patras ki pehali chitthi 3:1-22

  • patni aur pati (1-7)

  • ek-doosre ka dard mehsoos karo; shaanti ki khoj karo (8-12)

  • neki ki khaatir dukh uthana (13-22)

    • apni aasha ki pairvi karne ke liye taiyar raho (15)

    • baptisma aur saaf zameer (21)

3  usi tarah patniyo, tum apne-apne pati ke adheen raho+ taaki agar kisi ka pati parmeshvar ke vachan ki aagya nahin maanta  to woh apni patni ka pavitra chaalchalan aur gehra aadar dekhkar+ tumhare kuch bole bina hi jeet liya jaaye.+  tumhara sajna-sanvarna oopri na ho, jaise baal goonthana, sone ke gehne ya badhiya poshak pehanna.+  iske bajay, tum apne andar ke insan ko shaant aur komal swabhav se sanvaro. yah aisi sajavat hai jo kabhi purani nahin padti+ aur parmeshvar ki nazron mein anmol hai.  guzre zamane ki pavitra aurtein bhi jo parmeshvar par aasha rakhti thi, isi tarah khud ko sanvarti thi aur apne-apne pati ke adheen raha karti thi.  jaise saara abraham ki aagya maanti aur use prabhu pukarti thi.+ agar tum achhe kaam karti raho aur dar ko khud par haavi na hone do to uski betiyaan thahrogi.+  patiyo, tum bhi usi tarah apni-apni patni ke saath samajhdari se* jeevan bitate raho. aur yah jaante huye ki woh aurat hone ke naate tumse zyada naazuk paatra hai, uske saath aadar se pesh aao+ kyonki tum bhi uske saath maha-kripa se milnevale jeevan ke vaaris ho+ taaki tumhari prarthnaon mein rukavat na aaye.  aakhir mein main kehta hoon, tum sabki soch ek jaisi ho,*+ ek-doosre ka dard mehsoos karo, bhaaiyon jaisa lagav rakho, komal karuna dikhao,+ namra swabhav rakho,+  agar koi tumhein chot pahunchaye to badle mein use chot mat pahunchao+ aur agar koi tumhari beizzati kare to badle mein uski beizzati mat karo.+ iske bajay, uska bhala karo*+ kyonki tum isi raah par chalne ke liye bulaye gaye ho taaki virasat mein aasheesh paa sako. 10  kyonki “jise zindagi se pyar hai aur jo achhe din dekhna chahta hai woh apni jeebh ko burai karne se aur apne honthon ko chhal ki baatein kehne se roke.+ 11  woh burai se door ho jaaye+ aur bhale kaam kare,+ shaanti kaayam karne ki khoj kare aur usmein laga rahe.+ 12  kyonki yahova* ki aankhein nek logon par lagi rehti hain aur uske kaan unki minnatein sunte hain.+ magar yahova* bure kaam karnevalon ke khilaf ho jaata hai.”+ 13  agar tum achhe kaamon ke liye josh dikhao to kaun tumhein nuksan pahunchayega?+ 14  aur agar tum neki ki khaatir dukh bhi uthate ho to sukhi ho.+ un baaton se mat daro jinse log darte hain,* na hi pareshan ho jaao.+ 15  magar maseeh ko prabhu jaankar apne dilon mein pavitra maano aur jo koi tumhari aasha ki vajah jaanne ki maang karta hai, uske saamne apni aasha ki pairvi karne ke liye hamesha taiyar raho, magar aisa komal swabhav+ aur gehre aadar ke saath karo.+ 16  apna zameer saaf banaye rakho+ taaki log chahe kisi bhi baat mein tumhare khilaf bolein, jab woh dekheinge ki maseeh ke chelon ke naate tumhara chaalchalan kitna badhiya hai, to woh sharminda ho jaayenge.+ 17  agar tum bhala kaam karne ki vajah se dukh uthate ho aur parmeshvar ki bhi yahi marzee hai to tumhare liye dukh uthana zyada achha hai,+ bajay iske ki tum bure kaam karke dukh uthao.+ 18  yahaan tak ki maseeh bhi hamare paapon ke liye ek hi baar hamesha ke liye mara.+ woh nek hote huye bhi paapiyon ke liye mara+ taaki tumhein parmeshvar ke paas le jaaye.+ jab use maar daala gaya tab uska insani shareer tha,+ magar jab zinda kiya gaya to use adrishya shareer diya gaya.+ 19  isi dasha mein usne jaakaar kaid mein pade dusht swargdooton ko prachar kiya+ 20  jinhonne nooh ke dinon mein parmeshvar ki aagya ke khilaf kaam kiya tha, jab parmeshvar sabraa se intazar kar raha tha+ aur nooh ka jahaz ban raha tha,+ jis par savaar hokar chand log yaani aath log* paani se bachaye gaye the.+ 21  yah ghatna baptisme ki nishani hai jo aaj tumhein yeeshu maseeh ke zinda hone ke zariye bacha raha hai. (baptisme ka matlab shareer ki gandgi dhona nahin, balki saaf zameer paane ke liye parmeshvar se guzarish karna hai.)+ 22  yeeshu ab swarg laut gaya hai aur parmeshvar ke daayin taraf hai.+ aur swargdoot aur adhikar aur taaktein uske adheen ki gayi hain.+

kai footnote

shaa., “gyaan ke mutabik.” ya “ka lihaz karte huye.”
ya “vicharon mein ekta ho.”
shaa., “use aasheesh do.”
ati. ka5 dekhein.
ati. ka5 dekhein.
ya shaayad, “logon ki dhamkiyon se mat daro.”
shabdavli mein “jeevan” dekhein.