pehala raja 7:1-51

  • sulaiman ka mahal; doosri imartein (1-12)

  • kushal kaareegar heeram (13-47)

    • tambe ke do khambhe (15-22)

    • dhaatu ka bada haud (23-26)

    • 10 hath-gaadiyaan; tambe ki haudiyaan (27-39)

  • sone ki cheezen banana poora hua (48-51)

7  sulaiman ne apne liye ek mahal banvaya aur use poora karne mein use 13 saal lage.+  usne ‘labanon ka van bhavan’ banvaya.+ is bhavan ki lambai 100 haath,* chaudai 50 haath aur unchai 30 haath thi. yah bhavan chaar kataaron mein khade kiye devdar ke khambhon par banaya gaya. in khambhon ke oopar devdar ki shahteerein+ lagayi gayin.  khambhon par dharni rakhkar jo bhavan taiyar kiya gaya uske andar devdar ke takhte lagaye gaye. inki ginti kul milakar 45 thi yaani har kataar mein 15.  is bhavan mein teen manzilein thi aur ismein teen kataaron mein chaukhatvali khidkiyaan banayi gayin. ye saari khidkiyaan ek-doosre ke saamne thi.  bhavan ke sabhi darvazon aur unke baazuon ki chaukhatein chaukor thi. teen manzilon mein aamne-saamne bani khidkiyon ki chaukhatein bhi chaukor* thi.  usne ek ‘khambhonvala baramda’ banaya jiski lambai 50 haath aur chaudai 30 haath thi. iske saamne ek aur baramda tha jismein khambhe aur ek chhajja tha.  usne ek raajgaddi bhavan+ bhi banaya jahaan woh nyay karta tha. ise nyay bhavan+ bhi kaha jaata tha. is bhavan ke andar bhi farsh se lekar chhat ki shahteeron tak deevaron par devdar ke takhte lagaye gaye.  usne bhavan ke peechhe doosre aangan+ mein apne liye ek mahal banaya. uski banavat bhi bhavan jaisi thi. sulaiman ne us bhavan ke jaisa ek aur mahal firaun ki beti ke liye banaya jisse usne shaadi ki thi.+  sabhi imartein aise keemti pattharon+ se banayi gayi thi jinhein naap ke mutabik gadha gaya tha aur patthar ke aaron se chaaron taraf se samtal kiya gaya tha. sabhi imarton ki buniyad se lekar deevar ke oopri hisse tak ke patthar, yahaan tak ki mandir ke bade aangan+ ki deevar mein lage patthar isi tarah taiyar kiye gaye the. 10  imarton ki buniyad mein lagaye gaye patthar bahot bade-bade aur keemti the. kuch patthar aath haath lambe the to kuch das haath lambe. 11  in pattharon ke oopar aise keemti patthar lagaye gaye jinhein naap ke mutabik gadha gaya tha. saath hi devdar ki lakdi ka bhi istemal kiya gaya. 12  mandir ke bade aangan ke chaaron taraf jo deevar thi woh gadhe huye pattharon ke teen raddon aur devdar ki shahteeron ki ek kataar se bani thi, theek jaise yahova ke bhavan aur bhavan ke baramde+ ke bheetri aangan+ ke chaaron taraf ki deevar bani thi. 13  raja sulaiman ne apne aadmiyon ko sor bhejkar heeram+ ko bulvaya. 14  heeram ki maa naptali gotra se thi aur ek vidhva thi. heeram ka pita sor ka rehnevala tha aur tambe ka kaam karta tha.+ heeram ko tambe* ke har tarah ke kaam ki achhi samajh thi aur kaafi tajurba tha.+ use is kaam mein maharat haasil thi. isliye woh raja sulaiman ke paas aaya aur uska saara kaam kiya. 15  usne tambe ke do khambhe dhaalkar banaye.+ har khambhe ki unchai 18 haath aur golai 12 haath thi.*+ 16  usne donon khambhon ke oopar lagane ke liye tambe ke do kangoore dhaalkar banaye. donon kangooron ki unchai paanch-paanch haath thi. 17  har kangoore par jaaleedar kaam kiya gaya aur us par gunthi hui zanjeerein sajayi gayin. donon kangooron ke liye saat-saat jaaliyaan banayi gayi thi.