pehala shamooel 12:1-25

  • shamooel ka vidai bhaashaan (1-25)

    • “khokhli baaton ke peechhe mat bhaago” (21)

    • yahova apne logon ko nahin chhodega (22)

12  aakhir mein shamooel ne poore israel se kaha, “dekho, mainne tum logon ki maang poori ki hai* aur tum par raaj karne ke liye ek raja thehraya hai.+  yahi tumhara raja hai jo tumhari aguvai karta hai.*+ jahaan tak meri baat hai, main to boodha ho chuka hoon, mere baal pak gaye hain aur mere bete tumhare beech hain+ aur main bachpan se lekar aaj tak tum logon ki aguvai karta aaya hoon.+  dekho, main tumhare saamne khada hoon, agar kisi ko mujhse koi shikayat ho to woh yahova aur uske abhishikt jan ke saamne bataye.+ kya mainne kabhi kisi ka bail ya gadha liya hai?+ kya mainne kabhi kisi ko dhokha diya ya kisi ko kuchla hai? kya mainne kisi ke saath anyay karne ke liye rishvat li hai?+ agar mainne aisa kuch kiya hai to batao, main tumhari bharpai kar doonga.”+  javab mein unhonne kaha, “nahin, toone na to kabhi hamare saath dhokhadhadi ki, na hamein kuchla aur na hi kisi ke haath se kuch liya.”  tab shamooel ne unse kaha, “aaj yahova aur uska abhishikt jan is baat ke gavah hain ki tum logon ne mujhmein koi dosh nahin paaya hai.” unhonne kaha, “haan, woh is baat ka gavah hai.”  tab shamooel ne logon se kaha, “beshak yahova is baat ka gavah hai, jisne moosa aur haaroon ko apni seva ke liye thehraya tha aur jo tumhare purkhon ko misra se nikaal laaya tha.+  ab tum sab aage aao. yahova ne tumhare liye aur tumhare purkhon ke liye jitne nek kaam kiye the, un sabko dekhte huye main yahova ke saamne tumhara nyay karoonga.  jab yakub misra gaya+ aur tumhare purkhon ne madad ke liye yahova ko pukara,+ to yahova ne bina der kiye moosa aur haaroon ko bheja+ taaki woh tumhare purkhon ko misra se nikaal laayen aur unhein is desh mein basayen.+  magar tumhare purkhe apne parmeshvar yahova ko bhool gaye aur usne unhein haasor ke senapati seesra,+ palishtiyon+ aur moab ke raja+ ke haathon bech diya.+ ye dushman unke saath ladte the. 10  isliye woh yah kehkar yahova ko madad ke liye pukarte the,+ ‘hamne yahova ko chhodkar baal devtaon+ aur ashtoret ki moorton+ ki pooja karke paap kiya hai.+ ab hey parmeshvar, hamein dushmanon se bacha le taaki hum teri seva karein.’ 11  tab yahova ne yarubbal,+ badan, yiptah+ aur shamooel+ ko bheja aur tum logon ko aas-paas ke sabhi dushmanon se bachaya taaki tum mehfooz base raho.+ 12  jab tumne dekha ki ammoniyon ka raja naahash+ tum par chadhai karne aaya hai, to tum mujhse kehte rahe, ‘hamein har haal mein ek raja chahiye!’+ iske baavjood ki tumhara parmeshvar yahova tumhara raja hai.+ 13  tumne raja ki maang ki hai na? ye raha tumhara raja jise tumne chuna hai. dekho, yahova ne ise tum par raja thehraya hai.+ 14  agar tum yahova ka dar maanoge,+ uski seva karoge,+ uski aagya maanoge+ aur yahova ke aadesh ke khilaf bagavat nahin karoge aur tumhara raja aur tum apne parmeshvar yahova ke peechhe chalte rahoge, to tum sabka bhala hoga. 15  lekin agar tum yahova ki aagya nahin maanoge aur yahova ke aadesh ke khilaf bagavat karoge to yahova tumhein aur tumhare pitaon ko saza dega.+ 16  ab tum sab aage aao aur dekho ki yahova tumhari aankhon ke saamne kaisa ajooba karta hai. 17  yah gehoon ki katai ka mausam hai, magar main yahova se binti karoonga ki woh baadal garjaye aur baarish karaye. tab tumhein ehsas ho jaayega aur tum samajh jaaoge ki tumne apne liye raja ki maang karke yahova ki nazar mein kaisa dusht kaam kiya hai.”+ 18  iske baad, shamooel ne yahova ko pukara aur yahova ne us din baadal garjaye aur baarish karayi. yah dekhkar sab log yahova aur shamooel se bahot darne lage. 19  unhonne shamooel se kaha, “apne sevkon ki taraf se apne parmeshvar yahova se prarthna kar+ taaki hum mar na jaayen. hamne apne liye raja ki maang karke vaakai dusht kaam kiya hai, apne paap aur bhi badha liye hain.” 20  tab shamooel ne logon se kaha, “daro mat. yah sach hai ki tum logon ne yah dusht kaam kiya hai, magar ab tum yahova ke peechhe chalna mat chhodo+ aur poore dil se yahova ki seva karo.+ 21  tum un khokhli baaton ke peechhe mat bhaago*+ jinse koi faayda nahin+ aur jo tumhein bacha nahin saktin kyonki woh khokhli baatein hain.* 22  yahova apne mahan naam ki khaatir+ kabhi apne logon ko nahin chhodega,+ kyonki yahova ne apni marzee se tumhein apne log chuna hai.+ 23  aur main bhi tum logon ki khaatir prarthna karna kabhi nahin chhodoonga. main aisa karne ki kabhi soch bhi nahin sakta kyonki yah yahova ke khilaf paap hoga. main aage bhi tum logon ko bhale aur sahi raaste par chalne ki hidayat deta rahoonga. 24  bas tum yahova ka dar maano+ aur poore dil se vishvasyogya rehkar* uski seva karte raho kyonki dekho, usne tumhare liye kaise bade-bade kaam kiye hain.+ 25  lekin agar tum dheeth hokar bure kaam karte rahoge, to tumhara aur tumhare raja ka safaya kar diya jaayega.”+

kai footnote

shaa., “tumne mujhse jo kuch kaha mainne maana hai.”
shaa., “jo tumhare aage-aage chalta hai.”
ya “un baaton ke peechhe mat bhaago jo hakeekat nahin hain aur.”
ya “woh hakeekat nahin hain.”
ya “sachchai se.”