kurinthiyon ke naam pehali chitthi 16:1-24
16 pavitra janon ke liye jo daan ikattha kiya jaa raha hai,+ uske baare mein mainne galatiya ki mandliyon ko jo aadesh diye hain, tum bhi unka paalan kar sakte ho.
2 har hafte ke pehale din tummein se har koi apni aamdani ke mutabik kuch alag rakhe taaki jab main aaun to us vakt daan jama na karna pade.
3 magar jab main vahaan aaunga, to tum apni chitthiyon mein jin aadmiyon ki sifarish karte ho, unhein bhejoonga+ taaki tum khushi-khushi jo tohfa doge, use woh yarooshalem pahuncha dein.
4 lekin agar mere liye bhi vahaan jaana munasib hua, to main unke saath jaaunga.
5 magar main makiduniya ka daura karne ke baad tumhare paas aaunga kyonki main makiduniya se hokar aaunga+
6 aur shaayad main tumhare yahaan thahroon ya fir tumhare yahaan sardiyaan bhi bitaun aur iske baad jahaan main jaaunga vahaan ke liye tum kuch door tak mujhe chhod aana.
7 main nahin chahta ki main abhi raaste mein tumse bas mulakat karke chala jaaun, balki yah chahta hoon ki agar yahova* ijazat de to main tumhare saath kuch vakt bitaun.+
8 magar main pintekust ke tyohar tak ifisus+ mein hi rahoonga
9 kyonki mere liye mauke ka ek darvaza khola gaya hai ki main aur zyada seva kar sakoon,+ magar virodhi bhi bahot hain.
10 agar timuthiyus+ vahaan aaye, to dhyan rakhna ki tumhare paas rehte vakt use kisi baat ka dar na ho kyonki woh bhi meri tarah yahova* ka kaam kar raha hai.+
11 isliye koi use tuchh na samjhe. tum use kuch door tak sahi-salamat pahuncha dena taaki woh yahaan mere paas aa sake kyonki main bhaaiyon ke saath uska intazar kar raha hoon.
12 ab hamare bhaai apullos+ ki baat kahoon, to mainne usse bahot guzarish kee ki bhaaiyon ke saath tumhare paas aaye. abhi tumhare paas aane ki uski ichha nahin thi, magar jab use mauka milega tab woh tumhare paas aayega.
13 jaagte raho,+ vishvas mein mazboot khade raho,+ diler bano,*+ shaktishali bante jaao.+
14 tumhare beech saare kaam pyar se kiye jaayen.+
15 ab bhaaiyo, main tumhein ek aur baat ke liye badhava deta hoon. tum jaante ho ki stifanas ka gharana akhaya ke pehale fal hain aur woh pavitra janon ki seva mein lage rehte hain.
16 tum bhi aise logon ke adheen raho aur un sabke bhi adheen raho jo sahyog dete hain aur kadi mehnat karte hain.+
17 main stifanas+ aur foortoonatus aur akhaikhus ke yahaan rehne se behad khush hoon, kyonki unhonne tumhare yahaan na hone ki kami poori kar di hai.
18 unhonne tumhara aur mera ji taro-taaza kiya hai. isliye aise aadmiyon ka aadar kiya karo.
19 asia ki mandliyaan tumhein namaskar kehti hain. akvila aur priska, saath hi unke ghar mein ikattha honevali mandli+ bhi prabhu mein tumhein dil se namaskar kehti hai.
20 sabhi bhaaiyon ka tumhein namaskar. pavitra chumban se ek-doosre ko namaskar karo.
21 main paulus khud apne haath se ab tumhein namaskar likhta hoon.
22 agar koi prabhu se lagav nahin rakhta to woh shaapit ho. hey hamare prabhu, aa!
23 prabhu yeeshu ki maha-kripa tum par bani rahe.
24 tum sab jo maseeh yeeshu mein ho, tumhein mera pyar.