pehala shamooel 28:1-25

  • shaaool, endor mein mare huon se sampark karnevali aurat ke paas gaya (1-25)

28  unhin dinon palishtiyon ne israel se yuddh karne ke liye apni senaon ko ikattha kiya.+ tab aakeesh ne daavid se kaha, “tujhe to maaloom hi hoga ki tu aur tere aadmi bhi mere saath yuddh mein jaayenge.”+  daavid ne aakeesh se kaha, “tu achhi tarah jaanta hai ki tera sevak kya karega.” aakeesh ne kaha, “iseeliye main tujhe hamesha ke liye apna angrakshak* thehrata hoon.”+  ab tak shamooel ki maut ho chuki thi aur poore israel ne uske liye maatam manaya tha aur uske apne shehar raamah mein use dafnaya tha.+ shaaool ne desh se un sab logon ko nikaal diya tha jo mare huon se sampark karne ka daava karte the aur bhavishya bataya karte the.+  palishti apni senaon ko ikattha karne ke baad shoonem+ gaye aur unhonne vahaan apni chhaavni daali. isliye shaaool ne poori israeli sena ko ikattha kiya aur unhonne gilbo+ mein chhaavni daali.  jab shaaool ne palishtiyon ki chhaavni dekhi to woh bahot dar gaya. uska dil kaanpne laga.+  shaaool ne yahova se salah ki,+ magar yahova ne use koi javab nahin diya, na to sapnon ke zariye aur na hi ooreem+ ya bhavishyavaktaon ke zariye.  aakhir mein shaaool ne apne sevkon se kaha, “mere liye ek aisi aurat ka pata lagao jo mare huon se sampark karti ho.+ main jaakaar usse salah karoonga.” uske sevkon ne kaha, “endor+ mein ek aurat rehti hai jo mare huon se sampark karti hai.”  tab shaaool ne apna bhes badla. usne doosre kapde pehne aur do aadmiyon ko lekar raat mein us aurat ke paas gaya. shaaool ne us aurat se kaha, “mare huon se sampark karne ki shakti istemal karke mera bhavishya bata.+ main jiska naam bataun, use bula aur usse meri baat kara.”  magar us aurat ne kaha, “tujhe to maaloom hona chahiye ki shaaool ne kya kiya hai. usne desh se un sabhi logon ko nikaal diya hai jo bhavishya bataya karte the aur jo mare huon se sampark karate the.+ fir tu kyon mujhe fansana chahta hai? kyon mujhe marvana chahta hai?”+ 10  tab shaaool ne yahova ki shapath khaakaar kaha, “yahova ke jeevan ki shapath, iske liye tujhe bilkul doshi nahin thehraya jaayega!” 11  tab us aurat ne kaha, “achha bata, main tere liye kise bulaun?” shaaool ne kaha, “tu mere liye shamooel ko bula.” 12  jab us aurat ne “shamooel”+ ko dekha* to woh zor-zor se chillane lagi. usne shaaool se kaha, “tu to shaaool hai! toone mujhe kyon dhokha diya?” 13  raja ne kaha, “dar mat, bas itna bata ki tujhe kya dikhayi de raha hai?” aurat ne kaha, “mujhe devta jaisa koi zameen se oopar uthta dikhayi de raha hai.” 14  shaaool ne fauran poochha, “woh dikhne mein kaisa hai?” aurat ne kaha, “woh koi boodha aadmi hai, bin aasteen ka baaga pehne huye hai.”+ shaaool samajh gaya ki woh “shamooel” hai aur usne munh ke bal zameen par girkar pranam kiya. 15  tab “shamooel” ne shaaool se kaha, “tu kyon mujhe pareshan kar raha hai? toone mujhe kyon oopar bulaya?” shaaool ne kaha, “main badi museebat mein hoon. palishti mujhse ladne aaye hain aur parmeshvar ne mujhe chhod diya hai. woh mujhe koi javab nahin de raha, na to bhavishyavaktaon ke zariye na hi sapnon ke zariye.+ iseeliye mainne tujhe bulaya taaki tu mujhe bataye ki mujhe kya karna chahiye.”+ 16  “shamooel” ne kaha, “jab yahova ne tujhe chhod diya hai+ aur tera dushman ban gaya hai, to fir tu mujhse poochhne kyon chala aaya?  17  yahova ne mujhse jo bhavishyavani karvayi thi, use woh har haal mein poori karega. yahova tujhse tera raaj chheenkar tere sangi daavid ko de dega.+ 18  toone yahova ki aagya nahin maani aur amalekiyon ka naash nahin kiya+ jinhonne uska krodh bhadkaya tha. isliye aaj yahova tere saath aisa kar raha hai. 19  yahova tujhe aur poore israel ko palishtiyon ke havale kar dega.+ kal tu+ aur tere bete+ mere saath honge. yahova israel ki poori sena ko bhi palishtiyon ke haath mein kar dega.”+ 20  yah sunte hi shaaool zameen par chit gir pada. “shamooel” ne jo kaha usse woh bahot dar gaya tha. uske shareer mein vaise bhi koi taakat nahin bachi thi kyonki usne saara din aur saari raat kuch nahin khaaya tha. 21  jab woh aurat shaaool ke paas aayi aur usne dekha ki woh bahot pareshan hai to usne shaaool se kaha, “dekh, teri daasi ne teri aagya maani aur apni jaan hatheli par rakhkar+ tera kaam kiya. 22  ab tu bhi meharbani karke apni daasi ki baat maan. main thodi roti laati hoon, use khaa taaki tujhe vaapas lautne ke liye taakat mile.” 23  magar shaaool ne yah kehkar mana kar diya, “nahin, main nahin khaaunga.” magar uske sevak aur woh aurat use khaane ke liye baar-baar kehte rahe. unke bahot manane par woh zameen se utha aur palang par baitha. 24  us aurat ke ghar mein ek mota-taaza bachhda tha. usne fauran use halal* kiya aur aata goondhkar bin-khameer ki rotiyaan banayin. 25  fir usne shaaool aur uske sevkon ko khaana parosa aur unhonne khaaya. iske baad woh uthe aur usi raat vahaan se laut gaye.+

kai footnote

shaa., “sada ke liye apne sir ka rakshak.”
ya “woh dekha jo shamooel jaisa dikhta tha.”
ya “uska balidan.”