pehala itihas 28:1-21

  • daavid ka bhaashaan (1-8)

  • sulaiman ko hidaytein; mandir ka namoona (9-21)

28  fir daavid ne israel ke in sabhi adhikariyon ko yarooshalem mein ikattha kiya: sabhi gotron ke haakim, raja ki seva karnevale sena-dalon ke pradhan,+ hazaron aur saikdon ke pradhan,+ raja aur uske beton+ ki saari daulat aur maveshiyon ki dekhrekh karnevale pradhan,+ saath hi darbaari aur har taakatvar aur kaabil aadmi.+  raja daavid khada hua aur usne kaha, “mere bhaaiyo aur mere logo, meri suno. meri dili tamanna thi ki main ek aisa bhavan banaun jo yahova ke karar ke sandook ke liye vishram ki jagah ho aur hamare parmeshvar ke liye paanvon ki chauki ho.+ mainne use banane ki taiyariyaan bhi ki thi.+  magar sachche parmeshvar ne mujhse kaha, ‘tu mere naam ki mahima ke liye bhavan nahin banayega+ kyonki toone bahot-se yuddh kiye hain aur bahot khoon bahaya hai.’+  israel ke parmeshvar yahova ne mere pita ke poore gharane mein se mujhe hi chuna tha taaki main sada ke liye israel ka raja banoon.+ usne yahooda ko aguva chuna tha+ aur yahooda ke gharanon mein se mere pita ka gharana chuna+ aur mere pita ke beton mein se mujhi ko poore israel ka raja banne ke liye manzoor kiya.+  yahova ne mujhe kai bete diye+ aur unmein se mere bete sulaiman ko yahova ki raajgaddi par baithkar israel par raaj karne ke liye chuna.+  parmeshvar ne mujhse kaha, ‘tera beta sulaiman hi mere liye bhavan aur aangan banayega, kyonki mainne use apna beta chuna hai aur main uska pita banoonga.+  agar woh meri aagyaon aur mere nyay-siddhaanton ko maanne mein atal bana rahega,+ jaise woh abhi maan raha hai, to main uska raaj hamesha ke liye mazbooti se kaayam rakhoonga.’+  isliye aaj main poore israel ke saamne, yahova ki mandli ke saamne aur hamare parmeshvar ke saamne tum logon se kehta hoon ki tum apne parmeshvar yahova ki sabhi aagyaon ko achhi tarah samjho aur unhein maano, taaki is badhiya desh par tumhara adhikar bana rahe+ aur tum baad mein apne beton ko ise sada ke liye virasat mein de sako.  aur mere bete sulaiman, tu apne pita ke parmeshvar ko jaan aur poore* dil se aur khushi-khushi uski seva kar,+ kyonki yahova sabke dilon ko jaanchta hai+ aur man ke har vichar aur irade ko jaanta hai.+ agar tu uski khoj karega to woh tujhe milega.+ lekin agar tu use chhod dega, to woh tujhe hamesha ke liye thukra dega.+ 10  is baat par achhi tarah dhyan de kyonki yahova ne tujhe ek aisa bhavan banane ke liye chuna hai jo uska pavitra-sthan hoga. himmat rakh aur kaam mein lag jaa.” 11  fir daavid ne apne bete sulaiman ko mandir ka baramda,+ uske kamre, bhandar-ghar, chhat ke khaane, bheetri kamre aur prayashchit ke dhakne ka bhavan*+ banane ka namoona+ diya. 12  daavid ko parmeshvar ki prerna se in sab cheezon ka jo namoona mila tha woh sab usne sulaiman ko diya: yahova ke bhavan ke aangan,+ uske chaaron taraf ke bhojan ke kamre, sachche parmeshvar ke bhavan ke khazane aur pavitra thehrayi gayi* cheezon ke khazane.+ 13  saath hi, usne yaajkon aur leviyon ke dalon+ ke batvare ke baare mein, yahova ke bhavan mein honevali saari sevaon ke baare mein aur yahova ke bhavan mein seva ke liye istemal honevali saari cheezon ke baare mein hidaytein di. 14  daavid ne yah bhi bataya ki alag-alag kaamon mein istemal honevali sone ki cheezen banane mein kitna sona lagaye, chaandi ki cheezon ke liye kitni chaandi lagaye, 15  sone ki deevton+ aur sone ke deeyon ke liye kitna sona lagaye, chaandi ki deevton mein se har deevat aur uske deeyon ke istemal ke mutabik kitni chaandi lagaye, 16  rotiyon ka dher* rakhnevali mezon+ mein se har mez ke liye kitna sona lagaye aur chaandi ki mezon ke liye kitni chaandi lagaye, 17  kaanton, katoron aur surahiyon ke liye kitna shuddh sona lagaye, sone ki katoriyon+ mein se har katori ke liye kitna sona lagaye aur chaandi ki katoriyon mein se har katori ke liye kitni chaandi lagaye. 18  usne yah bhi bataya ki dhoop ki vedi ke liye kitna shuddh sona lagaye+ aur rath ke prateek+ yaani sone ke un karoobon+ ke liye kitna sona lagaye, jo yahova ke karar ke sandook ke oopar pankh failaye huye honge aur us par chhaaya kiye huye honge. 19  daavid ne kaha, “yahova ne mujhe androoni samajh di jis vajah se mainne bhavan ki saari baareekiyon ka ek namoona+ taiyar kiya.”+ 20  fir daavid ne apne bete sulaiman se kaha, “tu himmat se kaam le aur hausla rakh aur kaam mein lag jaa. tu darna mat aur na hi khauf khaana kyonki mera parmeshvar yahova tere saath hai.+ woh tujhe nahin chhodega, na hi tyagega.+ woh tere saath tab tak rahega jab tak ki yahova ke liye bhavan banane ka saara kaam poora nahin ho jaata. 21  sachche parmeshvar ke bhavan ki saari sevaon ke liye yaajkon aur leviyon+ ke ye saare dal+ taiyar hain. tere liye aise kaareegar maujood hain jo har tarah ka kaam khushi-khushi aur kushalta se kareinge.+ saath hi haakim+ aur saare log bhi hain jo teri sab hidayton ka paalan kareinge.”

kai footnote

ya “poori tarah lage huye.”
ya “prayashchit ka bhavan.”
ya “samarpit ki hui.”
yaani nazrane ki roti.