pehala shamooel 26:1-25

  • daavid ne fir se shaaool ko bakhsha (1-25)

    • usne yahova ke abhishikt jan ka aadar kiya (11)

26  kuch samay baad zeef+ ke aadmi shaaool ke paas giba+ gaye aur unhonne use bataya ki daavid yasheemon* ke saamne hakeela pahadi par chhipa hua hai.+  tab shaaool ne israel ke 3,000 chune huye aadmi liye aur daavid ko dhoondhne neeche zeef veerane ki taraf nikaal pada.+  shaaool ne yasheemon ke saamne hakeela pahadi par sadak kinare chhaavni daali. us samay daavid veerane mein reh raha tha aur use pata chala ki shaaool use pakadne ke liye is veerane mein pahunch gaya hai.  daavid ne apne jaasoos bheje taaki woh pata lagayen ki kya shaaool sachmuch vahaan aaya hai.  baad mein daavid us jagah gaya jahaan shaaool ne chhaavni daali thi. daavid ne woh jagah dekhi jahaan shaaool aur uska senapati abner+ (jo ner ka beta tha) so rahe the. shaaool chhaavni ke beechon-beech so raha tha aur uski sena ki saari tukdiyaan uske chaaron taraf thi.  iske baad daavid ne aheemelek se jo hitti+ tha aur abeeshai+ se jo sarooyah+ ka beta aur yoab ka bhaai tha, poochha, “mere saath shaaool ki chhaavni mein kaun chalega?” abeeshai ne kaha, “main tere saath chaloonga.”  tab daavid aur abeeshai raat ke vakt shaaool ki chhaavni mein gaye aur unhonne dekha ki shaaool chhaavni ke beechon-beech so raha hai aur uska bhaala uske sir ke paas zameen mein gada hua hai. abner aur saare sainik shaaool ke chaaron taraf so rahe the.  abeeshai ne daavid se kaha, “dekh, aaj parmeshvar ne tere dushman ko tere haath mein kar diya hai.+ ab mujhe ijazat de ki main bhaale se use zameen mein thonk doon. main ek hi vaar mein use maar daaloonga, mujhe dobara vaar karne ki zaroorat nahin hogi.”  magar daavid ne abeeshai se kaha, “nahin, nahin, tu use kuch mat kar. kya koi yahova ke abhishikt jan+ par haath uthakar nirdosh reh sakta hai?”+ 10  fir daavid ne kaha, “yahova ke jeevan ki shapath, yahova khud use maar daalega+ ya fir woh yuddh mein maara jaayega.+ agar nahin to jaise sab marte hain, vaise hi ek din us par bhi maut aa jaayegi.+ 11  lekin main yahova ke abhishikt jan par haath uthane ki soch bhi nahin sakta kyonki aisa karna yahova ki nazar mein galat hoga.+ ab chal, hum uske sirhane se bhaala aur paani ki surahi utha lein aur yahaan se nikaal jaayen.” 12  daavid ne shaaool ke sirhane se bhaala aur surahi utha li aur donon vahaan se chale gaye. kisi ne bhi unhein nahin dekha,+ na kisi ko pata chala, na hi koi jaaga. sab log so rahe the kyonki yahova ne unhein gehri nind sula diya tha. 13  fir daavid doosri taraf gaya aur door jaakaar pahad ki choti par khada hua. shaaool ki chhaavni aur daavid ke beech kaafi doori thi. 14  daavid ne vahaan se shaaool ki sena ko aur ner ke bete abner+ ko zor se aavaz di, “abner! abner! kya tu sun raha hai?” abner ne kaha, “tu kaun hai? kaun raja ko aavaz de raha hai?” 15  daavid ne abner se kaha, “tu ek bada yoddha hai, poore israel mein teri takkar ka koi nahin hai. fir toone kyon apne maalik ki, apne raja ki hifazat nahin ki? ek sainik tere raja ki jaan lene aaya tha.+ 16  aisi laaparvahi dikhakar toone theek nahin kiya. yahova ke jeevan ki shapath, tujhe maut ki saza milni chahiye kyonki toone apne maalik yahova ke abhishikt jan ki hifazat nahin ki.+ ab chaaron taraf nazar daudakar dekh! raja ke sirhane jo bhaala aur paani ki surahi+ thi woh kahaan hai?” 17  tab shaaool ne daavid ki aavaz pehchan li aur kaha, “bete daavid, kya yah teri aavaz hai?”+ daavid ne kaha, “haan mere maalik raja, main hi bol raha hoon.” 18  fir daavid ne kaha, “maalik, tu kyon apne is daas ka peechha kar raha hai?+ aakhir mainne kiya kya hai? mera dosh kya hai?+ 19  mere maalik, zara apne daas ki baat sun. agar yahova ne tujhe mere khilaf bhadkaya hai, to woh mera anaj ka chadhava sweekar kare.* lekin agar insanon ne tujhe bhadkaya hai+ to woh yahova ke saamne shaapit hain, kyonki unhonne mujhe woh desh chhodne par majboor kiya hai jo yahova ne virasat+ mein diya hai, maano mera usmein koi hissa nahin. woh ek tarah se keh rahe hain, ‘jaa, jaakaar doosre devtaon ki seva kar!’ 20  yahova ki maujoodgi se door zameen par mera khoon na bahaya jaaye. israel ka raja jise pakadne nikala hai woh bas ek pissoo hai,+ raja jiske peechhe bhaag raha hai woh pahadon par chhipta-firta teetar hai.” 21  tab shaaool ne kaha, “mainne paap kiya hai.+ mere bete daavid, mere paas vaapas aa jaa. main tujhe kuch nahin karoonga kyonki aaj toone dikha diya ki tu meri jaan ko anmol samajhta hai.+ mainne sachmuch bevkoofi ki hai, bahot badi galti ki hai.” 22  tab daavid ne kaha, “yah raha raja ka bhaala. tera ek javan aakaar ise le jaaye. 23  yahova har kisi ko uski neki aur vafadari ka inam dega.+ aaj yahova ne tujhe mere haath mein kar diya tha, magar mainne yahova ke abhishikt jan par haath uthane se inkar kar diya.+ 24  aur jaise aaj mainne teri jaan ko anmol samjha vaise hi yahova meri jaan ko anmol samjhe aur mujhe saari museebaton se bachaye.”+ 25  shaaool ne daavid se kaha, “mere bete daavid, tujhe aasheesh mile. tu sachmuch bade-bade kaam karega aur har kaam mein kaamyab hoga.”+ iske baad daavid apne raaste chala gaya aur shaaool apni jagah laut gaya.+

kai footnote

ya shaayad, “registan; veerana.”
shaa., “soonghe.”