pehala shamooel 7:1-17

  • sandook kiryat-yaareem mein (1)

  • shamooel ne badhava diya, ‘sirf yahova ki seva karo’ (2-6)

  • mispa mein israel ki jeet (7-14)

  • shamooel, israel ka nyayi (15-17)

7  tab kiryat-yaareem ke aadmi aaye aur yahova ka sandook le gaye. unhonne use le jaakaar pahadi par abeenadab ke ghar+ mein rakha aur uske bete eliazar ko yahova ke sandook ki rakhvali ke liye pavitra thehraya.  kiryat-yaareem mein parmeshvar ke sandook ko aaye poore 20 saal guzar gaye. itne lambe samay baad israel ka poora gharana yahova ki khoj karne laga.*+  tab shamooel ne israel ke poore gharane se kaha, “agar tum vaakai poore dil se yahova ke paas laut rahe ho,+ to apne beech se paraye devtaon ki moortein+ aur ashtoret devi ki moortein nikaal do.+ aur apna dil poori tarah yahova par lagao aur sirf uski seva karo,+ tab woh tumhein palishtiyon ke haath se chhudayega.”+  tab israeliyon ne baal devtaon aur ashtoret ki moortein nikaal di aur woh sirf yahova ki seva karne lage.+  fir shamooel ne unse kaha, “poore israel ko mispa+ mein ikattha karo, main tum sabki khaatir yahova se prarthna karoonga.”+  isliye woh sab mispa mein ikattha huye aur paani bharkar laaye aur yahova ke saamne use undela aur us din sabne upvas kiya.+ vahaan un sabne kabool kiya, “hamne yahova ke khilaf paap kiya hai.”+ aur shamooel vahaan mispa mein israeliyon ka nyay karne laga.+  jab palishtiyon ne suna ki israeli mispa mein ikattha huye hain, to unke sardar+ israeliyon par hamla karne nikaal pade. jab yah baat israeliyon ko pata chali to woh bahot dar gaye.  unhonne shamooel se kaha, “tu hamare parmeshvar yahova ki duhai deta reh ki woh hamari madad kare+ aur hamein palishtiyon ke haath se bachaye.”  tab shamooel ne ek doodh-peeta memna liya aur yahova ke liye uski poori hom-bali chadhayi.+ fir shamooel ne israel ki taraf se yahova ko madad ke liye pukara aur yahova ne uski suni.+ 10  shamooel hom-bali chadha hi raha tha ki tabhi palishti israel se ladne unki taraf badhne lage. tab us din yahova ne aakash se palishtiyon par zor ka garjan karvaya+ aur unhein uljhan mein daal diya.+ aur woh israel se haar gaye.+ 11  tab israel ke aadmiyon ne mispa se nikaalkar palishtiyon ka peechha kiya aur woh unhein door betkar ke dakshin tak ghaat karte gaye. 12  iske baad shamooel ne ek patthar liya+ aur mispa aur yashana ke beech rakha. usne us patthar ko ebnezer* naam diya kyonki usne kaha, “yahova ne ab tak hamari madad ki hai.”+ 13  is tarah palishtiyon ki haar hui aur woh fir kabhi israel ke ilake mein nahin aaye.+ jab tak shamooel zinda tha tab tak yahova ka haath palishtiyon ke khilaf utha raha.+ 14  iske alava, israeliyon ko ekron se gat tak ke sabhi shehar vaapas mil gaye jo palishtiyon ne le liye the. israel ne apna ilaka palishtiyon se vaapas le liya. israeliyon aur emoriyon ke beech bhi shaanti thi.+ 15  shamooel ne poori zindagi israel ka nyay kiya.+ 16  har saal woh betel,+ gilgal+ aur mispa+ ka daura karta tha aur in jagahon mein israel ka nyay karta tha. 17  fir woh raamah+ laut jaata tha kyonki vahaan uska ghar tha. woh raamah mein bhi israel ka nyay karta tha. vahaan usne yahova ke liye ek vedi banayi thi.+

kai footnote

ya “maatam manate huye yahova ke peechhe jaane laga.”
matlab “madad ka patthar.”