kurinthiyon ke naam pehali chitthi 2:1-16

  • kurinth mein paulus ka prachar (1-5)

  • parmeshvar ki buddhi shreshth hai (6-10)

  • parmeshvar jaisi soch aur insani soch mein fark (11-16)

2  isliye bhaaiyo, jab main tumhare paas aaya aur mainne parmeshvar ka pavitra rehasya+ sunaya, to lachhedar bhasha ya buddhi ka dikhava nahin kiya.+  kyonki jab main tumhare saath tha to mainne faisla kiya tha ki tumhara dhyan yeeshu maseeh aur uske kaath par latkaye jaane ki baat ko chhod kisi aur baat par na khinchoon.+  main bahot kamzori aur dar se thartharata hua tumhare paas aaya.  jab mainne tumhein prachar kiya to tumhein kaayal karne ke liye gyaan ki badi-badi baatein nahin sikhayin, balki meri baaton ne pavitra shakti ki taakat zahir ki+  taaki tumhara vishvas insanon ki buddhi par nahin balki parmeshvar ki taakat par ho.  ab hum praudh* logon ko buddhi ki baatein batate hain.+ magar is zamane* ki buddhi ke baare mein nahin, na hi is zamane mein raaj karnevalon ki buddhi ke baare mein, jo mitnevale hain+  balki parmeshvar ki buddhi ke baare mein batate hain jo pavitra rehasya+ se zahir hoti hai. hum us chhipi hui buddhi ke baare mein batate hain. parmeshvar ne ise duniya ki vyavasthaon ke shuroo hone se pehale hi thehraya tha taaki hum mahima paayen.  is buddhi ke baare mein is zamane* mein raaj karnevalon mein se koi nahin jaan saka.+ agar woh ise jaante to woh mahimavan prabhu ko maar na daalte.*  magar theek jaisa likha hai, “jo baatein aankhon ne nahin dekhin aur kaanon ne nahin sunin, na hi jinka khayal insan ke dil mein aaya, vahi baatein parmeshvar ne unke liye taiyar ki hain jo usse pyar karte hain.”+ 10  isliye ki parmeshvar ne ye baatein hum par zahir ki hain.+ usne apni pavitra shakti ke zariye hamein bataya hai+ jo sab baaton ki khoj karti hai, yahaan tak ki parmeshvar ki gehri baaton ki bhi.+ 11  insanon mein aisa kaun hai jo jaanta ho ki doosre insan ke dil mein kya hai, siva uske andar ke insan ke? usi tarah parmeshvar ke dil mein kya hai, yah koi nahin jaan sakta, siva uski pavitra shakti ke. 12  hamne duniya ki fitrat nahin paayi balki pavitra shakti paayi hai jo parmeshvar ki taraf se hai+ taaki hum un baaton ko jaan sakein jo parmeshvar ne hum par kripa karke hamein di hain. 13  hum ye baatein doosron ko batate bhi hain magar insani buddhi ke sikhaye shabdon se nahin+ balki pavitra shakti ke sikhaye shabdon se,+ kyonki hum parmeshvar ki baatein parmeshvar ke* shabdon se samjhate hain.* 14  magar insani soch rakhnevala, parmeshvar ki pavitra shakti ki baatein sweekar nahin karta, kyonki ye uski nazar mein moorkhta ki baatein hain. woh in baaton ko jaan nahin sakta, kyonki inhein pavitra shakti ki madad se hi jaancha-parkha jaata hai. 15  parmeshvar ki soch rakhnevala* insan sabkuch jaanch-parakh sakta hai,+ magar koi insan uski jaanch-parakh nahin kar sakta. 16  kyonki “kaun hai jo yahova* ki soch jaan saka hai ki use sikha sake?”+ magar hum maseeh ke jaisi soch rakhte hain.+

kai footnote

ya “sayane aur samajhdar.”
ya “duniya ki vyavastha.” shabdavli dekhein.
ya “duniya ki vyavastha.” shabdavli dekhein.
ya “kaath par maar na daalte.”
ya “parmeshvar ki pavitra shakti ke.”
ya “mel bithate hain.”
ya “pavitra shakti ke maargdarshan mein chalnevala.”
ati. ka5 dekhein.