pehala itihas 29:1-30

  • mandir banane ke liye daan (1-9)

  • daavid ki prarthna (10-19)

  • log khush; sulaiman ka raaj (20-25)

  • daavid ki maut (26-30)

29  ab raja daavid ne poori mandli se kaha, “mera beta sulaiman, jise parmeshvar ne chuna hai,+ abhi javan hai aur use koi tajurba nahin hai*+ aur yah kaam bahot bada hai, kyonki kisi insan ke liye mahal nahin balki yahova parmeshvar ke liye mandir banaya jaana hai.+  mainne apne parmeshvar ke bhavan ke liye taiyariyaan karne mein koi kasar nahin chhodi. mainne sone ke kaam ke liye sona, chaandi ke kaam ke liye chaandi, tambe ke kaam ke liye taamba, lohe ke kaam ke liye loha,+ lakdi,+ sulemani patthar, aise patthar jinhein gaare se jada jaa sakta hai, pachcheekari ke patthar, har tarah ka keemti ratna aur bhaari taadad mein silkhadee patthar ikattha kiya hai.  in sabke alava, main pavitra bhavan ke liye apne khud ke khazane+ se sona-chaandi de raha hoon kyonki main apne parmeshvar ke bhavan se gehra lagav rakhta hoon.+  main apne khazane se opeer se laaya 3,000 tode* sona+ aur 7,000 tode shuddh chaandi de raha hoon taaki bhavan ke kamron ki deevarein madhi jaa sakein.  main sone ke kaam ke liye sona aur chaandi ke kaam ke liye chaandi aur kaareegaron ke sab kaamon ke liye main ye saari cheezen deta hoon. ab tummein se kaun aage badhkar apni ichha se yahova ke liye bheint dena chahega?”+  tab pitaon ke gharanon ke haakim, israel ke gotron ke haakim, hazaron aur saikdon ke pradhan+ aur raja ke kaam par thehraye gaye adhikari+ apni ichha se aage aaye.  unhonne sachche parmeshvar ke bhavan ke kaam ke liye yah sab daan kiya: 5,000 tode sona, 10,000 darknon,* 10,000 tode chaandi, 18,000 tode taamba aur 1,00,000 tode loha.  jin-jinke paas keemti ratna the unhonne yahova ke bhavan ke khazane ke liye de diye jiski dekhrekh gershoni+ yahiel karta tha.+  logon ko ye cheezen bheint karne mein badi khushi hui kyonki unhonne poore dil se aur apni ichha se yahova ko bheint ki thi+ aur raja daavid bhi bahot magan hua. 10  fir daavid ne poori mandli ke saamne yahova ki badai ki. daavid ne kaha, “hey hamare pita israel ke parmeshvar yahova, yug-yug tak* teri taareef hoti rahe. 11  hey yahova, mahanta,+ taakat,+ saundarya, vaibhav aur pratap* tera hi hai+ kyonki aakash aur dharti par jo kuch hai, sab tera hai.+ hey yahova, raaj tera hai.+ tu aisa parmeshvar hai jisne khud ko sabse uncha kiya hai, tu param-pradhan hai. 12  dhan aur samman tujhi se milta hai+ aur tu har cheez par raaj karta hai.+ tere haath mein shakti+ aur taakat hai.+ tera haath sabko mahan bana sakta hai,+ unhein taakat de sakta hai.+ 13  isliye ab hey hamare parmeshvar, hum tera shukriya ada karte hain, tere khoobsoorat naam ki taareef karte hain. 14  main kya hoon, meri praja kya hai ki hum is tarah apni ichha se tujhe kuch bheint karein? kyonki sabkuch tujhi se milta hai aur hamne tujhe jo bhi diya woh tera hi diya hua hai. 15  hum to teri nazar mein pardesi aur pravasi jaise hain, jaise hamare baap-daade hua karte the.