pehala shamooel 11:1-15

  • shaaool ne ammoniyon ko haraya (1-11)

  • dobara ailan hua, shaaool raja hai (12-15)

11  fir ammoni+ naahash, gilad mein yaabesh+ par chadhai karne aaya aur usne chhaavni daali. yaabesh ke sabhi aadmiyon ne naahash se kaha, “tu hamare saath ek karar* kar aur hum teri seva kareinge.”  ammoni naahash ne unse kaha, “main ek shart par tum logon ke saath karar karoonga. woh yah ki tum sabki daayin aankh nikaal di jaayegi. main poore israel ko neecha dikhane ke liye aisa karoonga.”  yaabesh ke pradhanon ne usse kaha, “hamein saat din ka vakt de taaki hum poore israel desh mein apne doot bhejein. agar hamein koi bachanevala nahin mila to hum khud ko tere havale kar deinge.”  kuch samay baad yaabesh ke doot giba+ pahunche jahaan shaaool rehta tha aur vahaan ke logon ko yah baat batayi. tab sabhi log chilla-chillakar rone lage.  shaaool bailon ke peechhe-peechhe khet se aa raha tha. usne poochha, “logon ko kya ho gaya hai? woh sab kyon ro rahe hain?” tab unhonne shaaool ko yaabesh ke aadmiyon ka sandesh sunaya.  jab shaaool ne yah sab suna to parmeshvar ki pavitra shakti us par kaam karne lagi+ aur woh gusse se tamtama utha.  usne ek jodi bail liye aur unke tukde-tukde kar daale. usne woh tukde un dooton ke haath poore israel mein bheje aur unse yah kehalvaya, “jo koi shaaool aur shamooel ki baat nahin maanega, uske bailon ka yahi haal kiya jaayega.” tab logon mein yahova ka dar sama gaya, isliye woh sab ekjut hokar shaaool ke paas aaye.  shaaool ne bejek mein unki ginti li. usne paaya ki unmein 3,00,000 israeli aadmi hain aur 30,000 yahooda ke aadmi hain.  shaaool aur uski sena ne yaabesh se aaye dooton se kaha, “tum gilad mein yaabesh ke aadmiyon se kehna ki kal kareeb dopahar tak un sabko dushmanon se bacha liya jaayega.” un dooton ne jaakaar yah sandesh yaabesh ke aadmiyon ko sunaya aur woh khushi se foole na samaye. 10  fir yaabesh ke aadmiyon ne ammoni logon se kaha, “kal hum khud ko tumhare havale kar deinge, fir tumhein jo sahi lage woh hamare saath kar lena.”+ 11  agle din, shaaool ne sainikon ko teen dalon mein baanta aur woh subah ke pehr* mein ammoniyon ki chhaavni+ mein ghus gaye aur unhein dopahar tak ghaat karte rahe. jo log bach gaye the, woh sab titar-bitar ho gaye aur unmein se har kisi ko akele bhaagna pada. 12  tab israeliyon ne shamooel se kaha, “kaun keh raha tha ki shaaool hum par kya raaj karega.+ unhein hamare havale kar de, hum unhein maut ke ghaat utar deinge.” 13  magar shaaool ne kaha, “nahin, aaj ke din kisi ki jaan na li jaaye+ kyonki aaj yahova ne israel ko dushmanon se bachaya hai.” 14  baad mein shamooel ne logon se kaha, “aao hum gilgal+ chalein aur ek baar fir ailan karein ki shaaool raja hai.”+ 15  tab sab log gilgal gaye aur vahaan unhonne yahova ke saamne shaaool ko raja banaya. fir unhonne yahova ke saamne shaanti-baliyaan chadhayin+ aur shaaool aur israel ke sabhi aadmiyon ne khushi se jashna manaya.+

kai footnote

ya “samjhauta.”
yaani subah kareeb 2 baje se 6 baje tak.