+ 18  usne har kangoore ke jaaleedar kaam par do kataaron mein anar banaye aur is tarah kangoore ko sajaya. 19  baramde ke paasvale khambhon ke kangooron ka aakaar sosan ke fool jaisa tha jinki unchai chaar haath thi. 20  kangooron ke ye hisse donon khambhon ke oopar the aur unka nichla hissa ubhra hua tha jis par jaaleedar kaam kiya hua tha. aur har kangoore par chaaron taraf kataaron mein jo anar banaye gaye the unki ginti 200 thi.+ 21  usne mandir* ke baramde ke baahar ye khambhe khade kiye.+ usne ek khambha daayin* taraf khada kiya aur use yaakeen* naam diya aur doosra khambha baayin* taraf khada kiya aur use boaz* naam diya.+ 22  khambhon ke oopar ka aakaar sosan ke fool jaisa tha. is tarah usne khambhon ka kaam poora kiya. 23  iske baad usne tambe ka bada haud dhaalkar banaya jise ‘saagar’ kaha jaata tha.+ yah golakar tha aur iske munh ki chaudai 10 haath thi aur munh ke poore ghere ki lambai 30 haath thi.* haud ki unchai 5 haath thi.+ 24  haud ke munh ke neeche, chaaron taraf do kataaron mein kharboojon ki banavat thi.+ ek-ek haath ki jagah mein das-das kharbooje bane the. kharboojon ko haud ke saath hi dhaala gaya tha. 25  yah haud tambe ke 12 bailon par rakha gaya tha,+ 3 bail uttar ki taraf munh kiye huye the, 3 pashchim ki taraf, 3 dakshin ki taraf aur 3 poorab ki taraf. sabhi bailon ka pichhla bhaag andar ki taraf tha. in bailon par haud tikaya gaya tha. 26  haud ki deevar ki motai chaar angul* thi. uske munh ki banavat pyale ke munh jaisi thi aur yah dikhne mein khile huye sosan ke fool jaisa tha. is haud mein 2,000 bat* paani bhara jaata tha. 27  fir usne tambe ki das hath-gaadiyaan* banayin.+ har gaadi ki lambai chaar haath, chaudai chaar haath aur unchai teen haath thi. 28  hath-gaadiyon ki banavat is tarah thi: inki deevarein pattiyon se bani thi aur ye pattiyaan chaukhaton ke beech thi. 29  chaukhaton ke beech pattiyon par sher,+ bail aur karoob+ bane huye the. chaukhaton par bhi yahi banavat thi. sheron aur bailon ke oopar aur neeche latakti hui fool-maalaon jaisi banavat thi. 30  har gaadi mein tambe ke chaar pahiye aur tambe ki dhuriyaan thi. gaadi ke chaaron konon par chaar paaye the jinmein dhuriyaan aur pahiye lage the. haudi ke neeche tek thi jin par fool-maalaon jaisi banavat thi. yah banavat tek ke saath dhaali gayi thi. 31  haudi ka muhana gaadi ke oopri sire ke andar tha aur oopar ki taraf ek haath utha hua tha. gaadi ka muhana gol tha aur tek ke saath milkar dedh haath uncha tha. is muhane par nakkashiyaan thi. unke chaaron taraf ki pattiyaan gol nahin chaukor thi. 32  gaadi ki patteedar deevaron ke neeche chaar pahiye lage the aur pahiyon ko apni jagah par banaye rakhne ke liye dhuriyon mein keelein lagi thi. har pahiye ki unchai dedh haath thi. 33  gaadi ke pahiye rath ke pahiye jaise the. pahiyon ki keelein, unke ghere, teeliyaan aur pahiyon ki naabhiyaan dhaalkar banayi gayi thi. 34  har gaadi ke chaaron konon par chaar paaye the jo gaadi ke saath hi dhaalkar banaye gaye the.* 35  gaadi ke oopri sire mein ek golakar patti thi jiski unchai aadha haath thi. gaadi ke sire par chaukhatein aur pattiyaan gaadi ke saath hi dhaali gayi thi.* 36  in chaukhaton aur pattiyon par jagah ke hisab se karoob, sher, khajoor ke ped aur chaaron taraf fool-maalaon jaisi banavat thi.