pehala shamooel 22:1-23

  • daavid adullam aur mispe mein (1-5)

  • nob ke yaajkon ka katla (6-19)

  • abiyatar bhaag nikala (20-23)

22  fir daavid vahaan se chala gaya+ aur adullam ki gufa mein jaa chhipa.+ jab yah baat uske bhaaiyon aur uske pita ke poore gharane ko pata chali to woh sab uske paas aaye.  iske alava, jitne log museebat ke maare the, jo karz mein doobe the aur apne jeevan se dukhi the, woh sab daavid ke paas ikattha huye aur woh unka mukhiya ban gaya. daavid ke saath kareeb 400 aadmi ho gaye.  baad mein daavid woh gufa chhodkar moab ke mispe chala gaya aur usne moab ke raja+ se guzarish ki, “mere maata-pita ko apne yahaan tab tak thaharne ki ijazat de jab tak ki mujhe pata nahin chalta ki parmeshvar mere liye kya karega.”  tab daavid ne apne maata-pita ko moab ke raja ke yahaan thehra diya. woh tab tak vahin ruke rahe jab tak daavid us mehfooz jagah mein chhipa raha.+  kuch samay baad bhavishyavakta gaad+ ne daavid se kaha, “tu us jagah se nikaal jaa aur yahooda ke ilake mein chala jaa.”+ isliye daavid woh jagah chhodkar heret ke jangal mein chala gaya.  shaaool ko khabar mili ki daavid aur uske aadmiyon ka pata chal gaya hai. us samay shaaool giba+ ki ek pahadi par jhaaoo ke ped ke neeche baitha hua tha aur uske haath mein bhaala tha. uske sabhi sevak uske chaaron taraf tainat the.  shaaool ne apne sevkon se kaha, “binyameen ke aadmiyo, suno! tumhein kya lagta hai, kya yishai ka woh beta+ bhi tum sabko khet aur angooron ke baag dega? kya woh tumhein sau-sau aur hazar-hazar ki tukdiyon ka adhikari thehrayega?+  tum sabne milkar mere khilaf saazish ki hai! jab mere bete ne yishai ke bete ke saath karar kiya+ tab tummein se kisi ne mujhe khabar nahin di. tumhein mujhse koi hamdardi nahin. kisi ne mujhe nahin bataya ki mere apne bete ne mere sevak ko mere khilaf bhadkaya hai aur aaj woh sevak mujh par hamla karne ke liye ghaat lagaye baitha hai.”  fir shaaool ke sevkon ke mukhiya edomi doeg+ ne kaha,+ “mainne yishai ke bete ko nob mein dekha tha. woh aheetoob ke bete aheemelek+ ke paas aaya tha. 10  aur aheemelek ne uski khaatir yahova se maargdarshan maanga aur use khaana bhi diya. usne use palishti goliyat ki talvar bhi di.”+ 11  raja ne fauran apne aadmiyon ko bheja ki woh jaakaar aheetoob yaajak ke bete aheemelek ko aur aheemelek ke pita ke gharane ke sabhi yaajkon ko, jo nob mein the, le aayen. tab saare yaajak raja ke paas aaye. 12  shaaool ne kaha, “aheetoob ke bete, sun!” aheemelek ne kaha, “haan maalik.” 13  shaaool ne usse kaha, “toone aur yishai ke bete ne milkar kyon mere khilaf saazish ki? toone kyon use roti aur talvar di aur uski khaatir parmeshvar se salah ki? woh mere khilaf utha hai aur aaj woh mujh par hamla karne ke liye ghaat lagaye baitha hai.” 14  aheemelek ne raja se kaha, “tere sevkon mein daavid jaisa bharosemand* aadmi aur kaun hai?+ woh raja ka daamad hai,+ tere angrakshakon ka ek pradhan hai aur tere gharane mein uski bahot izzat hai.+ 15  aur aisa nahin ki mainne aaj pehali baar uski khaatir parmeshvar se salah ki.+ main tere khilaf saazish rachoon, aisa to main kabhi soch bhi nahin sakta! hey raja, tu mujhe aur mere pita ke gharane ko doshi mat thehra kyonki tera yah sevak is baare mein kuch nahin jaanta.”+ 16  magar raja ne kaha, “aheemelek, ab tu zinda nahin bachega.+ tujhe aur tere pita ke poore gharane ko maar daala jaayega.”+ 17  fir raja ne apne chaaron taraf tainat pehardaron se kaha, “jaao, yahova ke in sabhi yaajkon ko maar daalo kyonki inhonne daavid ka saath diya hai! ye log jaante the ki woh mujhse bhaag raha hai fir bhi inhonne mujhe khabar nahin di.” magar raja ke sevak yahova ke un yaajkon par haath nahin uthana chahte the. 18  fir raja ne doeg+ se kaha, “tu jaa aur yaajkon ko maar daal!” edomi+ doeg fauran gaya aur usne akele hi sab yaajkon ko maar daala. usne us din 85 yaajkon ka katla kiya jo malmal ka epod pehne huye the.+ 19  fir woh yaajkon ke shehar nob+ gaya aur vahaan jitne bhi aadmi, aurat aur bachche the un sabko talvar se maar daala, yahaan tak ki doodh-peete bachchon ko bhi. usne bailon, gadhon aur bhedon ko bhi talvar se maar daala. 20  lekin aheetoob ke bete aheemelek ka ek beta abiyatar+ bachkar bhaag nikala. woh bhaagkar daavid ke paas gaya taaki uska saath de. 21  abiyatar ne daavid ko bataya, “shaaool ne yahova ke yaajkon ko maar daala hai.” 22  daavid ne abiyatar se kaha, “us din+ jab mainne edomi doeg ko vahaan dekha, to main samajh gaya ki woh zaroor shaaool ko mere baare mein khabar de dega. tere pita ke gharane ke sab logon ki maut ke liye main hi zimmedar hoon. 23  tu yahaan mere saath hi reh. dar mat, main teri hifazat karoonga kyonki jo teri jaan lena chahta hai woh meri bhi jaan lena chahta hai.”+

kai footnote

ya “vishvasyogya.”