pehala shamooel 15:1-35

  • shaaool ne agag ko chhod diya (1-9)

  • shamooel ne use fatkaara (10-23)

    • “aagya maanna balidan chadhane se kahin badhkar hai” (22)

  • shaaool ko thukraya gaya (24-29)

  • shamooel ne agag ko maar daala (30-35)

15  fir shamooel ne shaaool se kaha, “yahova ne mujhe tere paas bheja tha ki main tera abhishek karke tujhe uski praja israel par raja thehraun.+ ab yahova ka sandesh sun.+  senaon ka parmeshvar yahova kehta hai, ‘main amalekiyon se unke kaamon ka hisab loonga kyonki jab israeli misra se nikaalkar aa rahe the tab amalekiyon ne raaste mein unka virodh kiya tha.+  isliye ab tu jaa aur amalekiyon ko naash kar de.+ unhein aur unka jo kuch hai, sab poori tarah mita de.+ tu unhein zinda mat chhodna,* chahe aadmi hon ya aurat, bade bachche hon ya doodh-peete bachche, bail hon ya bhedein, unt hon ya gadhe, sabko maar daalna.’”+  shaaool ne apne aadmiyon ko bulaya aur talaim mein unki ginti li. unmein yahooda gotra se 10,000 aadmi the aur baaki gotron se 2,00,000 paidal sainik.+  shaaool apni sena ko lekar badhta hua amalekiyon ke shehar tak pahunch gaya aur usne kuch sainikon ko ghaati ke paas ghaat mein bithaya.  fir shaaool ne keni logon+ se kaha, “tum amalekiyon ke ilake se nikaal jaao. kahin aisa na ho ki main unke saath-saath tumhara bhi safaya kar doon.+ jab israeli misra se nikaalkar aa rahe the tab tumne un sab par kripa* ki thi,+ isliye main tumhein naash nahin karoonga.” isliye keni log amalekiyon ka ilaka chhodkar chale gaye.  iske baad shaaool ne amalekiyon par hamla kiya+ aur woh unhein haveela+ se lekar shoor+ tak ghaat karta gaya jo misra ke paas hai.  usne amalekiyon ke raja agag+ ko zinda pakad liya, magar baaki sab logon ko talvar se maarkar mita diya.+  shaaool aur uske logon ne agag ko bakhsh diya* aur amalekiyon ki sabse achhi aur moti-taazee bhed-bakriyon, medhon aur gaay-bailon ko bhi chhod diya. unhonne woh sabkuch chhod diya jo achha tha.+ woh unka naash nahin karna chahte the. magar amalekiyon ka jo kuch bekar tha aur kisi kaam ka nahin tha, use unhonne naash kar diya. 10  fir yahova ka yah sandesh shamooel ke paas pahuncha, 11  “mujhe dukh* hai ki mainne shaaool ko raja banaya. shaaool ne mere peechhe chalna chhod diya hai. mainne use jo karne ke liye kaha tha usne woh nahin kiya.”+ shamooel bahot nirash ho gaya aur saari raat yahova ki duhai deta raha.+ 12  agle din shamooel jab subah tadke utha taaki jaakaar shaaool se mile, to use bataya gaya, “shaaool karmel+ gaya tha aur vahaan usne apne samman mein ek shaandar khambha khada karvaya.+ iske baad woh vahaan se gilgal chala gaya.” 13  aakhirkar jab shamooel shaaool ke paas aaya to shaaool ne usse kaha, “yahova tujhe aasheesh de. yahova ne mujhse jo kaha tha, woh mainne kar diya.” 14  magar shamooel ne usse kaha, “achha? to fir yah bhed-bakriyon ke mimiyane aur gaay-bailon ke rambhane ki aavaz kahaan se aa rahi hai?”+ 15  shaaool ne kaha, “woh sab jaanvar amalekiyon ke yahaan se laaye gaye hain. jab sainikon ne achhi-achhi bhed-bakriyaan aur gaay-bail dekhe, to unhein chhod diya* taaki woh tere parmeshvar yahova ke liye bali chadhayen. magar baaki sabko hamne naash kar diya.” 16  tab shamooel ne shaaool se kaha, “bas, bahot ho chuka! main tujhe batata hoon ki kal raat yahova ne mujhse kya kaha.”+ shaaool ne kaha, “theek hai, bata!” 17  shamooel ne kaha, “jab tujhe israel ke gotron par aguva thehraya gaya tha aur yahova ne tera abhishek karke tujhe israel ka raja banaya tha,+ tab tu khud ko kitna chhota samajhta tha!