pehala itihas 7:1-40

  • issakar ke vanshaj (1-5), binyameen ke vanshaj (6-12), naptali ke vanshaj (13), manashshe ke vanshaj (14-19), epraim ke vanshaj (20-29) aur aasher ke vanshaj (30-40)

7  issakar ke chaar bete the tola, pooa, yaashoob aur shimron.+  tola ke bete the ujji, rapayah, yariel, yahmai, yibsam aur shimooel. ye sab apne pitaon ke gharane ke mukhiya the. tola ke vanshaj veer yoddha the aur daavid ke dinon mein unki ginti 22,600 thi.  ujji ke vanshaj* the yijrayah aur yijrayah ke bete meekael, obadyah, yoel aur yishshayah. ye paanchon pradhan the.  unke pitaon ke gharanon ki vanshavli ke mutabik unki sena mein 36,000 sainik the kyonki unki bahot-si patniyaan aur bahot-se bete the.  issakar ke sabhi gharanon ke aadmi veer yoddha the aur vanshavli mein unki ginti 87,000 thi.+  binyameen ke teen bete the+ bela,+ beker+ aur yadiel.+  bela ke paanch bete the esbon, ujji, ujjiel, yareemot aur iri. woh apne-apne gharane ke mukhiya the aur veer yoddha the aur unki vanshavli mein unki ginti 22,034 thi.+  beker ke bete the jameera, yoash, eliezer, elyoenai, omri, yaremot, abiyah, anatot aur aalemet. ye sab beker ke bete the.  jin vanshajon ke naam vanshavli mein likhe gaye the yaani woh jo pitaon ke gharanon ke mukhiya the, unki ginti 20,200 thi. 10  yadiel+ ke bete the bilhan aur bilhan ke bete yoosh, binyameen, ehood, kanaana, jetan, tarsheesh aur aheeshhar. 11  ye sab yadiel ke bete aur apne-apne pita ke gharane ke mukhiya the. unke 17,200 veer yoddha sena ke saath yuddh mein jaane ke liye taiyar rehte the. 12  shuppeem aur huppeem log ir+ ke bete the aur hooshi log aher ke bete the. 13  naptali ke bete the+ yahsiel, gooni, yeser aur shalloom. ye sab bilha ke vanshaj* the.+ 14  manashshe+ ke bete ye the: asriel jo uski seeriyai up-patni se paida hua tha. (usne maakeer ko bhi janm diya jo gilad ka pita tha.+ 15  maakeer ne huppeem aur shuppeem ki shaadi karvayi, jiski behen ka naam maaka tha.) doosre ka naam salofad+ tha, magar salofad ki sirf betiyaan thi.+ 16  maakeer ki patni maaka ne ek bete ko janm diya jiska naam usne peresh rakha. peresh ke bhaai ka naam sheresh tha aur sheresh ke bete the oolam aur rekem. 17  oolam ka beta tha* badaan. ye sabhi gilad ke bete the, jo maakeer ka beta aur manashshe ka pota tha. 18  gilad ki behen hammoleket thi. usne ishhod, abiejer aur mahla ko janm diya. 19  shameeda ke bete the ahyan, shekem, likhi aur aneeam. 20  epraim ke bete + ye the: shootelah,+ shootelah ka beta bered, bered ka taahat, taahat ka elada, elada ka taahat, 21  taahat ka jaabad aur jaabad ka beta shootelah. ejer aur elad bhi epraim ke bete the. gat+ ke aadmiyon ne, jo us ilake mein paida huye the, un donon ko maar daala kyonki woh epraimiyon ke maveshiyon ko churane neeche gaye the. 22  unka pita epraim kai dinon tak maatam manata raha aur uske bhaai uske paas aakaar use dilasa dete rahe. 23  baad mein epraim ne apni patni ke saath sambandh rakhe aur woh garbhvati hui aur usne ek bete ko janm diya. magar epraim ne uska naam bareea* rakha kyonki uski patni ne aise vakt par bete ko janm diya jab uske gharane par museebat toot padi thi. 24  uski beti shera thi jisne nichle+ aur oopri bet-horon+ ko aur ujjen-shera ko banaya tha. 25  uske bete the repa aur reshep, reshep ka beta tha telah, telah ka tahan, 26  tahan ka laadan, laadan ka ammeehood, ammeehood ka eleeshama, 27  eleeshama ka noon aur noon ka beta yahoshoo* tha.+ 28  unki jaageer aur bastiyaan ye thi: betel+ aur uske aas-paas ke nagar, poorab mein naaran, pashchim mein gejer aur uske aas-paas ke nagar, shekem aur uske aas-paas ke nagar, door ayyah* aur uske aas-paas ke nagar, 29  manashshe ke vanshajon ke ilake ke paas bet-sha-aan+ aur uske aas-paas ke nagar, taanak+ aur uske aas-paas ke nagar, magiddo+ aur uske aas-paas ke nagar aur dor+ aur uske aas-paas ke nagar. in ilakon mein israel ke bete yoosuf ke vanshaj rehte the. 30  aasher ke bete the yimnah, yishva, yishvi aur bareea.+ unki behen thi serah.+ 31  bareea ke bete the heber aur malkiel aur malkiel birjot ka pita tha. 32  heber ke bete the yaplet, shomer aur hotam. unki behen shooa thi. 33  yaplet ke bete the paasak, bimhal aur ashvat. ye yaplet ke bete the. 34  shemer* ke bete the ahi, rohga, yahubba aur araam. 35  uske bhaai helem* ke bete the sopah, yimna, shelesh aur aamal. 36  sopah ke bete the sooh, harneper, shooaal, beri, imra, 37  beser, hod, shamma, shilsha, yitran aur beera. 38  yeter ke bete the yapunne, pispa aur ara. 39  ulla ke bete the aarah, hanniel aur risya. 40  ye sab aasher ke bete the. woh apne-apne pita ke gharane ke mukhiya the. woh khaas aadmi aur veer yoddha the aur senapatiyon ke mukhiya the. vanshavli ke mutabik+ unki 26,000 aadmiyon ki sena thi+ jo yuddh ke liye taiyar rehti thi.

kai footnote

shaa., “bete.”
shaa., “bete.”
shaa., “ke bete the.”
matlab “museebat ke saath.”
ya “yahoshua” jiska matlab hai, “yahova uddhaar hai.”
ya shaayad, “gaaza” magar palisht ka gaaza nahin.
aay. 32 mein iska doosra naam shomer hai.
yah shaayad aay. 32 mein bataya “hotam” hai.