pehala itihas 6:1-81

  • levi ke vanshaj (1-30)

  • mandir ke gaayak (31-47)

  • haaroon ke vanshaj (48-53)

  • leviyon ki bastiyaan (54-81)

6  levi ke bete the+ gershon, kahat+ aur marari.+  kahat ke bete the amram, yishar,+ hebron aur ujjiel.+  amram ke bachche* the+ haaroon,+ moosa+ aur miryam.+ haaroon ke bete the naadab, abeehoo,+ eliazar+ aur itamar.+  eliazar ka beta finehas tha+ aur finehas ka beta abeeshoo tha.  abeeshoo ka beta bukki aur bukki ka beta ujji tha.  ujji ka beta jarahyah aur jarahyah ka beta marayot tha.  marayot ka beta amaryah aur amaryah ka beta aheetoob+ tha.  aheetoob ka beta saadok+ aur saadok ka beta aheemas tha.+  aheemas ka beta ajaryah aur ajaryah ka beta yohanan tha. 10  yohanan ka beta ajaryah tha. usne yarooshalem mein sulaiman ke banaye bhavan mein yaajak ke naate seva ki thi. 11  ajaryah ka beta amaryah aur amaryah ka beta aheetoob tha. 12  aheetoob ka beta saadok+ aur saadok ka beta shalloom tha. 13  shalloom ka beta hilkiyah+ aur hilkiyah ka beta ajaryah tha. 14  ajaryah ka beta sarayah+ aur sarayah ka beta yahosadak+ tha. 15  yahosadak us samay bandhuai mein chala gaya jab yahova ne yahooda aur yarooshalem ko nabookadnessar ke haath bandhuai mein bhej diya tha. 16  levi ke bete the gershom,* kahat aur marari. 17  gershom ke bete the libni aur shimi.+ 18  kahat ke bete the amram, yishar, hebron aur ujjiel.+ 19  marari ke bete the mahli aur mooshi. leviyon ke purkhon se nikle gharane ye the:+ 20  gershom ke vanshaj the+ uska beta libni, libni ka yahat, yahat ka jimma, 21  jimma ka yoah, yoah ka iddo, iddo ka jerah aur jerah ka beta yaatrai. 22  kahat ke bete* the ammeenadab, ammeenadab ka beta korah,+ korah ke bete asseer, 23  elkana aur ebyasap,+ ebyasap ka beta asseer, 24  asseer ka taahat, taahat ka uriel, uriel ka ujjiyah aur ujjiyah ka beta shaul. 25  elkana ke bete the amasai aur aheemot. 26  ek aur elkana ke bete the sopai, sopai ka beta nahat, 27  nahat ka eleeab, eleeab ka yaroham aur yaroham ka beta elkana.+ 28  shamooel+ ke bete the, pehalautha yoel aur doosra beta abiyah.+ 29  marari ke bete* the mahli,+ mahli ka beta libni, libni ka shimi, shimi ka ujjah, 30  ujjah ka shima, shima ka haggiyah aur haggiyah ka beta asayah. 31  daavid ne kuch leviyon ko isliye chuna ki jab sandook yahova ke bhavan mein rakha jaaye to vahaan woh geet gaane ka nirdeshan karein.+ 32  jab tak sulaiman ne yarooshalem mein yahova ka bhavan nahin banaya+ tab tak bheint ke tamboo mein woh gaanon ke liye zimmedar the. unke liye jo niyam thehraya gaya tha uske mutabik woh seva karte the.+ 33  un aadmiyon ke naam ye hain jo apne beton ke saath milkar yah seva karte the: kahatiyon mein se heman+ gaayak jo yoel+ ka beta tha, yoel shamooel ka, 34  shamooel elkana+ ka, elkana yaroham ka, yaroham eliel ka, eliel toh ka, 35  toh zoof ka, zoof elkana ka, elkana mahat ka, mahat amasai ka, 36  amasai elkana ka, elkana yoel ka, yoel ajaryah ka, ajaryah sapanyah ka, 37  sapanyah taahat ka, taahat asseer ka, asseer ebyasap ka, ebyasap korah ka, 38  korah yishar ka, yishar kahat ka, kahat levi ka aur levi israel ka beta tha. 39  heman ka bhaai aasap+ uske daayin taraf khada rehta tha. aasap berekyah ka beta tha, berekyah shima ka, 40  shima meekael ka, meekael baaseyah ka, baaseyah malkiyah ka, 41  malkiyah etni ka, etni jerah ka, jerah adayah ka, 42  adayah etan ka, etan jimma ka, jimma shimi ka, 43  shimi yahat ka, yahat gershom ka aur gershom levi ka beta tha. 44  unke bhaai yaani marari ke vanshaj+ heman ke baayin taraf khade rehte the. etan+ jo keeshi ka beta tha, keeshi abdi ka, abdi mallook ka, 45  mallook hashbyah ka, hashbyah amajyah ka, amajyah hilkiyah ka, 46  hilkiyah amsi ka, amsi baani ka, baani shemer ka, 47  shemer mahli ka, mahli mooshi ka, mooshi marari ka aur marari levi ka beta tha. 48  unke doosre levi bhaaiyon ko sachche parmeshvar ke bhavan yaani pavitra dere ki saari sevayen karne ke liye thehraya gaya tha.