pehala shamooel 16:1-23

  • daavid ko agla raja thehraya gaya (1-13)

    • “yahova dil dekhta hai” (7)

  • shaaool par pavitra shakti ne kaam karna chhod diya (14-17)

  • daavid, shaaool ke liye surmandal bajata tha (18-23)

16  kuch samay beetne par yahova ne shamooel se kaha, “tu kab tak shaaool ke liye shok manata rahega?+ mainne use thukra diya hai. woh aage israel ka raja nahin rahega.+ tu sing mein tel+ bharkar betlehem ke rehnevale yishai+ ke ghar jaa kyonki mainne uske beton mein se ek ko raja chuna hai.”+  magar shamooel ne kaha, “main vahaan kaise jaa sakta hoon? agar shaaool ko pata chal gaya to woh mujhe jaan se maar daalega.”+ yahova ne usse kaha, “tu apne saath ek gaay lekar jaana aur kehna, ‘main yahova ke liye balidan chadhane aaya hoon.’  tu yishai ko balidan ke mauke par aane ke liye kehna. tab main tujhe bataunga ki tujhe kya karna hai. main tujhe dikhaunga ki mainne kise chuna hai, tu meri taraf se uska abhishek karna.”+  shamooel ne theek vaisa hi kiya jaisa yahova ne use bataya tha. jab woh betlehem+ gaya to vahaan ke pradhan darte-kaanpte usse milne aaye. unhonne usse poochha, “tu shaanti ke irade se hi aaya hai na?”  usne kaha, “haan, main shaanti ke irade se hi aaya hoon. main yahova ke liye balidan chadhane aaya hoon. tum sab khud ko pavitra karo aur mere saath balidan chadhane aao.” fir usne yishai aur uske beton ko pavitra kiya aur unhein balidan chadhane ke liye aane ko kaha.  jab woh vahaan aaye to shamooel ki nazar eleeab+ par padi aur usne man mein socha, “zaroor yahi yahova ka abhishikt jan hoga.”  magar yahova ne shamooel se kaha, “uske rang-roop ya uske unche kad par mat jaa+ kyonki mainne use thukra diya hai. parmeshvar ka dekhna insan ke dekhne jaisa nahin hai. insan sirf baahri roop dekhta hai, magar yahova dil dekhta hai.”+  fir yishai ne abeenadab+ ko bulaya aur use shamooel ke saamne khada kiya. magar shamooel ne kaha, “yahova ne ise bhi nahin chuna hai.”  tab yishai ne shammah+ ko shamooel ke saamne khada kiya, magar shamooel ne kaha, “yahova ne ise bhi nahin chuna hai.” 10  is tarah yishai apne saat beton ko shamooel ke saamne laaya magar shamooel ne usse kaha, “yahova ne inmein se kisi ko bhi nahin chuna hai.” 11  aakhir mein shamooel ne yishai se poochha, “kya tere itne hi bete hain?” usne kaha, “nahin, ek aur ladka hai, sabse chhota.+ woh bhed charane gaya hai.”+ shamooel ne yishai se kaha, “use bhi bulva kyonki jab tak woh nahin aata hum bhoj ke liye nahin baitheinge.” 12  tab yishai ne apne sabse chhote bete ko bulvaya aur use andar laaya. woh ladka bahot sundar tha, uska rang gulabee tha aur aankhein khoobsoorat thi.+ yahova ne shamooel se kaha, “uth, iska abhishek kar, mainne isi ko chuna hai!”+ 13  tab shamooel ne tel-bhara sing+ lekar us ladke ke bhaaiyon ke saamne uska abhishek kiya. us din se yahova ki pavitra shakti daavid par kaam karne lagi.+ baad mein shamooel utha aur raamah+ laut gaya. 14  magar shaaool par yahova ki pavitra shakti ne kaam karna chhod diya tha.+ yahova ne shaaool ki buri fitrat ko us par haavi hone diya jis vajah se woh hamesha khauf mein rehta tha.+ 15  shaaool ke sevkon ne usse kaha, “dekh, parmeshvar ne tujh par buri fitrat haavi hone di hai jis vajah se tu hamesha khauf mein rehta hai. 16  isliye maalik, apne sevkon ko hukm de ki hum tere liye ek aisa aadmi dhoondh laayen jo surmandal bajane mein hunarmand ho.+ jab bhi parmeshvar tujh par buri fitrat haavi hone de, to woh aadmi tere liye surmandal bajayega aur tere man ko sukoon milega.” 17  tab shaaool ne apne sevkon se kaha, “theek hai, tum aisa hi karo. jaao mere liye koi aisa aadmi dhoondho jo saaz bajane mein hunarmand ho. use mere paas laao.” 18  uske ek sevak ne kaha, “main ek ladke ko jaanta hoon jo bahot badhiya saaz bajata hai. woh betlehem ke rehnevale yishai ka beta hai. woh ladka bada himmatvala hai, jaabaanz sainik hai.+ woh bolne mein maahir hai aur dikhne mein sundar-sajeela hai+ aur yahova uske saath hai.”+ 19  tab shaaool ne apne dooton ke haath yishai ke paas yah sandesh bheja: “tu apne bete daavid ko, jo bhedein charata hai, mere paas bhej.”+ 20  tab yishai ne ek gadhe par rotiyaan aur daakh-madira ki ek mashak laadi aur ek bakri ka bachcha liya aur yah sab apne bete daavid ke saath shaaool ke paas bheja. 21  is tarah daavid, shaaool ke paas aaya aur uski seva karne laga.+ shaaool ko daavid se bahot lagav ho gaya aur daavid uska hathiyar dhonevala sevak ban gaya. 22  shaaool ne yishai ke paas yah sandesh bheja: “meharbani karke daavid ko mere paas hi rehne de taaki woh meri seva kare. main usse bahot khush hoon.” 23  jab bhi parmeshvar shaaool par buri fitrat haavi hone deta to daavid surmandal bajata. use sunkar shaaool ke man ko sukoon milta aur woh achha mehsoos karta aur uski buri fitrat door ho jaati.+

kai footnote