pehala raja 10:1-29
10 sheeba ki raani ne sulaiman ki shohrat ke baare mein suna jo use yahova ke naam ki badaulat haasil hui thi.+ isliye woh sulaiman ke paas aayi taaki behad mushkil aur pecheeda savalon se* use parkhe.+
2 woh ek bahot bada aur shaandar kaarvaan lekar yarooshalem pahunchi.+ woh apne saath balsan ke tel,+ bhaari taadad mein sone aur anmol ratnon se lade unt laayi. jab woh sulaiman ke paas aayi to uske man mein jitne bhi saval the, woh sab usne raja se poochhe.
3 aur sulaiman ne uske sabhi savalon ke javab diye. aisi koi baat nahin thi* jiske baare mein use samjhana raja ke liye mushkil raha ho.
4 jab sheeba ki raani ne sulaiman ki laajavab buddhi,+ uska banaya raajmahal,+
5 mez par laga shaahi khaana,+ uske adhikariyon ke baithne ke liye kiya gaya intazam, khaana parosnevalon ki sevayen aur unki khaas poshak, uske saaki aur woh hom-baliyaan dekhin jinhein woh niyamit taur par yahova ke bhavan mein chadhaya karta tha, to woh aisi dang reh gayi ki uski saans oopar-ki-oopar aur neeche-ki-neeche reh gayi.
6 usne raja se kaha, “mainne apne desh mein teri kaamyabiyon* ke baare mein aur teri buddhi ke baare mein jo charche sune the, woh bilkul sahi the.
7 lekin mainne tab tak yakeen nahin kiya jab tak mainne yahaan aakaar khud apni aankhon se nahin dekha. ab mujhe lagta hai ki mujhe iska aadha bhi nahin bataya gaya tha. teri buddhi aur tera aishvarya usse kahin zyada hai jo mainne tere baare mein suna tha.
8 tere in aadmiyon aur sevkon ko kitna bada samman mila hai ki woh har samay tere saamne rehkar tere munh se buddhi ki baatein sunte hain!+
9 tere parmeshvar yahova ki badai ho,+ jisne tujhse khush hokar tujhe israel ki raajgaddi par bithaya. yahova israel se sada pyar karta hai, iseeliye usne tujhe raja thehraya taaki tu nyay aur neki kare.”
10 iske baad sheeba ki raani ne raja ko 120 tode* sona, bahot saara balsan ka tel+ aur anmol ratna tohfe mein diye.+ usne sulaiman ko jitna balsan ka tel diya tha utna fir kabhi kisi ne nahin diya.
11 heeram ke jahazon ka jo lashkar opeer se sona laaya karta tha,+ vahi lashkar vahaan se anmol ratna aur badi taadad mein laal-chandan ki lakdi bhi laata tha.+
12 raja sulaiman ne laal-chandan ki lakdi se yahova ke bhavan ke liye aur raajmahal ke liye tek banayi, saath hi us lakdi se gaaykon ke liye surmandal aur taaronvale doosre baaje banaye.+ tab se lekar aaj tak itni saari laal-chandan ki lakdi na to kabhi laayi gayi aur na dekhi gayi.
13 raja sulaiman ne bhi udarta se sheeba ki raani ko tohfe mein bahot kuch diya. iske alava, raani ne usse jo kuch maanga woh sab usne diya. iske baad raani apne sevkon ke saath apne desh laut gayi.+
14 sulaiman ko har saal kareeb 666 tode sona milta tha.+
15 iske alava use saudagaron, len-den karnevale vyapariyon aur arab ke sab raajaon aur desh ke raajyapalon se kar bhi milta tha.
16 raja sulaiman ne mishrit sone ki 200 badi-badi dhaalein+ (har dhaal mein 600 shekel* sona laga tha)+
17 aur 300 chhoti-chhoti dhaalein* banayin (har chhoti dhaal mein teen meena* sona laga tha). raja ne ye dhaalein ‘labanon ke van bhavan’+ mein rakhin.
18 raja ne haathi-daant ki ek badi raajgaddi bhi banayi+ aur us par taaya hua sona madha.+
19 raajgaddi tak jaane ke liye chhe seedhiyaan thi aur raajgaddi ke oopar ek chhatra bana tha. raajgaddi ke donon taraf haath rakhne ke liye tek bani thi aur donon taraf tek ke paas ek-ek sher khada hua bana tha.+
20 raajgaddi tak jaanevali chhe seedhiyon mein se har seedhi ke donon taraf bhi ek-ek sher khada hua bana tha yaani kul milakar 12 sher the. aisi raajgaddi kisi aur raajya mein nahin thi.
21 raja sulaiman ke sabhi pyale sone ke the aur ‘labanon ke van bhavan’+ ke saare bartan bhi shuddh sone ke the. ek bhi cheez chaandi ki nahin thi kyonki sulaiman ke dinon mein chaandi ka koi mol nahin tha.+
22 raja ke paas tarsheesh ke jahazon ka ek bada lashkar tha+ jo heeram ke lashkar ke saath safar par jaaya karta tha. har teen saal mein ek baar tarsheesh ke jahazon ka lashkar sona, chaandi, haathi-daant,+ bandar aur mor laata tha.
23 raja sulaiman itna buddhiman tha aur uske paas daulat ka aisa ambaar tha ki duniya ka koi bhi raja uski barbari nahin kar sakta tha.+
24 parmeshvar ne use bahot buddhi di thi+ aur uski buddhi ki baatein sunnae dharti ke kone-kone se log uske paas aaya karte the.*
25 jab bhi koi sulaiman ke paas aata to woh tohfe mein raja ko sone-chaandi ki cheezen, kapde, hathiyar, balsan ka tel, ghode aur khachchar deta tha. aisa saal-dar-saal chalta raha.
26 sulaiman zyada-se-zyada rath aur ghode* ikatthe karta gaya. uske paas 1,400 rath aur 12,000 ghode* jama ho gaye.+ usne inhein rathon ke shehron mein aur yarooshalem mein apne paas rakha tha.+
27 raja ne yarooshalem mein itni taadad mein chaandi ikatthi ki ki woh patthar jitni aam ho gayi thi aur usne devdar ki itni saari lakdi ikatthi kee ki uski taadad shafelah ke goolar pedon jitni ho gayi thi.+
28 sulaiman ke ghode misra se mangaye gaye the. raja ke vyapariyon ka dal thehraye huye daam par ghodon ke jhund-ke-jhund khareedkar laata tha.*+
29 misra se mangaye gaye har rath ki keemat chaandi ke 600 tukde thi aur har ghode ki keemat chaandi ke 150 tukde thi. fir ye vyapari rath aur ghode hittiyon+ ke sabhi raajaon aur seeriya ke sabhi raajaon ko bechte the.
kai footnote
^ ya “paheliyaan poochhkar.”
^ shaa., “aisi koi baat usse chhipi na thi.”
^ ya “baaton.”
^ ye dhaalein aksar teerandaz dhote the.
^ shaa., “uska munh dekhna chahte the.”
^ ya “ghudsavaar.”
^ ya “ghudsavaar.”
^ ya shaayad, “misra aur koye se mangaye gaye the; raja ke vyapari koye se ghode khareedkar laate the.” shaayad koye, kilikiya hai.