pehala itihas 4:1-43

  • yahooda ke doosre vanshaj (1-23)

    • yaabes aur uski prarthna (9, 10)

  • shimon ke vanshaj (24-43)

4  yahooda ke bete the peres,+ hesron,+ karmi, hoor+ aur shobal.+  shobal ka beta raayah tha aur raayah ka beta yahat. yahat ke bete the ahoomai aur lahad. ye sorai gharane the.+  etam+ ke pita ke bete the: yijrel, yishma aur yidbash (aur unki behen ka naam haslel-poni tha)  aur panooel, gador ka pita tha aur ejer, hoosha ka pita tha. ye hoor+ ke bete the jo eprata ka pehalautha tha aur betlehem+ ka pita tha.  takoa+ ke pita ashhoor+ ki do patniyaan thi, hela aur naara.  naara se ashhoor ke ye bete huye: ahujjam, heper, temni aur haahashtari. ye naara ke bete the.  hela ke bete the seret, yishar aur etnan.  kos, aanoob aur sobeba ka aur haaroom ke bete aharhel ke gharanon ka pita tha.  yaabes ne apne bhaaiyon se zyada samman paaya aur uski maa ne yah kehkar uska naam yaabes* rakha, “mainne bahot dard jhelkar ise janm diya hai.” 10  yaabes ne israel ke parmeshvar se yah prarthna ki thi: “hey parmeshvar, mujhe aasheesh de aur meri sarhad badha de. tera haath mujh par ho aur mujhe museebaton se bachaye rakhe taaki mujhe koi khatra na ho!” isliye parmeshvar ne uski khaatir vahi kiya jo usne maanga tha. 11  shooha ke bhaai kaloob ka beta maheer tha. maheer ka beta eshton tha. 12  eshton bet-raapa, paaseh aur tahinna ka pita tha aur tahinna, ir-naahash ka pita tha. ye reka ke aadmi the. 13  kanaj ke bete the otniel+ aur sarayah. otniel ka beta tha* hatat. 14  monotai ka beta opra tha. sarayah ka beta yoab tha. aur yoab, gehrasheem* ke nivasiyon ka pita tha. yah naam isliye pada kyonki woh log kaareegar the. 15  yapunne ke bete kaaleb+ ke bete the iroo, elah aur na-am. elah ka beta tha* kanaj. 16  yahalle-lel ke bete the zeef, jeepa, teerya aur asrel. 17  ejrah ke bete the yeter, mered, eper aur yaalon. woh* garbhvati hui aur usne miryam, shammai aur yishbah ko janm diya jo eshtmoaa ka pita tha. 18  (uski yahoodi patni ne yered, heber aur yakootiel ko janm diya. yered gador ka pita tha, heber soko ka pita tha aur yakootiel jaanoh ka pita tha.) ye firaun ki beti bitya ke bete the jisse mered ne shaadi ki thi. 19  naham ki behen yaani hodiyah ki patni ke bete, geremi keela aur maakati eshtmoaa ke pita the. 20  aur sheemon ke bete the amnon, rinna, ben-haanan aur teelon. yishi ke bete johet aur ben-johet the. 21  yahooda ke bete shelah ke bete+ ye the: er jo leka ka pita tha, laada jo maareshah ka pita tha, ashbeaa ke gharane ke parivar jo behtareen kapde taiyar karne ka kaam karte the, 22  yokeem, kojeba ke aadmi, yoash aur sarap jinhonne moabee aurton se shaadi ki thi aur yaashoob-lehem. ye purane zamane ke dastavez hain.* 23  ye kumhar the jo nataim aur gadera mein rehte the. woh vahaan rehkar raja ke liye kaam karte the. 24  shimon ke bete the+ namooel, yaameen, yaareeb, jerah aur shaul.+ 25  shaul ka beta shalloom tha, shalloom ka mibsam aur mibsam ka beta mishma tha. 26  mishma ke bete the: uska beta hammooel, hammooel ka jakkoor aur jakkoor ka beta shimi. 27  shimi ke 16 bete aur 6 betiyaan thi. magar uske bhaaiyon ke zyada bete nahin the aur unke kisi bhi gharane mein itne zyada aadmi nahin the jitne yahooda ke aadmi the.+ 28  woh in jagahon mein rehte the: bersheba,+ molada,+ hasar-shooaal,+ 29  bilha, esem,+ tolad, 30  batooel,+ horma,+ siklag,+ 31  bet-markabot, hasar-sooseem,+ bet-biri aur shaaraim. daavid ke raaj tak ye shehar unke the. 32  unki bastiyaan thi etam, ain, rimmon, token aur aashaan,+ yaani paanch shehar, 33  saath hi door baal tak ki woh bastiyaan jo in shehron ke aas-paas thi. ye unki vanshavliyaan aur un jagahon ke naam hain jahaan woh rehte the. 34  aur mashobab, yamlek, yosha jo amajyah ka beta tha, 35  yoel, yehoo jo yoshibyah ka beta, sarayah ka pota aur asiel ka parpota tha, 36  elyoenai, yaakoba, yashohayah, asayah, adiel, yaseemiel, banayah, 37  aur zeeza jo shipi ka beta tha, shipi allon ka, allon yadayah ka, yadayah shimri ka aur shimri shamayah ka beta tha. 38  ye unke naam hain jo apne-apne gharane ke pradhan the. unke purkhon ke gharane ke logon ki taadad bahot badh gayi thi. 39  woh apni bhed-bakriyon ke jhundon ke liye charagahon ki talash mein gador ke faatak tak pahunch gaye jo ghaati ke poorab mein tha. 40  aakhirkar unhein bahot achhe aur hare-bhare charagah mile. woh kaafi bada aur shaant ilaka tha aur vahaan koi khatra nahin tha. vahaan pehale haam ke vanshaj rehte the.+ 41  ye log, jinke naamon ki soochi di gayi hai, yahooda ke raja hijkiyah+ ke dinon mein vahaan gaye aur unhonne vahaan rehnevale haam ke vanshajon aur maooni logon ke tamboo naash kar diye. unhonne unko mita diya jiska saboot aaj bhi dekha jaa sakta hai aur woh unki jagah bas gaye kyonki unke jhundon ke liye vahaan charagah the. 42  kuch shimoni aadmi, jinki ginti 500 thi, palatyah, naaryah, rapayah aur ujjiel ke saath seir pahad+ par gaye. yishi ke in beton ne un 500 aadmiyon ki aguvai ki thi. 43  unhonne vahaan un amalekiyon+ ko maar daala jo bach nikle the. woh aaj tak vahin base huye hain.

kai footnote

naam yaabes shaayad us ibrani shabd se sambandh rakhta hai jiska matlab “dard” hai.
shaa., “ke bete the.”
matlab “kaareegaron ki ghaati.”
shaa., “ke bete the.”
yah shaayad aay. 18 mein batayi bitya hai.
ya “ye purani parampara ki baatein hain.”