*+ 49  haaroon aur uske bete+ hom-bali ki vedi par balidan chadhate the taaki uska dhuaan uthe,+ dhoop ki vedi par dhoop jalate the+ aur sabse pavitra cheezon se judi zimmedariyaan nibhate the. woh israel ke liye prayashchit karte the.+ is tarah woh woh saara kaam karte the jiski aagya sachche parmeshvar ke sevak moosa ne di thi. 50  haaroon ke vanshaj ye the:+ uska beta eliazar,+ eliazar ka beta finehas, finehas ka abeeshoo, 51  abeeshoo ka bukki, bukki ka ujji, ujji ka jarahyah, 52  jarahyah ka marayot, marayot ka amaryah, amaryah ka aheetoob,+ 53  aheetoob ka saadok+ aur saadok ka beta aheemas. 54  woh apne ilake ki in jagahon mein chhaavniyaan* daalkar rehte the: kahatiyon ke gharane mein se haaroon ke vanshajon ko, jinke naam par pehali chitthi nikli thi, 55  unhonne yahooda ke ilake mein se hebron+ aur uske aas-paas ke charagah diye. 56  magar unhonne us shehar ka khet aur uski bastiyaan yapunne ke bete kaaleb ko di.+ 57  unhonne haaroon ke vanshajon ko sharan nagar+ diye,* yaani hebron.+ saath hi unhonne libna+ aur uske charagah, yatteer,+ eshtmoaa aur uske charagah,+ 58  heelen aur uske charagah, dabir+ aur uske charagah, 59  aashaan+ aur uske charagah aur bet-shemesh+ aur uske charagah diye. 60  binyameen gotra ne unhein geba+ aur uske charagah, aalemet aur uske charagah aur anatot+ aur uske charagah diye. unke gharanon ke kul milakar 13 shehar the.+ 61  baaki kahatiyon ko das shehar diye gaye. ye shehar gotra ke gharane ke, aadhe gotra ke, manashshe ke aadhe gotra ke ilake se diye gaye.*+ 62  gershomiyon ko unke gharanon ke hisab se 13 shehar diye gaye. ye shehar issakar, aasher aur naptali gotron aur baashaan mein rehnevale manashshe gotra ke ilake se diye gaye.+ 63  marariyon ko unke gharanon ke hisab se chitthi daalkar 12 shehar diye gaye. ye shehar rooben, gaad aur jabooloon gotron ke ilake se diye gaye.+ 64  is tarah israeliyon ne leviyon ko ye shehar aur unke charagah diye.+ 65  inke alava unhonne chitthi daalkar yahooda, shimon aur binyameen gotron ke ilake se shehar diye jinka zikra unke naam se kiya gaya hai. 66  kuch kahati gharanon ko epraim gotra ke ilake mein se shehar mile taaki woh unke ilake hon.+ 67  unhonne unhein sharan nagar diye* yaani epraim ke pahadi pradesh mein shekem+ aur uske charagah diye, saath hi gejer+ aur uske charagah, 68  yokmam aur uske charagah, bet-horon+ aur uske charagah, 69  ayyalon+ aur uske charagah aur gat-rimmon+ aur uske charagah. 70  unhonne kahatiyon ke baaki gharanon ko manashshe ke aadhe gotra ke ilake se aaner aur uske charagah aur bilam aur uske charagah diye. 71  unhonne gershomiyon ko manashshe ke aadhe gotra ke gharane ke ilake se (baashaan ka) golan+ aur uske charagah aur ashtarot aur uske charagah diye.+ 72  issakar gotra ke ilake se kedesh aur uske charagah, daabrat+ aur uske charagah,+ 73  raamot aur uske charagah aur aanem aur uske charagah diye. 74  aasher gotra ke ilake se maanshal aur uske charagah, abdon aur uske charagah,+ 75  hookok aur uske charagah aur rahob+ aur uske charagah diye. 76  naptali gotra ke ilake se (galeel+ ka) kedesh+ aur uske charagah, hammon aur uske charagah aur kiryataim aur uske charagah diye. 77  unhonne baaki marariyon ko jabooloon gotra ke ilake se rimmono aur uske charagah aur taabor aur uske charagah diye.+ 78  yareeho ke paas, yardan praant ke poorab mein rehnevale rooben gotra ke ilake se beser (jo veerane mein hai) aur uske charagah, yahas+ aur uske charagah, 79  kademot+ aur uske charagah aur mepat aur uske charagah diye. 80  aur gaad gotra ke ilake se (gilad ka) raamot aur uske charagah, mahnaim+ aur uske charagah, 81  heshbon+ aur uske charagah aur yaajer+ aur uske charagah diye.

kai footnote

shaa., “bete.”
aay. 1 mein iska doosra naam gershon hai.
ya “vanshaj.”
ya “vanshaj.”
shaa., “diya gaya tha.”
ya “deevaron se ghiri chhaavniyaan.”
ya shaayad, “sharan nagar diya.” yah baat yah 21:13 se mel khaati hai.
ya “chitthi daalkar diye gaye.”
ya shaayad, “sharan nagar diya.” yah baat yah 21:21 se mel khaati hai.