur manashshe ke aadhe gotra ka adhikari thehraya taaki woh sachche parmeshvar ke kaam aur raja ke kaam se jude har maamle ki dekhrekh karein.

kai footnote

ya “samarpit ki hui.”