kurinthiyon ke naam pehali chitthi 6:1-20
6 jab tumhare beech do logon ka jhagda hota hai+ to tum faisle ke liye pavitra janon ke paas jaane ke bajay, adalat mein dushton ke saamne jaane ki jurrat kyon karte ho?
2 kya tum nahin jaante ki pavitra jan poori duniya ka nyay kareinge?+ jab tum duniya ka nyay karnevale ho, to kya tum is kaabil bhi nahin ki chhote-chhote maamlon ka faisla kar sako?
3 kya tum nahin jaante ki hum swargdooton ka nyay kareinge?+ to fir tum is zindagi ke maamlon ka nyay kyon nahin kar sakte?
4 jab tumhein is zindagi ke maamlon ka faisla karna hota hai,+ to tum aise aadmiyon ko apna nyayi kyon chunte ho jinhein mandli neecha dekhti hai?
5 main tumhein sharminda karne ke liye yah kah raha hoon. kya tumhare beech aisa ek bhi buddhiman aadmi nahin jo apne bhaaiyon ka nyay kar sake?
6 iske bajay, ek bhaai doosre bhaai ko adalat le jaata hai aur woh bhi avishvasiyon ke saamne!
7 vaakai, yah tumhari haar hai ki tum ek-doosre par mukadma kar rahe ho. tum khud anyay kyon nahin sah lete?+ jab doosra tumhein dhokha deta hai to tum bardasht kyon nahin kar lete?
8 iske bajay, tum khud anyay karte aur dhokha dete ho aur woh bhi apne bhaaiyon ko!
9 kya tum nahin jaante ki jo log parmeshvar ke nek staron par nahin chalte, woh uske raaj ke vaaris nahin honge?+ dhokhe mein na raho. naajayaz yaun-sambandh* rakhnevale,+ moortipooja karnevale,+ vyabhichari,+ aadmiyon ke saath sambhog ke liye rakhe gaye aadmi,+ aadmiyon ke saath sambhog karnevale aadmi,+
10 chor, laalchi,+ piyakkad,+ gaali-galauj karnevale aur doosron ka dhan ainthnevale parmeshvar ke raaj ke vaaris nahin honge.+
11 tummein se kuch log pehale aise hi kaam karte the. magar tumhein dhokar shuddh kiya gaya,+ pavitra thehraya gaya+ aur hamare prabhu yeeshu maseeh ke naam se aur hamare parmeshvar ki pavitra shakti se nek thehraya gaya hai.+
12 sab baatein mere liye jaayaz to hain,* magar sab baatein faaydemand nahin.+ sab baatein mere liye jaayaz to hain, magar main khud ko kisi bhi cheez ka gulam banne* nahin doonga.
13 khaana pet ke liye hai aur pet khaane ke liye, magar parmeshvar in donon ko mita dega.+ shareer naajayaz sambandhon* ke liye nahin balki prabhu ke liye hai+ aur prabhu shareer ke liye hai.
14 magar parmeshvar ne apni shakti se+ prabhu ko mare huon mein se zinda kiya+ aur woh hamein bhi zinda karega.+
15 kya tum nahin jaante ki tumhare shareer maseeh ke ang hain?+ to kya main maseeh ke angon ko le jaakaar veshya ke angon se jod doon? hargiz nahin!
16 kya tum nahin jaante ki jo veshya se mil jaata hai woh uske saath ek tan ho jaata hai? kyonki parmeshvar kehta hai, “woh donon ek tan honge.”+
17 magar jo prabhu se mil jaata hai, woh uske saath ek man ho jaata hai.+
18 naajayaz yaun-sambandhon* se door bhaago!+ baaki sabhi paap jo insan karta hai woh uske shareer ke baahar hote hain, magar jo naajayaz yaun-sambandhon mein laga rehta hai woh apne hi shareer ke khilaf paap karta hai.+
19 kya tum nahin jaante ki tumhara shareer us pavitra shakti ka mandir hai+ jo tumhare andar rehti hai aur jo parmeshvar ne tumhein di hai?+ aur tumhara khud par adhikar nahin hai.+
20 tumhein badi keemat dekar khareeda gaya hai.+ isliye har haal mein apne shareer se parmeshvar ki mahima karo.+