+ dharti par hamari zindagi ke din ek chhaaya ke samaan hain+ aur hamein koi aasha nahin hai. 16  hey yahova, hamare parmeshvar, hamne ye jo daulat ikatthi ki hai taaki tere pavitra naam ki mahima ke liye bhavan bana sakein, yah sab teri hi di hui hai, sab par tera hi hak hai. 17  hey mere parmeshvar, main achhi tarah jaanta hoon ki tu dil ko jaanchta hai+ aur tu nirdosh chaalchalan* se khush hota hai.+ mainne seedhe-sachche man se aur apni ichha se ye saari cheezen tujhe bheint ki hain aur yah dekhkar main foola nahin sama raha hoon ki tere log jo yahaan maujood hain, apni ichha se tujhe bheint de rahe hain. 18  hey yahova, hamare baap-daade abraham, ishaak aur israel ke parmeshvar, tu apne logon ki madad kar taaki woh apna yah jazba hamesha banaye rakhein aur poore dil se teri seva karte rahein.+ 19  aur mere bete sulaiman ki madad kar taaki woh poore* dil se+ teri aagyaon aur niyamon par chale,+ tu jo hidaytein yaad dilata hai unhein maane aur unka paalan karta rahe aur woh mandir* banaye jiske liye mainne taiyariyaan ki hain.”+ 20  fir daavid ne poori mandli se kaha, “ab tum sab apne parmeshvar yahova ki taareef karo.” tab saari mandli ne apne purkhon ke parmeshvar yahova ki taareef ki aur munh ke bal girkar yahova ko dandvat kiya aur raja ko pranam kiya. 21  aur agle din tak woh sab yahova ke liye balidan aur hom-baliyaan chadhate rahe.+ unhonne yahova ke liye 1,000 bail, 1,000 medhe, 1,000 nar memne aur argh chadhaye.+ unhonne poore israel ki taraf se bhaari taadad mein balidan chadhaye.+ 22  us din unhonne yahova ke saamne khaaya-peeya aur khushiyaan manayin+ aur dobara daavid ke bete sulaiman ko raja banaya aur yahova ke saamne uska abhishek karke use aguva thehraya+ aur saadok ka abhishek karke use yaajak thehraya.+ 23  sulaiman apne pita daavid ki jagah yahova ki raajgaddi par baitha+ aur woh kaamyab hua. sabhi israeli uski aagya maante the. 24  sabhi haakimon,+ veer yoddhaon+ aur raja daavid ke sabhi beton+ ne khud ko raja sulaiman ke adheen kiya. 25  yahova ne sulaiman ko poore israel ke saamne bahot mahan kiya aur use itna raajkeeya vaibhav diya jitna ki usse pehale israel mein kisi raja ko nahin mila tha.+ 26  is tarah yishai ke bete daavid ne poore israel par raaj kiya. 27  usne 40 saal israel par raaj kiya, 7 saal hebron mein rehkar+ aur 33 saal yarooshalem mein rehkar.+ 28  woh apni zindagi se poori tarah khush tha. usne kaafi daulat aur shohrat haasil ki thi aur ek lambee aur khushhal zindagi jeene ke baad uski maut ho gayi.+ uski jagah uska beta sulaiman raja bana.+ 29  raja daavid ka shuroo se lekar aakhir tak ka poora itihas darshi shamooel, bhavishyavakta naatan+ aur darshi gaad+ ke lekhanon mein likha hai. 30  saath hi uske raaj aur uske bade-bade kaamon ka byaura, uski zindagi ki ghatnayen aur uske dinon mein israel aur aas-paas ke sabhi raajyon mein hui ghatnayen bhi likhi hain.

kai footnote

ya “naazuk hai.”
ek toda 34.2 kilo ke barbar tha. ati. kha14 dekhein.
darknon sone ka ek faarsi sikka tha. ati. kha14 dekhein.
ya “hamesha se hamesha tak.”
ya “garima.”
ya “sadachar; seedhai.”
ya “poori tarah lage huye.”
ya “kila; mahal.”