+ 18  magar ab jab yahova ne tujhe yah kaam saunpa ki tu jaakaar un paapi amalekiyon ko naash kar de+ aur unse tab tak ladta reh jab tak tu unka poori tarah safaya nahin kar deta,+ 19  to toone kyon yahova ki aagya nahin maani? tu laalach mein aakaar unki loot par toot pada+ aur toone woh kaam kiya jo yahova ki nazar mein bura hai!” 20  shaaool ne shamooel se kaha, “magar mainne to yahova ki aagya maani hai! yahova ne mujhe jo kaam saunpa tha, use karne ke liye main gaya tha. mainne amalekiyon ko naash kar diya hai aur main unke raja agag ko pakad laaya hoon.+ 21  magar log un jaanvaron mein se, jinhein naash karna tha, achhi-achhi bhedon aur gaay-bailon ko le aaye taaki gilgal mein tere parmeshvar yahova ke liye inki bali chadha sakein.”+ 22  tab shamooel ne kaha, “kya yahova ko hom-baliyon aur balidanon se utni khushi milti hai+ jitni uski baat maanne se? dekh, yahova ki aagya maanna balidan chadhane se kahin badhkar hai+ aur uski baat par dhyan dena medhon ki charbi+ arpit karne se kai guna behtar hai 23  kyonki parmeshvar se bagavat+ karna utna hi bada paap hai jitna ki jyotishi ka kaam karna hai+ aur apni had paar karke gustakhi karna, jaadoo-tona aur moortipooja* ke barbar hai. toone yahova ki aagya thukra di hai,+ isliye usne bhi tujhe thukra diya hai ki tu raja na rahe.”+ 24  tab shaaool ne shamooel se kaha, “mainne paap kiya hai. mainne yahova ke aadesh ke khilaf kaam kiya aur teri hidaytein nahin maanin, kyonki main logon se dar gaya tha aur mainne unki baat maan li. 25  ab tu daya karke mera paap maaf kar de aur mere saath chal taaki main yahova ko dandvat karoon.”+ 26  magar shamooel ne shaaool se kaha, “main tere saath nahin aaunga, kyonki toone yahova ki aagya thukra di hai aur yahova ne bhi tujhe thukra diya hai aur tu israel par aage raja nahin rahega.”+ 27  jaise hi shamooel mudkar jaane laga, shaaool ne uske bin aasteen ke baage ka chhor pakad liya aur baage ka chhor fatkaar alag ho gaya. 28  tab shamooel ne usse kaha, “isi tarah aaj yahova ne israel ka raaj tujhse chheenkar alag kar diya hai. woh ise tere kisi sangi ko de dega jo tujhse zyada achha hai.+ 29  israel ke mahapratapi+ ki baat kabhi jhoothi saabit nahin hogi+ aur usne jo socha hai use kabhi nahin badlega,* kyonki woh koi adna insan nahin ki apni soch badle.”*+ 30  tab shaaool ne kaha, “mainne paap kiya hai. magar meharbani karke mere logon ke pradhanon ke saamne aur israel ke saamne mera samman kar. mere saath laut taaki main tere parmeshvar yahova ko dandvat karoon.”+ 31  tab shamooel shaaool ke saath lauta aur shaaool ne yahova ko dandvat kiya. 32  shamooel ne kaha, “amalekiyon ke raja agag ko mere paas laao.” tab agag darte-jhijhakte* shamooel ke paas gaya, magar fir usne man mein socha, ‘ab to zaroor mujh par se maut ka khatra tal gaya hoga.’ 33  magar shamooel ne usse kaha, “jaise toone apni talvar se bachchon ko maarkar unki maaon ko beaulad kar diya, usi tarah tujhe bhi maar daala jaayega taaki teri maa bhi beaulad ho jaaye.” yah kehne ke baad shamooel ne gilgal mein yahova ke saamne agag ke tukde-tukde kar diye.+ 34  fir shamooel raamah chala gaya aur shaaool giba mein apne ghar laut gaya. 35  iske baad shamooel ne jeete-ji kabhi shaaool ka munh nahin dekha. woh shaaool ki vajah se shok manata raha.+ yahova ko bhi dukh hua ki usne shaaool ko israel ka raja banaya tha.+

kai footnote

ya “un par taras mat khaana.”
ya “atal pyar.”
ya “par taras khaaya.”
ya “pachhtava.”
ya “un par taras khaaya.”
yaani kul devta; moortein.
ya “woh nahin pachhtayega.”
ya “jo pachhtaye.”
ya shaayad, “nidar hokar.”