+ 37  usne dason hath-gaadiyaan isi tareeke se banayin,+ woh sabhi ek hi namoone par dhaali gayi thi.+ saari gaadiyaan ek hi naap aur ek hi aakaar ki thi. 38  usne tambe ki das haudiyaan banayin.+ har haudi mein 40 bat paani bhara jaa sakta tha. har haudi ka maap chaar haath tha.* das hath-gaadiyon mein se har gaadi ke liye ek haudi thi. 39  usne paanch hath-gaadiyaan bhavan ke daayin taraf khadi kin aur paanch baayin taraf. usne paani ke bade haud yaani ‘saagar’ ko bhavan ke daayin taraf dakshin-poorva mein rakha.+ 40  heeram+ ne bade-bade bartan, belche+ aur katore+ bhi banaye. is tarah usne yahova ke bhavan ke liye woh saara kaam poora kiya jo raja sulaiman ne use diya tha.+ usne yah sab banaya: 41  do khambhe+ aur unke oopar do katoranuma kangoore, kangooron ki sajavat ke liye do-do jaaleedar kaam,+ 42  donon jaaleedar kaam ke liye 400 anar,+ yaani har jaaleedar kaam ke liye do kataaron mein anar jisse donon khambhon par katoranuma kangoore dhak jaayen, 43  das haudiyaan+ aur unhein dhone ke liye das hath-gaadiyaan,+ 44  paani ka bada haud+ aur uske neeche 12 bail, 45  handiyaan, belche, katore aur baaki saari cheezen. heeram ne raja sulaiman ke kahe mutabik yahova ke bhavan ke liye yah sab jhalkaye huye tambe se taiyar kiya. 46  raja ne ye saari cheezen yardan zile mein sukkot aur saartan ke beech mitti ke saanche mein dhalvakar banvayin. 47  sulaiman ne inmein se kisi bhi cheez ka vazan nahin karvaya kyonki inki taadad bahot zyada thi. isliye yah maaloom na ho saka ki kitna  taamba istemal hua tha.+ 48  sulaiman ne yahova ke bhavan ke liye ye saari cheezen banvayin: sone ki vedi,+ nazrane ki roti rakhne ke liye sone ki mez,+ 49  shuddh sone ki deevtein,+ paanch bheetri kamre ke saamne daayin taraf ke liye aur paanch baayin taraf ke liye, deevton par sone ki pankhudiyaan,+ sone ke deeye, sone ke chimte,+ 50  shuddh sone ke bade-bade katore, baati bujhane ke liye kainchiyaan,+ katoriyaan, pyale+ aur aag uthane ke karchhe,+ bheetri kamre yaani param-pavitra bhaag ke darvazon+ ki choolon ke khaane aur mandir yaani pavitra bhaag ke darvazon+ ki choolon ke khaane. usne ye saari cheezen sone ki banvayin. 51  is tarah raja sulaiman ne yahova ke bhavan ke liye woh saara kaam poora kiya jo use karna tha. iske baad sulaiman woh saari cheezen bhavan mein le aaya jo uske pita daavid ne pavitra thehrayi thi.+ usne sona, chaandi aur baaki saari cheezen yahova ke bhavan ke khazanon mein rakh di.+

kai footnote

ek haath 44.5 c.m. (17.5 inch) ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.
ya “aaytakar.”
ya “kaanse.” is adhyay ke aage ki aayton mein bhi jahaan “ taamba” aata hai, woh “kaansa” ho sakta hai.
ya “uski golai naapne ke liye 12 haath lambee naapne ki dori lagti thi.”
yahaan pavitra bhaag ki baat ki gayi hai.
ya “dakshin ki.”
matlab “woh [yaani yahova] mazbooti se kaayam kare.”
ya “uttar ki.”
shaayad iska matlab hai, “taakat ke saath.”
ya “uski golai naapne ke liye 30 haath lambee naapne ki dori lagti thi.”
ek bat 22 li. ke barbar tha. ati. kh14 dekhein.
kareeb 7.4 c.m. (2.9 inch). ati. kh14 dekhein.
ya “paani ke thele.”
ya “ek hi tukde ke bane the.”
ya “ek hi tukde ki bani thi.”
ya “chaudai chaar haath thi.”