kurinthiyon ke naam pehali chitthi 13:1-13
-
pyar—sabse behtareen raah (1-13)
13 agar main insanon aur swargdooton ki bhaashayen boloon, magar mujhmein pyar na ho, to main tantanati ghanti ya jhanjhanati jhaanjh hoon.
2 aur agar mujhe bhavishyavani karne ka vardan mila hai aur mere paas saare pavitra rehasyon ki samajh aur saara gyaan hai+ aur mujhmein itna vishvas hai ki main pahadon ko bhi yahaan se vahaan hata* sakta hoon, lekin mujhmein pyar nahin to main kuch bhi nahin.*+
3 agar main apni saari sampatti doosron ko khilane ke liye de doon+ aur apna shareer balidan kar doon ki main ghamand kar sakoon, lekin mujhmein pyar na ho+ to mujhe koi faayda nahin hoga.
4 pyar+ sabra rakhta hai+ aur kripa karta hai.+ pyar jalan nahin rakhta,+ dingein nahin maarta, ghamand se nahin foolta,+
5 galat* vyavhar nahin karta,+ sirf apne faayde ki nahin sochta,+ bhadak nahin uthta.+ yah chot* ka hisab nahin rakhta.+
6 yah burai se khush nahin hota,+ balki sachchai se khushi paata hai.
7 yah sabkuch bardasht kar leta hai,+ sab baaton par yakeen karta hai,+ sab baaton ki aasha rakhta hai,+ sabkuch dheeraj se sah leta hai.+
8 pyar kabhi nahin mitta.* agar bhavishyavani ke vardan hon to woh mit jaayenge, doosri bhaashayen bolne* ka vardan ho to woh khatm ho jaayega, gyaan ho to woh mit jaayega
9 isliye ki hamara gyaan adhoora hai+ aur hamari bhavishyavani adhoori hai.
10 lekin jab woh jo poora hai aayega, to jo adhoora hai woh mit jaayega.
11 jab main bachcha tha to bachchon ki tarah baat karta tha, bachchon ki tarah sochta tha, bachchon jaisi samajh rakhta tha. magar ab main bada ho gaya hoon, isliye mainne bachapna chhod diya hai.
12 abhi hum dhundhla aakaar dekhte hain, maano hum ek dhaatu ke aaine mein dekh rahe hon, magar us vakt aamne-saamne ekdam saaf-saaf dekheinge. abhi mere paas adhoora gyaan hai magar us vakt mere paas poora* gyaan hoga, theek jaise parmeshvar mere baare mein poori tarah jaanta hai.
13 lekin jo teen baatein baaki reh jaayengi, woh hain vishvas, aasha aur pyar, magar in teenon mein sabse bada hai pyar.+
kai footnote
^ ya “yahaan se nikaalkar vahaan laga.”
^ ya “main bekar hoon.”
^ ya “nuksan.”
^ ya “berukha.”
^ ya “kabhi naakam nahin hota.”
^ yaani chamatkar se doosri bhaashayen bolna.
^ ya “sahi.”