pehala itihas 5:1-26

  • rooben ke vanshaj (1-10)

  • gaad ke vanshaj (11-17)

  • hagri logon par jeet (18-22)

  • manashshe ka aadha gotra (23-26)

5  israel ke pehalauthe rooben+ ke beton ke naam neeche diye gaye hain. rooben pehalautha tha magar kyonki usne apne pita ki sej dooshit* kar di thi,+ isliye uska pehalauthe ka hak israel ke bete yoosuf ke beton ko de diya gaya.+ rooben ka naam pehalauthe ke hak ke liye vanshavli mein nahin likha gaya.  haalanki yahooda+ apne bhaaiyon se zyada mahan tha aur usi ke vansh se woh aaya jo aguva hota,+ fir bhi pehalauthe ka hak yoosuf ka tha.  israel ke pehalauthe rooben ke bete the haanok, palloo, hesron aur karmi.+  yoel ke bete the shamayah, shamayah ka beta gog, gog ka shimi,  shimi ka mika, mika ka raayah, raayah ka baal,  aur baal ka beta bayerah tha, jise ashshoor ka raja tilgat-pilneser+ bandi banakar le gaya. bayerah, roobeniyon ka ek pradhan tha.  unke gharanon ki vanshavli ke mutabik uske bhaai ye the: yiel jo pradhan tha, jakaryah  aur bela jo ajaj ka beta, shama ka pota aur yoel ka parpota tha. bela aroer+ mein aur door nabo aur baalmon+ tak rehta tha.  woh poorab mein door us jagah tak bas gaya jahaan se farat nadi ke paasvala veerana shuroo hota hai+ kyonki gilad ke ilake mein unke maveshiyon ki taadad bahot badh gayi thi.+ 10  shaaool ke dinon mein unhonne hagri logon se yuddh kiya aur unhein hara diya. isliye woh gilad ke poorab ke saare ilake mein hagri logon ke tambuon mein rehne lage. 11  unke pados mein gaad ke vanshaj the. woh baashaan pradesh mein door salka tak base huye the.+ 12  baashaan mein yoel mukhiya tha, uske baad shaapam tha aur yaanai aur shaapat bhi aguve the. 13  unke pitaon ke gharanon mein unke bhaai the meekael, mashullam, sheeba, yorai, yaakan, zia aur eber. ye kul milakar saat the. 14  ye abeehail ke bete the, abeehail hoori ka beta tha, hoori yaaroh ka, yaaroh gilad ka, gilad meekael ka, meekael yasheeshai ka, yasheeshai yahado ka aur yahado booj ka beta tha. 15  unke pita ke gharane ka mukhiya ahi tha, jo abdiel ka beta aur gooni ka pota tha. 16  woh gilad aur baashaan mein, unke aas-paas ke nagron mein aur shaaron ke sab charagahon mein unki sarhadon tak rehte the.+ 17  un sabhi ka naam yahooda ke raja yotam+ aur israel ke raja yaarobam*+ ke dinon mein vanshavli mein likha gaya tha. 18  roobeniyon, gaadiyon aur manashshe ke aadhe gotra ki sena mein 44,760 veer yoddha the jo dhaalon, talvaron aur kaman se lais rehte the aur yuddh ki taaleem paaye huye the. 19  unhonne hagri logon se aur yatoor, naapeesh+ aur nodab se yuddh kiya tha.+ 20  unhonne yuddh mein parmeshvar se madad maangi thi aur parmeshvar ne unki binti sunkar unki madad ki kyonki unhonne us par bharosa kiya tha.+ parmeshvar ne hagri logon aur unke saathvale sabhi logon ko unke haath mein kar diya. 21  unhonne unke sabhi jaanvar hadap liye, 50,000 unt, 2,50,000 bhedein aur 2,000 gadhe. saath hi unke 1,00,000 logon ko bandi bana liya. 22  bahot-se log maar daale gaye kyonki yah ladai sachche parmeshvar ki or se thi.+ aur woh bandhuai ke samay tak unke ilake mein base rahe.+ 23  manashshe ke aadhe gotra ke vanshaj+ baashaan se baal-hermon tak ke ilake mein aur saneer aur hermon pahad ke ilake mein rehte the.+ unki aabadi bahot zyada thi. 24  unke pitaon ke gharanon ke mukhiya ye the: eper, yishi, eliel, ajriel, yirmayah, hodvyah aur yahdiel. woh veer yoddha aur mashhoor aadmi the aur apne-apne pita ke gharane ke mukhiya the. 25  magar unhonne apne purkhon ke parmeshvar ke saath vishvasghat kiya aur apne ilake ke un logon ke devtaon ko poojne* lage+ jinhein parmeshvar ne unke saamne se mita diya tha. 26  isliye israel ke parmeshvar ne ashshoor ke raja pool (yaani ashshoor ke raja tilgat-pilneser)+ ke man ko uksaya+ aur pool ne roobeniyon, gaadiyon aur manashshe ke aadhe gotra ko bandi bana liya aur unhein halah, haabor, haara aur gojan nadi tak le gaya.+ woh aaj tak unhin jagahon mein rehte hain.

kai footnote

ya “ashuddh.”
yaani yaarobam dviteeya.
ya “ke saath veshyaon jaisi badchalni karne.”