kurinthiyon ke naam pehali chitthi 8:1-13

  • moortiyon ko chadhaya gaya khaana (1-13)

    • hamare liye ek hi parmeshvar hai (5, 6)

8  ab main moortiyon ko chadhayi gayi khaane ki cheezon+ ke baare mein likh raha hoon. hum jaante hain ki is baare mein hum sabke paas gyaan hai.+ gyaan ghamand se bhar deta hai, magar pyar mazboot karta hai.+  agar koi sochta hai ki uske paas kisi baat ka gyaan hai, to asal mein uske paas utna gyaan nahin jitna hona chahiye.  lekin agar koi parmeshvar se pyar karta hai, to parmeshvar use jaanta hai.  moortiyon ko chadhayi gayi cheezen khaane ke baare mein hum jaante hain ki moorti duniya mein kuch nahin hai+ aur ek ko chhod aur koi parmeshvar nahin hai.+  swarg mein aur dharti par ishvar kehlanevale bahot hain,+ theek jaise bahot-se ishvar aur prabhu hain bhi  magar asal mein hamare liye ek hi parmeshvar hai+ yaani pita,+ jiski taraf se sab cheezen hain aur hum usi ke liye hain.+ ek hi prabhu hai yaani yeeshu maseeh jiske zariye sab cheezen hain+ aur hum bhi uske zariye hain.  fir bhi yah gyaan sab logon ke paas nahin hai.+ kuch log jinka pehale moortiyon se naata tha, aaj bhi khaana khaate vakt yahi sochte hain ki woh jo khaa rahe hain woh moortiyon ke aage bali ki gayi cheez hai.+ unka zameer kamzor hone ki vajah se dooshit ho jaata hai.+  khaana hamein parmeshvar ke kareeb nahin laata.+ agar hum na khaayen, to hamara kuch nuksan nahin hota aur agar hum khaayen to hamein koi faayda nahin hota.+  magar hamesha dhyan rakhna ki tumhare paas apna chunav karne ka jo hak hai uska aise istemal na karo ki tum kamzor logon ke liye vishvas se girne ki vajah bano.+ 10  isliye ki agar koi kamzor aadmi tujh jaise gyaan rakhnevale ko moorti ke mandir mein khaate dekhe, to kya usmein bhi moortiyon ke aage chadhayi gayi cheezen khaane ki himmat nahin aa jaayegi? 11  tere gyaan ki vajah se woh aadmi jo kamzor hai, barbad ho raha hai, haan, tera woh bhaai jiski khaatir maseeh ne apni jaan di thi.+ 12  jab tum log apne bhaaiyon ke khilaf is tarah paap karte ho aur unke kamzor zameer ko chot pahunchate ho,+ to tum maseeh ke khilaf paap kar rahe ho. 13  isliye agar khaana mere bhaai ke liye vishvas se girne ki vajah banta hai, to main fir kabhi maans nahin khaaunga taaki main apne bhaai ke liye vishvas se girne ki vajah na banoon.+

kai footnote